Shayri (Part 1)

Status
Not open for further replies.
dariche se jhaankti ladki ajab dukh se bhari hui hai,,,
ki uske aangan me phul pe ek titli mari hui hai...


wo azaano me khoi khoi,wo namazo me roi roi,,,
wo duniya aise dekhti hai jaise usse dari hui hai...


dard se mehekti saanse,wazeefe padhti aankhain,,,
ki shaam-e-ummeed mein ab tak wo dhari hui hai....


dukh ki chadar me lipti-2 safed kapdo me simti-2,,,
mohabbat meri tarah usne shayad kisi se kari hui hai...
 
कितनी खूबसूरती से ,
रब आपकी जिंदगी में
एक दिन जोड़ता हे इसलिए नहीं
की आपको उसकी जरुरत हे
शायद इस लिए
की किसी और को
आप से
आप की ज्यादा जरूरत हे
 
आज जी भर के पी जाए ये इरादा है
किसी बेवफा को याद करने का वादा है
आज लिखुं कुछ बेवफा पर या शराब पर
आज दर्द इस दिल मे कुछ ज्यादा है
 
आज जी भर के पी जाए ये इरादा है
किसी बेवफा को याद करने का वादा है
आज लिखुं कुछ बेवफा पर या शराब पर
आज दर्द इस दिल मे कुछ ज्यादा है
कर देगा नाश नशा
तेरे तन मन का यारा ....
गर जिन्दगी मेँ लिया
इसका तनिक भी सहारा ....
तूने गर पीया इसको
...ये तेरे अरमान पी जायेगा ...
सुलगाया गर इसकौ यारा
तुझे श्मशान दिखा जायेगा ...:)
 
Last edited:
Phir aaj koi gazal tere naam na ho jaye,
ajj kahin likhte likhte shaam na ho jaye.
kar raha hoon intezar tere izhar-e-mohabat ka,
issi intezar mein zindagi tammam na ho jaye.
nahi leta tera naam sar-e-aam is dar se,
kahin tera naam badnaam na ho jaye
mangta hoon dua jab bhi tu yaad aata hai,
ke judai mere pyar ka anjam na ho jaye
soochta hoon,darta hoon aksar tanhai mein,
tumhare dil mein kisi aur ka maqam na ho jaye.
 
ye wafa ka siisila hai to koi baat nahi...
ye dard tumne diya hai to koi baat nahi...

yehi bahut hai ke tum dekh rahe ho kinare se...
hum doob rahe hain to koi baat nahi....!!
 
जब मेरा सूरज डूब रहा था
लोग मशगूल थे इफितियार में
उन्हें ये नहीं पता था की
उनका सूरज भी हे
डूबने की कतार में
 
Aaj Wo Apne Ho Kar Bhi Begane Lage
Mano Hawa Ke Thande Jhoke Hume Jalane Lage
Ek Aah Par Meri Girte The Jinke Hazaro Aansu
Aaj Wo Mere Zakhmo Par Muskurane Lage
 
हम से खेलती रही दुनिया ताश के पत्तों की तरह ,
जिस ने जीता उसने भी फेंका ,जिसने हारा उसने भी फेंका...
 
Yaad Tujhe Kar Main So Gaya
Khawab Ka Dar Khul Gaya Barish Ke Baad

Chand Dekh Kar Badloon Ki Qaid Main
Ik Sitara Ro Deya Barish Ke Baad
 
Tanha rehna seekh raha hoo
Mar kay jeena sekh raha hoo

Maang kay pana seekh liya hai
Paa kay kohna seekh raha hoo

Sabar ko apni rah bana kar
Kanch pay chalna seekh raha hoo

phirtey phirtey sehra sehra
Payas ko peena seekh raha hoo

Jeene kay hein ajeeb taqaze
Zinda rehna seekh raha hoo
 
woh na aaye unki yaad aakar wafa kar gayi,
unse milne ki tamanna sukoon tabah kar gayi.
ahat hui to socha dua asar kar gayi,
darwaaza khol ke dekha mazak humse hawa kar gayi .
 
ab wo manzar na hi wo chehre nazar aate hain....
mujh ko maloom na tha khwaab bhi mar jaate hain...

jaane kis haal mein hum hain ke hamein dekh kar sab....
ek pal ke liye rukte hain aur guzar jaate hain...
 
Mazaa To Humney Intezaar Me Dekha Hai...
Chahat Ka Nasha Pyar Me Dekha Hai...
Log Dhoondtey Hain Mandir Masjiz Me Jisey...
Uss Khuda Ko Humney Apney Yaar Me Dekha Hai...
 
Oper heart surgery unit ke bahar likha hua tha, "Agar dil khol lete apna yaaro ke sath, To aaj kholna Na Padta Auzaro Ke Saath..."

Ar yo sachi baat sai...
 
mila nahi ab tak jise khwabo mein talash karta hoon
firbhi raat bhar usi ke khyalo mein dooba rehta hoon
jaane vo kaha hai kis desh mein hai
jiske main intezaar mein dooba rehta hooon...
 
apno ko yaad karna pyar hai
gairo ka sath dena sanskar hai
dushman ko thikane lagana meri dosti ka singaar hai
ar dosto ko preshan karna mera janam sidh adhikar hai...
 
wo khoobsoorat Hai is kadar kya karu
sare zamane ki un per nigaah hai kya karu
jee chahta hai jala du sare shehar ko
lekin us shehar mein unka bhi ghar hai kya karu...
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top