Dosto meri aap sabhi se ek shikayat hai....dekho hum sabhi jokes bhejte hain, general info bhejte hain aur bhee har tarah ke info share karte hain....par pata nahi aap sabhi ne bera hai ke nahi ke yahan pe chat karke bhee ek option hai jahan pe hum Chupal main jaa sakte hain....lekin dukh kee baat hai ke koi bhee whan nahi aata.....aur jahan tak main samjhta hoon ke agar wahan aa ke hum aamne samne baat kare to aur bhee aacha hoga....kyonki seedhe baat karne main aur message padh ke reply karne main din raat ka farak hai.....so meri aap sab se gujaris hai ke wahan bhee thoda-thoda time bitana chaiye....baki aapki marjee....