Shayri (Part 1)

Status
Not open for further replies.
दर्द का साज़ दे रहा हूँ तुम्हे , दिल के सब राज़ दे रहा हूँ तुम्हे,
ये ग़ज़ल-गीत सब बहाने हैं , मैं तो आवाज़ दे रहा हूँ तुम्हे ...
 
क्या लायक-ए-सितम भी नहीं अब मैं दोस्तों ,

पत्थर भी घर में आये ज़माने गुजर गए !!
 
वो मेरे नहीं ये बताना अजीब लगता है
अब उससे आंख मिलाना अजीब लगता है
चाहते थे जिसका हाथ थामना
अब उसको हमसे हाथ मिलाना भी अजीब लगता है।
 
क्युँ मुश्किलों में साथ देते हैं दोस्त,
क्युँ गम कोबांट लेते है दोस्त
,
ना रिश्ता खून का ना रिवाज से बंधा,
फिर भी जिन्दगी भरसाथ देते हैं दोस्त|
 
उसे इसका इल्म नहीं की उसने क्या खोया है
छोडो क्या जगाना उस शक्श जिसका ज़मीर सोया है
 
कोई शायर, कोई पागल, कोई बेपीर बन जाए
जो भी देखे तेरी सूरत वो खुद तस्वीर बन जाए
 
Phir Kab Milenge Yeh Unhone Pucha Nahi
Kyu Ho Rahe Hain Juda Yeh Humne Bataya Nahi
Kab Unke Aansuo Ne Humko Bewafa Kaha Pata Hi Nahi
Bus Woh Waqt Hi Kuch Aisa Tha Jisko Humne Pehchana Nahi…
 
Jo Mila Waqt To Bulaunga Use
Us Ke Diye Zakhm Bhi Dikhaunga Use
Us Ki Ye Tamanna Bhi Puri Karunga Ek Roz
Jab Niklegi Aakhri Saans Bhool Jayunga Use…
 
na roke aaj humey koi, dard mein doob jaane de
jitney bhi ansoo kaid hain, aaj unko bahaane de
suna hai humney, pani ki dhaar se patthar bhi kat jate hain
dekhenge, haal pe mere kya sang dil bhi pighal jatey hain…
 
[FONT=&quot]Hawa keh rahi thi bhul ja uski mehek..[/FONT]
[FONT=&quot]Na wo teri thi kabhi na hogi kabhi..[/FONT]
[FONT=&quot]Barsaat keh rahi thi rok le apne aansu..[/FONT]
[FONT=&quot]Na wo teri thi kabhi na hogi kabhi..[/FONT]
[FONT=&quot]Raah keh rahi thi badal de apni manzil..[/FONT]
[FONT=&quot]Na wo teri thi kabhi na hogi kabhi..[/FONT]
[FONT=&quot]Waqt keh raha tha aage badh mere saath..[/FONT]
[FONT=&quot]Na wo teri thi kabhi na hogi kabhi..[/FONT]
[FONT=&quot]Yaadein keh rahi thi bhool jaa hume..[/FONT]
[FONT=&quot]Na wo teri thi kabhi na hogi kabhi..[/FONT]
[FONT=&quot]Par dil keh raha tha puchh le apne aap se..[/FONT]
[FONT=&quot]Shayad woh teri thi kabhi…[/FONT]​
[FONT=&quot]
[/FONT]​
 
aisa bhi din aayega kabhi socha na tha
mera saaya hi mujhse bichhad jaayega kabhi socha na tha
wo insaan jo tha meri har muskaan ki wajah
mujhe tanha rotaa hua chhod jaayega kabhi socha na tha
jannat jaisa tha har lamha jiske saath se
uska khayaal mujhe tadpaayega kabhi socha na tha..
samajhta tha khud ko khushnaseeb vo aaye to
mera naseeb hi mujhse rooth jaayega kabhi socha na tha…
 
naadan hai mujhe patthar dil bataane waale
shaayad bhul gaye hain ek baat ye zamaane waale
patthar ki keemat un haathon se pucho…
taraash ke tajmahal bana gye jo banaane waale.Dard Hota Hai Magar Shikwa Nahi Karte
Kon Kehta Hai Ki Hum Wafa Nahi Karte
Aakhir Kyu Nahi Badlti Taqdeer ‘VIKAS’ Ki
Kya Mujhko Chahne Wale Mere Liye Dua Nahi Karte…
 
Meri Mohabbat Ki Badi Chhoti Kahani Hai,
Dil Toota Hua Aur Aankho Se Behta Paani Hai,
Kuch Bikhre Armaan Aur Beechada Saathi,
Dekh Mera Haal, Yaar Ka Aankhon Mein Aata Paani Hai,
Kabhi Samjhane Aaya Mera Yaar “Ke Bhool Ja Mujhe”,
Laut Gaya Mayoos Jab Pucha, “Yeh Ashq Kiski Nishani Hai”,
Log Kehte Hain Majnoo Tha Deewana Aur Laila Deewani Hai,
Puchta Hu Khuda Se Kyon Ishq Banaya, Kya Aashiqo Se Koi Dushmani Purani Hai…
 
Aur Kitni Karun Main Tujhse Eiltza,
Teri Be-rukhi Se Hu Main Paresaan,
Mohabbat Khel Hai Fareb Ka,
Par Samjhta Hi Nahi Mera Dil-e-Nadaan….
 
Ashkoan Ki Barsaat De Gayee
Wo Jaate Jaate,
Aahon Ki Saughat De Gayee,
Wo Jaate Jaate,
Dil Ne Chaha Tha Bhar Lenge Use, Baahon Me,
Aarzuon Ki Bouchhar De Gayee,
Wo Jaate Jaate,
Badhaya Jo Khadam Maine Use, Chhune Ke Liye,
Raahon Me Kaantein Bikher Gayee
Wo Jaate Jaate,
Lada Tha Main Duniya Se Jiski Khatir,
Hami Par War Kar Gayee, Vo Jaate Jaate…
 
Ho Chuka Ab Kisi Ka Wo,
Kabi Meri Zindgi Tha Wo,

Bhoolta Hai Kon MOHABBAT Pehli,
Meri To Sari Khushi Tha Wo,

Phool Ki Tarah Muskrata Tha,
Mere Honton Ki Haansi Tha Wo,

Baad Barson K Usse Dekha Tha,
Aaj B Utna Hi Haseen Tha Wo,

Zindgi Naam Jis Ke Kr Di,
Log Kehte Hain Ajnabi Tha Wo…
 
Dard Se Hum Ab Khelna Seekh Gaye,
Hum teri yaadon Ke Saath Jeena Seekh Gaye,
Kya Batayein Kis Kadar Dil Toota Hai Mera,
Maut Se Pehle, Kafan Aud Ker Sona Seekh Gaye….
 
Ye Kiski Yaadein Hai, Ye Kiska Tarana Hai,
Jo Ashk Hai Aankhon Mein Dard Ka Fasana Hai,
Aankhon Mein Nami Liye Chup Hum Baithe Hai,
Jane Kaun Sa Zakham Hai, Dil Jiska Thikana Hai….
 
Khawab Tha Bhikar Gaya, Khayal Tha Mila Nahi,
Magar Ye Dil Ko Kya Hua, Ye Kyu Bujha Pata Nahi,
Tamam Din Udaas Din, Tamaam Shab Udasiyan,
Kissi Se Kya Bichad Gaya, Ke Jaise Kuch Bacha Nahi….
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top