Shaddi Shuda Ki Dastaan

Status
Not open for further replies.

hamendra

New member
SHADI SHUDA KI DASTAAN

abhi shaadi ka pehla hi saal tha,
khushi ke maare mera bura haal tha,
khushiyaan kuch yoon umad rahin thi,
ki sambhale nahi sambhal rahi thi,

subah subah madam ka chai le kar aana
thoda sharmate hue hume need se jagana,
wo pyaar bhara hath humare ballon main phirana,
muskurate hue kehna ki darling chai to pi lo,
jaldi se ready ho jao, aap ko office bhi hai jana.

gharwali bhagwan ka roop le kar aayi thi,
dil or dimag par poori tarah chai thi,
saans bhi lete thy to naam usi ka hota tha,
ik pal bhi door jeena dushwar hota tha.

5 saal baad........

subah subah madam ka chai le kar aana,
table par rakh kar jor se chilana,
aaj office jao to munna ko
school chodte hue jana..............

ek baar phir wohi awaaj ayi,
kya baat hai abhi tak chodi nahi charpai,
agar munna late ho gaya to dekh lena,
munna ki teachers ko phir khud hi sambhaal lena.

na jane gharwali kaisa roop le kar aayi thi,
dil aur dimaag par kali ghata chai thi,
sans bhi lete hai to uni ka khayal hota hai,
har samay jehan main ek hi sawal hota hai,
kya kabhi wo din lot ke ayenge,
hum ek bar phir kuwaaren ban payenge
 
seems original

Bhai ham achi tukbandi bana dali...

Soch lo bhai... abhi bi rassi apke hi hath maie hai...

Nice composition.. keep it up...
 
Bhai Harmendra, mast hai......
hamendra said:
SHADI SHUDA KI DASTAAN

abhi shaadi ka pehla hi saal tha,
khushi ke maare mera bura haal tha,
khushiyaan kuch yoon umad rahin thi,
ki sambhale nahi sambhal rahi thi,

subah subah madam ka chai le kar aana
thoda sharmate hue hume need se jagana,
wo pyaar bhara hath humare ballon main phirana,
muskurate hue kehna ki darling chai to pi lo,
jaldi se ready ho jao, aap ko office bhi hai jana.

gharwali bhagwan ka roop le kar aayi thi,
dil or dimag par poori tarah chai thi,
saans bhi lete thy to naam usi ka hota tha,
ik pal bhi door jeena dushwar hota tha.

5 saal baad........

subah subah madam ka chai le kar aana,
table par rakh kar jor se chilana,
aaj office jao to munna ko
school chodte hue jana..............

ek baar phir wohi awaaj ayi,
kya baat hai abhi tak chodi nahi charpai,
agar munna late ho gaya to dekh lena,
munna ki teachers ko phir khud hi sambhaal lena.

na jane gharwali kaisa roop le kar aayi thi,
dil aur dimaag par kali ghata chai thi,
sans bhi lete hai to uni ka khayal hota hai,
har samay jehan main ek hi sawal hota hai,
kya kabhi wo din lot ke ayenge,
hum ek bar phir kuwaaren ban payenge
 
ram ram hamender bhai,
abhi shaddi ka laddu khya hai ya nahi,
or nahi to yeh experience khan se bahi.
 
enjoy life, joys and sorrows are state of mind or otherwise life will be monotonus.find happiness in these moments also you will enjoy.
 
Eak Aur Bhaiyon

Pralaya

Ghar mein pitaji aur mataji bahut jor daal rahe the mere vivah ke liye,
Par sayyad mein taiyaar na tha dhalthi umar ke rog se bachne ke liye
shadi namaak dawa ke liye.

Aisa nahin kahunga ki mann nahin tha waise to ladoo phut jate the shadi
ke naam se,
Par mein dartha tha shadi ke faalswaroop aane wali aabadi ke naam se.

Kyunki maine apne doston ke haal dekhe the vivah ke paschaat,
Kaise sheron ki dahada karte the yeh log ab inki muh se nikalthi nahin
hai baat.

Sab kahthe the mujhe beta sadi ke thik baad tum saatwen aasman mein
hoge,
Magar dost kuch din baad jab khwaab tutega sachchayi ke kudedaan mein
hoge.

Woh kuch din sab achcha lagne lagega hawa khusbudaar hogi,suraj mein
tapan aur chandrama mein sitaltha hogi,
Kuch din jebe khali,aankhen dhasi hui,kankaal nikla hua aur pure sharir
mein dikhane layak sirf durbaltha hogi.

Par mein in logon ki baton ko nazarandaaz kar apne maat taat ke sath
kanya ko dekhne gaya,
Pehli baar itne kareeb se kisi ladki ko dekha aur kya tha le gayi chaino
bharam uski sharmo haya.

Baas "mujhe ladki pasand hai" kahne ke liye to mein mara ja raha tha,
Par lok laaz aur maat taat ke haami ke intezaar mein main baitha raha
tha.

Bas ho gaye agni ke charo or phere,
Aur bachelor ka khitaab haat gaya naam se mere.

ulhan ke aane se pehle main suhaag raat ki sez pe baitha tha prafuleet
hokar,
Tabhi woh paanch meter ka ghunghat dale halki kadmon ke aahat ke sath
aayi andaar.

Bas woh ghadi aaj aa hi gayi thi jiska mujhe barson se intezaar tha,
Aur mein khwaab aur hakikat ko wichchin kiye ghunghat ko kholne ke liye
taiyaar tha.

Aur jyun hi maine chamatakari ghunghaat ko khola,
Aisa laga mere prem ke ashiyane par kisine phek diya hathgola.

Mere budhe sasoor ne kar diya tha mere sath wiswaasghath,
Gori wali beti ko dikhakar apni kali wali beti ka de diya hath.

Aisa laga mere pran pakheru ud gaye aur mein palang se gir pada,
Uske baad mera jeevan khusiyon ke bhandar se ban gaya aansuon ka ghada.

Jis shadi ko mein dhalthi umar ka dawa samajhtha tha ab woh bukhaar ban
gaya tha,
Aur mera vivah vivah nahin gathbandhan ki sarkar ban gaya tha.
 
gathbandhan ki sarkar

ha ha ha ha ha ha Ham bhiya hanste hanste pait phaat gaya...
really impresive .. bhoot khoob .... bhoot hi achi likhi hai... Bach ke rehna is "gathbandhan ki sarkar " se...
lagta hai shyari-e-dard and shyari-e-sharab ke baad yeh apka naya album hai.....

Lage rehoo.... keep it continue...
 
Bahut badhia likha Hamendra Bhai.
Lekin ye experience kahan se aaya? Please mention.
Maja aa gaya padhkar lekin agar ye kisis ke saath sach me hua hai to uski kya haalat hui hogi, ye sochkar maja kharab ho gaya.
 
bahut badia bhai hamendra kumar.
gjab ka experiece le raha hai bhai.
lage raho bhai lage raho kaya pata purane din dobara aajayen.
 
Yo bhi tagga ghajjab ka tha..kyukkar miss hogya....Kya baat kahi se Hamendra bhai nei..ha..ha..ha..Good one bhai.Ya jarrur kaam aaweiggi unkkei jo ibb tahin fanss na liye sein.
 
mujhe pata tha aap yahan jurur milogey

Yo bhi tagga ghajjab ka tha..kyukkar miss hogya....Kya baat kahi se Hamendra bhai nei..ha..ha..ha..Good one bhai.Ya jarrur kaam aaweiggi unkkei jo ibb tahin fanss na liye sein.

bhaiya ku afsoos ho ra uk pehle likh dette to main bhi bach jaata hahahahahahahahahahhahaha:p :p :p :D :D
nice one
really
 
SHADI SHUDA KI DASTAAN

abhi shaadi ka pehla hi saal tha,
khushi ke maare mera bura haal tha,
khushiyaan kuch yoon umad rahin thi,
ki sambhale nahi sambhal rahi thi,

subah subah madam ka chai le kar aana
thoda sharmate hue hume need se jagana,
wo pyaar bhara hath humare ballon main phirana,
muskurate hue kehna ki darling chai to pi lo,
jaldi se ready ho jao, aap ko office bhi hai jana.

gharwali bhagwan ka roop le kar aayi thi,
dil or dimag par poori tarah chai thi,
saans bhi lete thy to naam usi ka hota tha,
ik pal bhi door jeena dushwar hota tha.

5 saal baad........

subah subah madam ka chai le kar aana,
table par rakh kar jor se chilana,
aaj office jao to munna ko
school chodte hue jana..............

ek baar phir wohi awaaj ayi,
kya baat hai abhi tak chodi nahi charpai,
agar munna late ho gaya to dekh lena,
munna ki teachers ko phir khud hi sambhaal lena.

na jane gharwali kaisa roop le kar aayi thi,
dil aur dimaag par kali ghata chai thi,
sans bhi lete hai to uni ka khayal hota hai,
har samay jehan main ek hi sawal hota hai,
kya kabhi wo din lot ke ayenge,
hum ek bar phir kuwaaren ban payenge

bahut badhiya....jamma dil ki kah gaya..
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top