Straight From The Heart -- Jit

Status
Not open for further replies.
Ek tu teri aawaaz yaad aayegi
teri kahi hui har baat yaad aayegi
Din dhal jaayega par raat bada satayege
har lamha pehli mulaqaat yaad aayegi
Kabhi hasti kabhi roti kabhi muskurati..
ye zindgi tere bin bhi kat jaayegi
Par teri kami hamesha tapaayege
 
nikitadhaiya said:
Ek tu teri aawaaz yaad aayegi
teri kahi hui har baat yaad aayegi
Din dhal jaayega par raat bada satayege
har lamha pehli mulaqaat yaad aayegi
Kabhi hasti kabhi roti kabhi muskurati..
ye zindgi tere bin bhi kat jaayegi
Par teri kami hamesha tapaayege



Unko bhi humse mohabbat ho jaroori to nahin
Eek si dodo ki haalat ho jaroori to nahin
Muskurane se bhi hota hai bayan-e-gum-e-dil
Dard ko roone ki aadat ho jaroori to nahin
 
downtoearth said:
har waqt terey chehrey pey muskaan rehti hai
terey aankhoon ki nami sachaai batati hai

Sakht dil bohat hoon phir bhi najany kyon
Teri yad mujhey din - raat rulaati hai

Apni mohabat say jala day mujhay istarah
Jaisay parwaanay ko shama hi jalati hai

Bahut gham daity rahi awaz-ey-zindagi mujhay
Ab to us kay baad mujhko mout bulati hai


Simply excellent Rupi !


Mil kar juda huye to na soya karenge hum
Ek doosre ki yaad main roya karenge hum


Aanshoo chhalak chhalak ke satayenge raat bhar
Moti palak palak mein piroya karenge hum


Jab dooriyon ki aag diloon ko jalayegi
Jismo ko chandani mein bhigoya karenge hum


Gar de gaya daga humen toofan bhi
Saahil pe kishitiyon ki duboyan karenge hum
 
nikitadhaiya said:
Ek tu teri aawaaz yaad aayegi
teri kahi hui har baat yaad aayegi
Din dhal jaayega par raat bada satayege
har lamha pehli mulaqaat yaad aayegi
Kabhi hasti kabhi roti kabhi muskurati..
ye zindgi tere bin bhi kat jaayegi
Par teri kami hamesha tapaayege


Nikita very good one !



Mere najdeek se gujar gaye aur mera haal bhi na poochha
Kaise maan loon ki woh door jaakar bahut roye
 
gud stuff Nikki :)
add more...

here's a latest one ~

Zindagi mein Dost ki Ahimyat Bata Nahin Sakte,
Dill mein Aapki Jagah Dikha Nahin Sakte,
Kuch Riste Anmol Hote hain,
Yeh Hum Aapko Samja Nahin Sakte!


Rock on
Jit

nikitadhaiya said:
Ek tu teri aawaaz yaad aayegi
teri kahi hui har baat yaad aayegi
Din dhal jaayega par raat bada satayege
har lamha pehli mulaqaat yaad aayegi
Kabhi hasti kabhi roti kabhi muskurati..
ye zindgi tere bin bhi kat jaayegi
Par teri kami hamesha tapaayege
 
Aansuon ke chalakne ki aawaz nahi hoti,
dil ke tutne ki aahat nahi hoti..........
agar hota khuda ko har dard ka ehsas,
to use yun dard dene ki aadat nahi hoti
 
Tammanah ne zindagi ke anchal mein sar rakh ke poocha- Mein kab poori hoongi ?
Zindagi nei hans kar kaha - jo poori ho jaye, woh tammanah hi kya !!!!!
 
rana1979 said:
Tammanah ne zindagi ke anchal mein sar rakh ke poocha- Mein kab poori hoongi ?
Zindagi nei hans kar kaha - jo poori ho jaye, woh tammanah hi kya !!!!!


Jo tamanna thi dil main ghut kar rah gai
Usne poochaa bhi nahi humne bataya bhi nahi
 
Jit bhai bahut mast kaam suru kiya aapne. jab kar hi diya hai to 2-4 hum bhi add kar hi de

:cool:
Badlon ke darmiyan kuch aisi sajis hui,
mera ghar mitti ka tha mere hi ghar barish hui.
usko bhi jidd hai bijliyan girane ki,
aur hame bhi jidd hai vahi aashiyan banane ki.

aapki ek muskurahat ne hamare hosh uda diye,
aapki ek muskurahat ne hamare hosh uda diye,
Hum hosh mein aane hi vale the ki aap phir muskura diye.

contd......

R.S.Singh
Meerut(U.P.)
 
Bhai Ravi,
this one is Really gud n touchin :)
thanks bro!

rock on
Jit

ravi.shekhar said:
Jit bhai bahut mast kaam suru kiya aapne. jab kar hi diya hai to 2-4 hum bhi add kar hi de

:cool:
Badlon ke darmiyan kuch aisi sajis hui,
mera ghar mitti ka tha mere hi ghar barish hui.
usko bhi jidd hai bijliyan girane ki,
aur hame bhi jidd hai vahi aashiyan banane ki.


contd......

R.S.Singh
Meerut(U.P.)
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top