Last year when I had to join infy…one of my friends Pardeep
(my school senior) Had come home after resigning from infy…so I with my
parents had been to his house (they are our close family friends)
To aise hi majak mein baatein ho rahi thi…
Pardeep mere se baat kar rahya tha…ab teri naukri bhi lag gayi hai…posting bhi kahi b’lore mein mil jayegi…wahi pe koi dekh liyo aur shaadi bhi kar liyo…
main bolya bhai abhi to aisa Kuch nahi hai…aur shaadi to bas jaatni se hi karooga…koi aur nahi chalegi...
He replied…bhai dekh infy mein jatni to hai nahi…to tu wahi pe Kisi kannad—pannad se shaadi kar Lena…infy tujhe khub saare gift bhi de degi…
main bolya bhai issi baat to konya meri 1 College senior Hai infy mein…
pher Pardeep bolya bhai kuch bhi kar liye par jaatni galya byah na kariye…
hum saare hairan ki iske B’lore mein rahke ke ho gya hai…
Sabne poocha bhai isa kyu…to aagla bolya…bhai in jatniya ka koi bharosa nahi kad “AE BHAI” bol de…