yaar aap log kyon itna kiddish behave kar rahe ho.....itni to maturity aapme bhi honi chahiye ki T.V. Channel jaisi cheej bina kisi bhi politcal reference and linking ke nahin chal sakti....ek to T.V. Channel dikha do jo kisi political neta ya party ki support, linking ke bina chal raha ho ya past mein chala ho?
Ya to aap log apna failure ka dard (
shayad ho sakta hai aap mein se bhi kisi ne kabhi aisa hi kuchh shuru karne ke haath-pair maare hon) byaan kar rahe ho ya fir aap in cheejon ki handling ko le ke maturity nahin dikha rahe ya wakai mein anjaan hain ki aisi cheejen karne ke liye kyaa resources manage karne padte hain...
so main point yahaan pe ye nahin hona chahiye ki ye T.V. channel kiski support se ya kiski vajah se shuru kiya gaya hai......yahaan main point hona chahiye ki is T.V. pe jo programs and news dikhai jayengi wo is channel ke purpose "
Apni Boli Apna Channel" aur apni boli hai Haryanvi,
so ispe debate ye hona chahiye ki ye channel Haryanvi boli aur culture ko kitna differently and sahi maaynon mein represent kar raha hai....
And I think ab to is channel ko shuru hue 1 month ke around ho bhi chuka hai...main to India mein nahin hoon aur na hi abhi tak is T.V. ka koi online through interent video streaming kind of link bana hai
(jiske liye main A1 TEHLAKA aur inki team se request bhi aur expect bhi karunga ki wo jald-se-jald shuru karwaayen) but aap log jo is T.V. ke programs dekh chuke hon wo yahaan unpe feedback den to wo T.V. maalikon ko bhi help karega aur mere jaise baahar baithe huon ko bhi pata lagega ki wakai ye channel others se different hai ke nahin...
All the best to A1 TEHLAKA Team and Officials for their so open and honest effort for promoting Haryana, Haryanvi and Haryanav!
Pakka Hooda samarthak. Abb to koi shak nahi hai, is TV channel ke baare mein. Thanks Sunny for sharing this thread.