monikadahiya
New member
Ek din hamare man mein viman yatra ka khyal aaya
kabhi bail-gadi par baithe nahi the, hawa mein udne ko dil aaya
Hawai-adde pahunche to ticket–counter ko nadard paaya
Jab hamne ek mahashay se pata pucha to unhone hamari naak ki seedh wala kamara batlaya.
Hum un mahashay par thoda muskraye, kyonki apni naak ki seedh mein hamne kude-daan ko rakha hua paya.
Jab ticket–counter pahunche to ek lambi si katar ko khada hua paaya
Garmi se behaal ho kar jub hamne apni ticket dekhi to number 420 likha paaya
Hawai-jahaj mein chadhe to air-hostess ne apni nazron ko hamare libas ki tarf dodaaya.
Yaatriyon ki hame dekh kar ghighi bandh gayi, jab air-hostess ne hamara taarukh
hamare ticket number 420 se karvaya.
Hamane bhi badni shaan se apna kala chashma naak par chadha kar kaanon par lagaya.
Yaatri badi besabri se viman ke udne ka intizar kar rahe the kyonki hamari daya se viman 4-5 ghante se nahi tha ud paaya.
Jab hamne ek shakhs ki aur dekha to unki shakl ko hmare adhyaapak ji ki shakl se milta hua paaya
Ek jor se awaaj hui, aur hamne apne ko jameen par leta ua paaya
Maa ne jor se awaaj di aur hame hamari gahari neend se jagaaya
Yah thi hamari viman-yatra kahiye aapko kaisa anand aaya.
hahahahha kamal...
hadh ho gi yaar!!! itne dhyan te padha yo sauda arr ending mein sapna paaya yo te..... waise mazedaar tha ekdum