Shayari from Boss......Employee's reply...

  • Thread starter Thread starter sanjeevtarar
  • Start date Start date
Status
Not open for further replies.
S

sanjeevtarar

Guest
Shayari from Boss...

Arz kiya hai...
...
Transactions hote hain...
Errors ka sama hota hai...
Aise mausam mein hi to PERFORMANCE jawan hota hai...
Dil ki khunnas BOSS jabaan se nahi kehte...
Ye fasana to appraisal mein bayan hota hai... (wah wah ...wah wah)

Employee's reply...

Arz kiya hai... ...
Promotion hote hain...
Disappointment ka sama hota hai...
Aise mausam mein hi to Attrition jawan hota hai...
Dil ki khunnas HUM jabaan se nahi kehte...
Ye fasana to Resignation se bayan hota hai... (wah wah ...wah wah)


 
Last edited by a moderator:
lazbab sayri

Humne apne wade kuch is tarah nibhaye hain
Zkham se baha lahu fir bhi muskarayen hain
Unhe junun apna qurz chukane ka,
apni khushi apna wajud mitane ka
Hamain bhi shauq mohabbt aazmane ka,
Inhi haathon se unki sej sajaye hain
Zkham se baha lahu fir bhi muskarayen hain
guzaarish unki aankhe nam na ho meri
Diya jo wada to na uff karenge kabhi
Ashkon k dariyon ko tham lenge yahi
Koshish mai hoton ne kitne ghav khaye hain
Zkham se baha lahu fir bhi muskarayen hain

Dua hai ki ab zindagi mai koi majburi na ho
Jise tum milo us se ab koi duri na ho
Meri tarah uski kismat bhi adhuri na ho
Shaakh se gir kar kai phool murjhayen hain
Zkham se baha lahu fir bhi muskarayen hain
Humne apne wade kuch is tarah nibhaye hain
Zkham se baha lahu fir bhi muskarayen hain
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top