Main aaya tha jamaane mein,
Bass ek insaan ban ne ko.
Naa jaane kabb taras baitha,
Main bhi Bhagwaan ban ne ko.
Jo mutthi khol karr dekha ,
To mere haath the khaali.
Uski khanakk si goonji,
Kahti thi main hoon niraali.
Yeh bol kar wo chal di,
aur main nihaarta rahaa.
Wo udd chali kahin door,
aur main pukaarta rahaa.
Wo aayegi laut kar,
abhi tak aas hai baaki.
Nihaaroonga uss dagar ko,
jabb takk saans hai baaki.
Aankhen khulengi,
haath faddfadaayenge.
Dhadkan jaagegi,
Honth tharrthrrayenge.
Ungliyaan hilengi,
uss paak daaman se pahchaan hogi.
Ahsaas hoga usey paa liya,
Tabb iss jism se judaa,
ye jaan hogi.
Bass ek insaan ban ne ko.
Naa jaane kabb taras baitha,
Main bhi Bhagwaan ban ne ko.
Jo mutthi khol karr dekha ,
To mere haath the khaali.
Uski khanakk si goonji,
Kahti thi main hoon niraali.
Yeh bol kar wo chal di,
aur main nihaarta rahaa.
Wo udd chali kahin door,
aur main pukaarta rahaa.
Wo aayegi laut kar,
abhi tak aas hai baaki.
Nihaaroonga uss dagar ko,
jabb takk saans hai baaki.
Aankhen khulengi,
haath faddfadaayenge.
Dhadkan jaagegi,
Honth tharrthrrayenge.
Ungliyaan hilengi,
uss paak daaman se pahchaan hogi.
Ahsaas hoga usey paa liya,
Tabb iss jism se judaa,
ye jaan hogi.