ye sab bakawaas hai mere liye ... holi diwaali raksha bandhan valentines day aur saare tyohaar ya fir sabhi achha plateform provide karteinhai masti aur fun ke liye ... mukesh and others jo yaha criticize kar rahe hai ki kya ye hi ek din hotahai pyaar karne ka ... then tell me ki Raksha Bandhan hi ek din hota hai jaha par bhai behen ko bole ki teri raksha karunga ... agar woh din nahi hota toh salla behen jaaye bhaad mein ... mujhe kuch lena dena nahi hai ... aisa kya ??? Bakwaas hai ye sab ... agar meri behen ne mujhe raakhi nahi baandi toh mei uski help nahi karunga... bullshit ... kyu Raksha bandhan aur aise hi tyohaar hai na barbaad.... diwaali ke aap paas ek do tyohaar aata hai ... Karwachothh, Ahoyi ... Bakwaas valentine se bada bakwaas... khana mat khaao toh husband achaa rahega ... ahoyi ka vrat nahi rakha toh maa ka pachho se vaatsalya kam ho jaayega kya ??? haaa ffaltu ke dhong ... agar Valentine dhong hai toh isse bhi kehne ki himmat rakho ... mei kissi ki himaayat nahi le raha Valentine's day ho ya koi Ghonchu's day ... par jab kuch bol rahe ho toh sabko equal tolo dost ... apne ko achha dossre ko bakwaas bolna khudh mein ek bakwaas hai ....
AUr badi baat ... jaise kissi ne upar likha hai ki jiske paas kuch hota hai celebrate karne ka toh unke liye meaning hai ... jo saale lukhe baithe hai unko toh ye barbaad din lagta hai ... hehe... waise mei bhi lukha hoon
Gifts aur paise ki baat hai ... toh diwaali par sabse jyada lights, decoration , mithai ki barbaadi hoti hai... bomb patake mein barbaadi ... pollution ... haaaaaaaakkkk ... band karo iss drame ko... abse ghar par koi aaye gift le kar toh kaan ke neeche mast tadaak se dena aur bolna kyu ye useless gift laaye ho ... bhaag hum valentine aur diwaali nahi manatein
baaki agli post mein .....