Shayari !!.....

Status
Not open for further replies.
hamari har shaam nase me gujarti thi
hamari har shaam nase me gujarti thi
ek din shaam nase me thi or ham gujar gaye
 
Kuch is tarah teri palkein meri palkoon sey mila dey
ansu terey sarey meri palkoon pey saja dey kuch is tarah teri palkein meri palkoon sey mila dey
tu har ghari , har waqt .. merey saath raha hai
haan ye jism kabhi duur .. kabhi paas raha hai
jo bhi ghum hain ye terey , unhey tu mera pata dey
Kuch is tarah teri palkein meri palkoon sey mila dey
ansu terey sarey meri palkoon pey saja dey
mujh ko tou terey chehrey pey .. ye ghum nahi jachta
jaiz nahi lagta , mujhe ghum sey tera rishta
sun meri guzarish .. isey chehrey sey hatta dey
sun meri guzarish .. isey chehrey sey hatta dey
Kuch is tarah teri palkein meri palkoon sey mila dey
ansu terey sarey meri palkoon pey saja dey
 
apne honthon par sajaa kar tujhe,
ham tere hi geet gaana chahte hain,
jal kar bujh jaana hamari kismat sahi,
bas ek baar roshan hona chahte hain......
 
ab bhi har subah teri yaad chali aati hai,
din hamare sang bita kar raat ko hi jaati hai,
teri yaadon ke aane jaane ka silsila yun hi chalta rehta hai,
aur dil hamara shama ki tarah jalta rehta hai......
 
Humne kab tumse zamane bhar ki daulat maangi hai,bas teri ek nazar ke talabgaar hain hum,<
tum khush raho yehi dua hai meri, kuch aur maangen to gunehgaar hain hum...
 
Aate the khayalon me, ab sapnon me bhi aate ho
Apne chahne waalon ko,kyon itna tadpaate ho
Hum hain bechain yahan, tum wahan muskuraate ho
Dil to liya hamara, ab kya jaanlena chahte ho.....
 
Dil ka ye dard aankhon se beh jaaye to achha hai,
Tu chaah kar bhi hamen yaad na aaye to achha hai,
Maangne ko to khuda se maang len tujhe,
Par ye dua hothon par na aaye to achha hai...
 
Dil ka ye dard aankhon se beh jaaye to achha hai,
Tu chaah kar bhi hamen yaad na aaye to achha hai,
Maangne ko to khuda se maang len tujhe,
Par ye dua hothon par na aaye to achha hai...

agya kasai sare page thokga,,,,,,,,jhkoi ek adha chod de or kime bhi likh lenge log,,,:D:D:D:D:D:D
 
Dua Hai Ki Woh Ab Khawbon Mein Na Mile
Aur Meri Aankhon Mein Koi Aansoo Na Mile
Woh Mere Deedar Ke Liye Behad Tadpe
Aur Usse Mera Hee Saya Na Mile
Jo Galat Fehmi Uske din Mein Hai
Dhoondne Se Bhi Usko Koi Uska Sira Na Mile
Meri Yaadon Ki Uljhan Mein Itna Ulajh Jaye
Ke Yaadon Se Bhaagne Ka Rasta Na Mile
Meri Baaton Ke Samandar Mein Itna Dubbe
Ke Bhool Ke Bhi Us Ko Koi Kinara Na Mile
Jiss Din Milna Ussi Din Hee Bichadna
Ab Humein Milane Wala Koi Din Na Mile
Band Aankhein Jab Bhi Kare Sone Ke Liye
Neendon Ke Desh Ka Koi Raasta Na Mile
Main Door Uss-Se Itna Door Chala Jaayu
Ke Mera Usse Koi Bhi Nishan Na Mile
Mere Dil Ko Be-Dardi Se Todne Wale
Ab Tujh Ko Koi Mujh Sa Na Mile
Chahton Ka Mausam Toh Do Din Mein Guzar Gayi
Mujhsa Chahne Wala Abb Usse Koi Aur Na Mile
Meri Aankhon Se Khawab Cheen-Ne Wale
Dua Mein Mangne Par Bhi Tujhe Mera Pyar Na Mile
 
Dil yeh kehta hai jashan tumne khub manayi hogi
Bhula kar pardees ko Mehfeel bhi sajayi hogi
Bichde huwe is badnaseeb ka Khayaal bhi aya hoga
Jab maang tum ne apni sitaroon Se sajayi hogi
Chand lamhe maajhi ki yaad main Khoye to hoge
Jab aayne ko tumne shakal apni Dekhayi hogi
Do aanshuoon ne bhi rukh-e-zeba ko Chuma to hoga
Guzree huwe yaad jab tum ko Aayi hogi
Jab kahi apnoo ko tum ne Milte dekha hoga
Tasawour main tasweer tum ne Bhi banayi hogi
Jashan ka din hai Khushiyon mein kaid kar lo khud ko
Yeh samjh kar k is main bhi Bahlayi hogi
Tum khush rahoge idar bhi hoga Sukh naseeb
Warna samjh lo yeh aankh Yahan bhi bhar ayi hogi
Kismat ko jo huwa manzoor To hoga kabhi wasaal Jashan..
Is din chaand sitaroon ne bhi Mehfeel sajayi hogi
 
wah bhi wah kheench ke n lelyo kam ne ,,,,,,,
 
Dard diya hai dil ka,
Aur murham lagate ho,
Reh reh kar meri ankho me,
aansu kyu late ho.
Thodi toh fikrr ki hoti,
jane se pehle.
Raton ki needon me,
abb kyu aate ho?

:)
 
Unki galiyoon se jab guzre to manzar ajeeb tha,
Dard tha magar wo dil ke kareeb tha,

Jise hum dhoondhte the apni hathoon ki lakeeroon mein…
Wo kisi doosre ki kismat, kisi aur ka naseeb tha..!!

:D
 
Apni in tanhayion ka ilaaj kis se le hum,
Tere diye dardo ka hisaab kis se le hum,
Humari wafaon ko hamesha prakhne wale,
Teri Bewafaion ka jawaab kis se le hum...
:tamatar
 
Tujhe dekhne ko tarsati hain ankhen,
taras-taras kar bahut barsati hain ankhen,
baras-baras kar jab thak jati hain ankhen,
tuje phir dekhne to tarsati hain ankhen..!!
 
Likhun Kuch Aaj Ye Waqt Ka Takaza Hai,

Dil Mein Dard Abhi Bhi Taza Hai,

Gir Padte Hain Aansu Mere Kaagaz Par,

Lagta Hai Kalam Mein Syahi Kam Aur Ashk ziyada Hai.
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top