Tanhaai.....

Status
Not open for further replies.
Main yaha tu waha ,pyaar jaane ab hai kaha
kabhi karte the pehro baatein,dhero kasmein dhero waadein;
kasmein tuti,waadein tute,saath hum bhi toot gaye;
Ab tanhaai ke saaye mein tanha akele tadapte hai,
Dil aaj bhi tujhko chahta hai,hum tere liye taraste hain.............

[FONT=&quot]youn to koi tanha nahi hota,
chaah kar bhi koi juda nahi hota,
mohabbat ko to majbooriya hi le doobti hai,
warna khushi se koi juda nahi hota!!
[/FONT]
 
mama

Vo aaj bhi hume dekh kar muskurate hain
Vo aaj bhi hume dekh kar muskurate hain
Yeh to unke bachche hee kaminey hain,
Jo Mama Mama kehke bulaate hain
 
Its not like that !

[FONT=&quot]youn to koi tanha nahi hota,
chaah kar bhi koi juda nahi hota,
mohabbat ko to majbooriya hi le doobti hai,
warna khushi se koi juda nahi hota!!
[/FONT]

~~
~~~
Majbooriyaan to zindagi ka hi doosra naam hain
Jo isme hi doob jaaye uska naam mohhabat nahi hota ....

Khushi se beshak koi juda nahi hota
Par gam se jo pighal jaaye uska naam bhi wafa nahi hota ....

Yun to kehne ko bahaane hazaar hain
Par majbooriyo me mohabbat ko doobaane ka saahas nahi hota ..
..
 
Last edited:
Wow!!!!!

Our jats are very creative....:D Nice shayari on tanhai....sahi kahun yeh sab padh kar meri tanhai hat gayi....

keep it up guys...

:)
 
dard

pyar prichay ko pehchaan bana deta hai,
phool virano ko gulistan bana deta hai,
yaha aap biti kahe raha hoon parayi nahi,
dard aadmi ko insan bana deta hai.....

dahiya........................

~~
~~~
Majbooriyaan to zindagi ka hi doosra naam hain
Jo isme hi doob jaaye uska naam mohhabat nahi hota ....

Khushi se beshak koi juda nahi hota
Par gam se jo pighal jaaye uska naam bhi wafa nahi hota ....

Yun to kehne ko bahaane hazaar hain
Par majbooriyo me mohabbat ko doobaane ka saahas nahi hota ....

Muddat Ho gai Un tanhaio ko gujre
Phir abb bhi inn ankho me Khamoshi kyu hein ???

Tod Diya Yakin Mohabbat par se Jisne Mera...
Wo Sakhs abb bhi Pyar ke Kabil kyu Hain ??

Chun chun kar jiski yado ko apne jivan se Nikala maine...
Wo abb bhi mere Din me raat me shamil kyu hain ???

Yaad na aayee Mujhe Chahat Jiski...
Mere dil par abb bhi uski HUKUMAT Kyu hain ??

Khatam Ho gaya Jo rishta , Wo aaj bhi Sans le raha hein...
Mere vartman me abb bhi Shamil Kyu hain ??
 
Bahut achha .... tumhaari kavita aur signature kuch kahani bayan kar rahe hai :)
 
Tanhai Bhi Ab Apni Si Lagne Lagi Hai,
Ye Mujhko Kuchh Aisa Bhi Yaad Dilaati Hai,
Bite Lamhon Me Jab Bhi Dil Kho Jata Hai,
Ye Mujhko Mere Aur Nazdeek Le Aati Hai,
Pyar Hum Shayad Khud Se Hi Itna Karne Lage Hai,
Ki Ab Na Koi Sapna Aata Hai Na Koi Yaad Tadpati Hai

...wah wah...wah wah:)
-Rahul Nadarya
 
jab bhi mehfil............

Karoge yaad ek din iss pyaar ke deewane ko....
chale jayenge jab hum vapas na aane ko,
Chalega jab mehfil mein zikr hamara koi....
tum bhi tanhai dhoondoge aansu bahane ko

Status
Not open for further replies.
Back
Top