Shayari !!.....

Status
Not open for further replies.
:)Badal sa gaya kuch, na rahe ab wo hum
Kho gaye khayal, toot gayi hai qalam

Chalte chalte liya waqt ne yoon mod
Ja rahe the kahin, chal diye kahin hum

Na kehne ko kuch, na sunne ki khwahish
Har jazbe se khaali jaise ab hue hum

Askhon ka samundar ufan raha hai dil main
Khusk hain lekin, nahin hain aankhen nam

Kho rahe hain purane, jud rahe naye rishte
Waqt de raha hai ek naye insaan ko janam !!
 
गम को करो Delete,

ख़ुशी को करो Save,

रिश्तों को करो Recharge,

दोस्ती को करो Download,

दुश्मनी को करो Erase,

सच को करो Broadcast,

झूठ को करो Switch Off,

Tension को करो Not Reachable,

प्यार को करो Incoming on,

नफरत को करो Outgoing Off,

Language करो Control,

हंसी को करो Outbox Full,

आंसू को करो Inbox Empty,

गुस्से को करो Hold,

मुस्कान को करो Sent,

Help को करो OK,

Self को करो Autolock,

दिल को करो Vibrate,

फिर देखो Life की Ringtone कितनी Polyphonic हो जायेगी
 
“Zinda rahe toh phir milenge”.

“Zinda rahe toh phir milenge”.
Magar aap se mil ke
Ish dil ne mehasoos kiya hai ki,
“Aapse milte rahe toh Zinda Rahenge”.
Yeh raat itni tanha kyun hoti hai,
kismat se apni sabko sikayat kyun hoti hai,
Ajeeb khel khelti hai yeh kismat
Jise hum pah nahi sakte
Tammana se nahi tanhai se darte hain,
pyaar se nahi ruswaai se darte hain,
milne ki to bahut chahat hai,
par milne ke baad judaai se darte hain
Yaad aaye to aankhen band na karna,
hum chale bhi jaaye to gum na karna.
Yeh zaruri nahi ki har rishte ka koi naam ho,
per dosti ka ehsaas kabhi dil se kam na karna.
Pyasi nigaho ne har pal unka deedar maanga,
Jaise amavas ne har raat chand maanga.
Ruth gaya woh Khuda bhi humse,
Jab humne apni har duwa mein unka saath maanga
usi se mohabbat kyun hoti hai.
Yaadain teray khluuse ki dustti hain aaj bhi
Milnay ki aarzooain trastii hain aaj bhi
Ankhain hazaar zabt ki koshish kay bawajood
Ruk ruk kay baar baar barstii hain aaj bhi
Phul ki tarah haste raho to hum khush hai,
Dil kholkar jeete raho to hum khush hai,
yeh nahi kehte ki roj milo,
bas kisi din yaad karliya karo to hum khush hai
 
जब कोई ख्याल दिल से टकराता है ॥
दिल ना चाह कर भी, खामोश रह जाता है ॥
कोई सब कुछ कहकर, प्यार जताता है॥
कोई कुछ ना कहकर भी, सब बोल जाता है ॥
 
Wada to ker lete hain nibhana bhool jate hain,laga kar aaag seene main, Bujhana bhool jate hain,kehte hai aayenge hume milne ko pal do pal,
milna to chahte hai wo par aana bhool jate hai.............................:)
 
Soye jis raat ko hum,hijr mein rote rote
Khwab mein wasl huya ,subah ko hote hote

shama ki tarah se hum raat ko rote rote
Beh gai ansuon mein , subah ke hote hote

Jiske milney ki tammana thi,na paya usko
Ho gai umr bsar , jan ko khotey khotey
 
muskuraahaaton kaa rishtaa hai barastii aankhon say
teriii yaad koo sanjootaa phirtaa hooon tarastii aankhon say

eik baar phir huyeeen tezz dhadkan yeh hamarey dil kee
kaheenwoh too nahee guzarey shayaad iddhar say.
 
ye sher mai apne Rajpal Dular Sir ko dedicate kar reha hoon:-


surkh aankhe jab hame dikhati ho.
hum ghabarakar zpni nazare jhuka lete hai,
kaun milaye un aankho se aankhe
suna hai wo aankho se apna bana lete hai.


:p
 
ek aur sher mai apne Rajpal Dular Sir ko dedicate karta hoon:-


kiya bataye humko majburi me kiya kehna pada
zakhm ko gul, patharo ko aaina kehna pada
 
ek aur sher mai apne Rajpal Dular Sir ko dedicate karta hoon:-


hamse khudaro ke dil par, kiya kahe gujri hai kiya
wo bhi waqt aaya ki bando ko khuda kehna pada.

:rock
 
ek aur sher mai apne Rajpal Dular Sir ko dedicate karta hoon:-


waqt ki sadish ne kuchh u bhi kiya hum par karm
ber ko apna or khota ko khara kehna pada

:rock
 
ek aur sher mai apne Rajpal Dular Sir ko dedicate karta hoon:-


kaun jane hum the, kis mahol ke mare hue,
zindagi ko, apne hui muh se saja kehna pada



:rock
 
ek aur sher mai apne Rajpal Dular Sir ko dedicate karta hoon:-



hai wo lamhe, tasavuur me larj jata hai dil,
dosti ko jab hame, apni khata kehna pada



:rock:boxing
 
ek aur sher mai apne Rajpal Dular Sir ko dedicate karta hoon:-


wo gardish, ki hu apni nazaro se gir gaye
yani shabnam ko bhi, suraj se bada kehna pada.

:rock:rock
 
ek aur sher mai apne Rajpal Dular Sir ko dedicate karta hoon:-



kon hai kiska sahara 'surendra' sab malum hai
girti diware thi, jinko aasra kehna pada

:rock
 
ek aur sher mai apne Rajpal Dular Sir ko dedicate karta hoon:-




pehle to sir bacha len, yeh dekhenge baad me
patthar kahan se aaye the, apne makaan me.

:thappad
 
ek aur sher mai apne Rajpal Dular Sir ko dedicate karta hoon:-



pyase khade hue hain, jo dariya ke aas paas
kitne hi badnaseeb hain is jahaan me.


:boxing:rock:thappad
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top