Some Auditions on Kaun Banega Karorpati !!!

Status
Not open for further replies.

budhian

New member
Since Amitabh Bachchan's contract for Kaun Banega Crorepati is expired, here are a few auditions for the show.

Shatrughan Sinha : Khamosh ! Bihari babu ke saamne zaban chalata hai.
Tera cheque phaad ke phek doonga.

Dharmendra : Galat jawab ! Kutte Kameene,
main tera khoon pee jaoonga.

Amrish Puri : Sahi jawab ! Mogambo khush hua !

Amjad Khan : Kitne options the ? Chaar !
Soover ke bachchon ! Chaar chaar options !
Bahut na-insaafi hai. ! Dhish-keoin Dhish-keoin !
50-50 kar ke do galat jawab main uda diye.
Ab bol, tera kya hoga kaaliya?

Nana Patekar : Jaldi se jawab bol.
Sahi jawab tere ko lakhpati bana dalega.
Galat jawab tere ko hijda bana dega.

Sanjay Dutt : Aye item log, kaye ko udhar khada hai?
Udhar aake mere pass baith jaa.
Kya be chikne - tere ko aata hai to bol dal varna main tere ko idhar-eech phod dalega.

Raj Kumar : Jaani, huuum, hhhuuuum hote to apne dost ko phone kar ke sawaal pooch lete.

Jagdeep : Bole to Soorma Bhopali - meri jeb ho gayi khaali.
Mere pass to koi cheque nahin hain. Arre mujhko jaane do.

Mithun Chakraborty : Eeyaeech ! Tu audience poll karega?
Aye, yahan ke public ke paas time nahin hai.
Kya nahin hai ? Time nahin hai.

Kesto Mukherji : Hee-heek. Hee-yaik.
Apne ko sab kuch do-do dikh rahela hai.Hee-heek.
Yeh aath options kidhar se aa gaye ?
Hee-yok. Apne ko bahut chad gayeli hai.

Ashok Kumar : To abhi aapne yeh dekha ( wheeze ),
ki yahan se Delhi ke Ramesh Kumar ( gasp ),
yahan se Rs. 20,000 leke chale gaye. ( groan ).
Kal aur dus logon ko leke phir milenge Hum Log ( croak )
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top