Shayari !!.....

Status
Not open for further replies.
lyo bhai ek aur..

raaste khud hi tabaahi ke nikaale hamne..
kar diya dil kisi patthar ke hawaale hamne..
humko maaloom hai kya shay hai mohabbat logo...
apna ghar phoonk ke dekhe hain ujaale hamne.
 
na tabeebo ki talab hai...
na dawa maangi hai..
neend chaahu...
teri julfoo ki hawa maangi hai...
aur dushmano.........
dushmano haath uthaao..ke main jiyu barso...
..... dosto ne mere marne ki duva maangi hai.
 
This one is my fave:

Muddat hui tamaam ye afsaana ho gaya..
.. dekho toh sahar apna bhi viraana ho gya...
... lo jaa raha hai kaid-e-anaasir ko todkar...
.. aazaad har grift se dewaana ho gya...
 
Jab bhi milti hai nazar unki khafa milti hai...
kaun se jurm ki mujhko ye saja milti hai..
aise kam hote hain duniya mein naseebo waale...
jinko badle mein wafaao ke wafa milti hai.

:rock
 
ek sher meri taraf se bhi jo maine likha hai.Here i go.....

दिल ऐ ख्वाइश है इतनी,ना पहुचे ताउम्म्र सब्ब्र तक
दिल ऐ ख्वाइश हो न खत्म,जब तक ना हो रुक्सत कब्ब्र तक!
 
kisi k pyer mein gehri chot khai hai,
wafa se pehle he bewafai pai hai,
log to dua mangte hain is haal me marne ki,
par hum ne us ki yaadon mein jeene ki kasam khai hai.......
 
ek aur sher jo maine likha hai:o
आंधियो से चट्टानें झुकती नहीं,पथरों से दरिया की लहरें रूकती नहीं
हमको जो टक्कर दे वो एक हम ही है,और कोई दे ऐसी किसी की हस्ती नहीं

ek sher meri taraf se bhi jo maine likha hai.Here i go.....

दिल ऐ ख्वाइश है इतनी,ना पहुचे ताउम्म्र सब्ब्र तक
दिल ऐ ख्वाइश हो न खत्म,जब तक ना हो रुक्सत कब्ब्र तक!
 
Kabhi Kisi Ke Liye Mat Rona, Kyunkeh Woh Tumhare Aansuon Ke Kabil Nahi Hoga
Aur Jo Is Kabil Hoga, Woh Tumhe Kabhi Rone Hi Nahi Dega….
 
Aakhon ki zuban wo samajh nahi pate,honth hain magar kuch keh nahi pate,
apni bebasi kis tarah kahen, koi hai jinke bina hum reh nahi paathe……..
 
रास्ता काट के हर बार गुजर जाता है ...
जैसे परदेश में तहवार गुजर जाता है....
जिंदगी इश्क में इस कदर गुजरी है अपनी दानिश....
जैसे बाज़ार से नादार गुजर जाता है....


मेरी बर्बादी का अब जश्न मनाओ यारो ....
घर मेरा सामने मेरे ही जलाओ यारो.....
 
Batao Kaisa Lagta Hai…?
Kisi Veraan Raste Pe,
Kisi Anjaan Raste Pe,
Kisi Ka Saath Mil Jaana,
Khushi Ke Phool Khil Jaana,
Batao Kaisa Lagta Hai…?
Aur Uss Ke Baad Phir Ek Din,
Kisi Ka Youn Bichar Jaana,
Sabhi Rangon Ka Mit Jaana,
Woh Band Mutthi Mein Haathon Ki,
Faqat Kuch Rait Reh Jaana,
Batao Kaisa Lagta Hai…?
 
Humari baAton se ittefaq karoge kyon nahin
Main jo andheron me khara hun ik roushni liye
Ek ummid hai qayam abtak mujhme JAAN
main aasmaan bichhaunga tumhari zameen ke liye.
 
lamho mein jo kat jae wo kya jindagi
aansuo mein jo beh jae wo kya jindagi
jindagi ka to falsafa hi kuch aur hai
jo har kisi ko samajh aae wo kya jindagi
 
Aisa lagta hai zindagi tum ho
ajnabee kaise ajnabee tum ho
ab koi aarzoo nahin baakee
justjoo meri aakhri tum ho
main zameen par ghana andhera hoon
aasmaanon ki chandni tum ho
doston se wafa ki ummeeden
kis zamaane ke aadmi tum ho
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top