N
nitika
Guest
acha guzra hua waqt bahut yaad aaya .....
tere aane se aa jaati thi mehfil mein ronak
aaj jab koi nahin aaya to tu bahut yaad aaya.....
Jiska hamesha se khayalon mein aana jana tha
aaj jab palkon ko jhukaya to tu bahut yaad aaya.....
bahut baar aawaz di meine apne hi naam ki
aaj phir khud ko bulaya to tu bahut yaad aaya.....
aaj bethe the hum anjane ki mehfil mein
doston ka kissa unhone sunaya to tu bahut yaad aaya....
meri ankhon ke har ik ashk pe ronay wala
aaj jab ankh ye roi to tu bahut yaad aaya......
jo mere dard ko seene mein chupaye betha tha
aaj jab dard hua mujhko to tu bahut yaad aaya.....
jo meri ankhon mein kajal ki tarah rehta tha
aaj kajal jab lagaya to tu bahut yaad aaya......
mere jevan ki har khushi mein wohi tha
aaj jab yaad aaya to tu bahut yaad aaya.....