Reserve Tea

Status
Not open for further replies.

dksehrawat1969

New member
Ek Tau ka G.T. Road pe khet lage tha, Usne waha Dhaba kar liya. Dhabe pe ek sardar gi ne gaddi roki aur Tau se pucha ki chai milegi kya, Tau ne kaha kaunse chai peoge sardar gi hamare paas 3 tarah ki chai hai- Masala chai -10 Rupeya, Special chai-7 Rupeya aur Reserve chai- 3 Rupeya . Sardar ne socha ki Masala chai aur Special chai to pi ke dekh rakhi hai kyon ne reserve chai bhi try ki jaye, aur usne ek cup reserve chai order kar di. Tau ne usko chai di , sardar ne pine ke baad tau ko kaha ke chai bahut swadisht thi phir bhi aap ise itne sasti kyo bechte ho aur iska naam reserve chai kyo rakha. Tau ne kaha ki jhute gillaso me jo thode bahut chai baki rahe jati hai usko hum iketha karke garam kar dete hai isi liye isko reserve chai kahete hai,isi liye 3 rupe me dete hai.
 
hahahaha, ND Tau n his Gyaan ! :D:D:D
btw am curious, bechare Sardar ne ke kaha fer? :eek:
Bhai maada sa vo bhi bata de ! :p;)

Bahut dina mein eissa Fresh joke padne ko mila, Thx Bhai !!

 
Bahut badhiya bhai Sehrawat... haans haans k pett paat gya bhai aapka joke padh kar.... bahut dino baat itna aindee chutkala padha hai maine...... kasooota joke tha bhai... aap likhtey raha karo...... jee laagya rehwega logon ka.........!!!

And yes, welcome to Jatland..!!!

Ebb 5-7 aur baga de bhai issey issey ND jokess......Tu bhi kar de SAMAAJ SEWA si bhai.....!!! Hum ne toh aaadat si ho gayi hai SAMAAJ SEWA dekhann ki..,,,,,,,, :rock :rock :rock


jit Bhai, Sardar kuch kahene layak hi nahi rahya, uth ke bhag liya.
 
Last edited:
Status
Not open for further replies.
Back
Top