Shayari (Part 2)

Bichud ke tumse zindgi sazaa si lagti hai,,,
Yeh saans bhi jaise mujhse khafaa si lagti hai,,,
Tadap uthta hoon dard ke maare,,,
Zakhmon ko jab tere shahar ki hawa lagti hai,,,
Agar umeed-e-wafa karoon to kisse karoon,,,
Mujhko to meri zindgi bhi bewafa si lagti hai...
 
Zabt karta hoon to har zakhm lahoo deta hai,,,
Aah karta hoon to andesha-e-ruswai hai,,,
Dekhta hoon to hazaaron hain mere apne, magar,,,
Sochta hoon to wohi aalam-e-tanhai hai...
 
Dil dukhar aajmakar ya rulakar chhodna,,,
Hamne seekha hee nahin apna banakar chhodna,,,
Taaki duniyan ye na samjhe ham-main doori ho gai,,,
Saath jab bhi chhodna to muskurakar chhodna,,,
Hai tareeke or bhi mujhse bichadne ke liye,,,
Kya jaroori hai tohmat lagakar chhodna,,,
Hosh baaki rah gaye to jee nahin paayenge ham,,,
Iltzaa ye hai mujhe pagal banakar chhodna...

 
[FONT=&quot]ऐ नादां तू रख हौसला वो मन्ज़र भी आएगा,
सिद्दत से चल के देख, वो समंदर भी आयेगा,
थक कर ना बैठ ऐ मंज़िल के नादां मुसाफिर,
मंज़िल भी मिलेगी और मिलने का मजा भी आयेगा.......[/FONT]
 
[FONT=&quot]अब के मोबाईल ज़माने में तू वफ़ा की तलाश न कर मेरे ऐ दोस्त,
वो वक्त और था जब मकान कच्चे और लोग सच्चे हुआ करते थे..........[/FONT]
 
[FONT=&quot]खेल ताश का हो या जिंदगी का,
अपना इक्का तब ही दिखाना ऐ दोस्त
जब तुम्हारे सामने बादशाह हो .....[/FONT]
 
उनके जीतने पर होती है ख़ुशी मुझको शिद्दत से,
जवाब मेरे पास अपनी हर हार का है ये, उनसे!
 
Do not know which type Shayari going on....seems to be all mixed....here comes with years experience....

DARD-E-SHAYARI

pyaar ka rang laal deta khatron mein daal
modi ne khud ko bataya kamaal

banwa diya gulabi ko laal
kabhi tha jikr lal-bal-pal

aaj sar par raha na ek baal
accha samay dekhte-2 aaya ye saal (2017)

ho jao sab taiyyar, kandhon pe bhojh daal
socho mat padh ke ye haal
khulne waala hai ab gujre SARPANCH ka dhaal

kindly, bear agar kahin rhythm mein kami lage to....as its a long return back to home
 
ye different hai....lekin judi pahle waali se hi hai....samajh aa jaye to theek...nahin to apni post kar dena...


shahrukh ne bataya dard-e-disco
gauri se poochho is it the time to disco

har mahine naye office se kamaee
lad-jhagad cycle main bhi nikal laayi ....hehe

jo bhi bayan kiya hai sab sachchai hai....will not explain much.....its all through 2011-2017
 
खेल ताश का हो या जिंदगी का,
अपना इक्का तब ही दिखाना ऐ दोस्त
जब तुम्हारे सामने बादशाह हो .....

Jab mil baithein teen sang
Fir ikka bhi ek aham asool hai
Har-jeet to ek jung hai
Akhir badshaah ko begum bhi kabool hai
 
Mat zikar kijiye meri adaa ke baare main,,,
Main bahut khuch janta hoon wafa ke baare main,,,
Suna hai wo bhi mohabbat ka shauk rakhte hain,,,
Jo jaante hi nahin wafa ke baare main,,,

 
Mat zikar kijiye meri adaa ke baare main,,,
Main bahut khuch janta hoon wafa ke baare main,,,
Suna hai wo bhi mohabbat ka shauk rakhte hain,,,
Jo jaante hi nahin wafa ke baare main,,,


Kya zikr karein aapki adaa ka
Aap to katleaam muzrim ho gaye
Mahabbat aur wafa ke chalte
Hum bhi aaj nasoor ho gaye
 
Dil pe aise bhi azaabon ko utarte dekha,,,
Ham ne chup chap use khud se bicharte dekha,,,
Usko socha to har ek soch main khushboo utri,,,
Usko likha to har ek lafz mahkte dekha,,,
Yaad aa jaaye to qaboo nahin rahta dil par,,,
Varna duniyan ne na kabhi hamko tadapte dekha,,,
Teri surat ko faqat aankh nahin tarasi hai,,,
Raaston ko bhi teri yaad main rote dekha,,,
Ham mohabbat ke liye aaj bhi deewane hain,,,
Ye alag baat hai ki tum ne nahin mud ke dekha,,,




​
 
ऐसा नहीं है कि अब तेरी जुस्तजू नहीं रही,


बस टूट-टूट कर बिखरने की हिम्मत नहीं रही…
 
“नसीब का लिखा तो मील ही जायेगा,


या रब,


देना हे तो वो दे जो तकदीर मे ना हो”..!!!
 
बड़ी शिदत से कोशिश कर रहा हूँ
अब में तुम्हे भूलने की,


कभी बहुत दिल से दुआ करता था
तुम्हे अपना बनाने की.
 
Dil pe aise bhi azaabon ko utarte dekha,,,
Ham ne chup chap use khud se bicharte dekha,,,
Usko socha to har ek soch main khushboo utri,,,
Usko likha to har ek lafz mahkte dekha,,,
Yaad aa jaaye to qaboo nahin rahta dil par,,,
Varna duniyan ne na kabhi hamko tadapte dekha,,,
Teri surat ko faqat aankh nahin tarasi hai,,,
Raaston ko bhi teri yaad main rote dekha,,,
Ham mohabbat ke liye aaj bhi deewane hain,,,
Ye alag baat hai ki tum ne nahin mud ke dekha,,,




​

Khoob sunder! ��
 
Anjane humse apna kahin door ho gaya
Bahti disha dekh, mud ke dekhna namanzoor ho gaya
Mohabbat aur deewanapan har kisi ka junoon hai
Kisey maloom tha zindagi ka afsana bhi kabool ho gaya
Dusre apne pyar se kya bichhde
Ye masoom uss rishtedaar ka talabgar ho gaya
Na janein kitni rahein hain baaki
Mud ke dekhna hi kyun aapka nazara ho gaya
 
Back
Top