Wafa aur mohabbat

Status
Not open for further replies.
hi vijay u really wrote this gazal from ur bottom of heart .its quite good ,i like it.keep going.

Thanks for the appreciation bhai Jasbir

lamho-lamho main waqt na gujar jaaye
pal do pal main din na dhal jaaye
karni hai to abhi karlo baatein
kal koi aapke liye humse badhkar na ho jaaye....................

Nice Prashant bhai,

My reply

Waada karke aaj bhi nahin aaye woh
Kahin ye umar ek intezaar na ban jaaye
Aaj to bhej rahen hain chaahat ka paigam
Kal yahi ikraar kahin inkaar na ban jayee
.
 
Last edited by a moderator:
lamho-lamho main waqt na gujar jaaye
pal do pal main din na dhal jaaye
karni hai to abhi karlo baatein
kal koi aapke liye humse badhkar na ho jaaye....................

Yoon dil me darr rakh kar kabhi pyar nahin hota
mat bandh kissi ke pyar ko apne jazzbat se
shak nahin pyar ki bhasha uski aankhon me pad
warna ye pyar nahin mahaj sauda hai haalaat se.

Shamma ko parvane ke jalne ka ahsaas kahan hota hai
husan ke ikraar or inkar me jyada fark nahin hota hai
mohabbat to mahaj ek dil-lagi hai husnwalon ke liye
dil-jalon ke dard ka ahsaas unhen kahan hota hai
.
 
Last edited by a moderator:
Yoon dil me darr rakh kar kabhi pyar nahin hota
mat bandh kissi ke pyar ko apne jazzbat se
shak nahin pyar ki bhasha uski aankhon me pad
warna ye pyar nahin mahaj sauda hai haalaat se.

Kab tak koi baandh ke rakhoge tum kisi ko
Ye dil ka rishta hai koi jan pehchaan nahin
Dil khud hi bayaan kar dega haqeeqat ko
Ki ye rishta sirf pal do pal ka mehmaan nahin

Shamma ko parvane ke jalne ka ahsaas kahan hota hai
husan ke ikraar or inkar me jyada fark nahin hota hai
mohabbat to mahaj ek dil-lagi hai husnwalon ke liye
dil-jalon ke dard ka ahsaas unhen kahan hota hai

Woh shama kya parvaane ko jaan payegi
Jiske muquddar mein likhi koi pyas nahin
Diljalo ne jaan luta dee unki mohabbat mein
Aur unko abhi tak iska ahsaas bhi nahin

.
 
Last edited by a moderator:
Aankhon ki shraarat bhi kabhi rang laayegi
Es shararat mein chhupi koi adavat hi to hai

Kisi aur ki khushiyaan koi nahin chura sakta
Sabke naseeb mein likhi unki kismat hi to hai

'Wafa aur mohabbat' pe sab hote hain kurbaan
Apno ko pehchaan lena yahan ek neemat hi to hai

Mohabbat to dil ka rishta hai sirf kabiliyat nahin
Kaun jane kiske hathon mein kiski kismat hi to hai

In aankhon ki sharart ko nazar na lag jaaye kabhi
sirf apno ko chedne ki in aankhon ko aadat hi to hai

Un khushiyon ki kismat hun jaise doston se hi hai
jinhe apki khushiyon me khush hone ki aadat hi to hai

Ye wafa hai ab dosto pe kurbaan karne ke liye
Is Mohabbat me to pa chuke kisi ki nusrat hi to hai

Sabhi rishton ko naam mile hain isi duniya se
jo mil jaaye ek in lafzo ke rishte ko,inayat hi to hai
 
En ankhon mein palte hain kuchh sapne bhi
Sapno ki kadar karna bhi ek inaayat hi to hai

Sirf apne hi to hote hain khushiyon me shamil
Warna yahan logon mein jalne ki aadat hi to hai

'Wafa aur mohabbat' jude hote hain ek dusre se
Inko juda karna ek duje se, ek badneeyat hi to hai

Rishte apna koi naam dhoondh lete hain khud hi
Abhi bhi pehchan nahin paaye, masoomiyat hi to hai
 
ye aankhen intzaar karte karte ab sapno tak aa pahunchi
kadr kare koi humare sapno ki bhi,hogi aankho pe rehmat hi to hai

humari khushiyon me shamil hota hai ye sara jahan
bin wajah khush hona bhi humari ek aadat hi to hai

sirf pyaar me Wafa or Mohabbat juda nahi hoti
humare khuda ne bakshi hume inki daulat hi to hai

in lafzo ko humne shuru kiya or aap inme shamil hue
khatam bhi hum hi karte hain,milegi lafzo ko rahat hi to hai
 
En ankhon mein intezaar bhi hai aur sapne bhi
Aur sapne dekhna en ankhon ki khashiyat hi to hai

Khushiyon mein to sabhi log shaamil hote hai
Gum mein saath nahin nibhana asliyat hi to hai

'Wafa aur mohabbat' ki daulat milli hai aapko to
Hum to itna kahenge ki aap khushkismat hi to hai

En lafzon ko koi shuru kare ya koi bhi anjaam de
Dil se dil ka rishta rakhta koi ahamiyat hi to hai

* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *

Ye bhool bhi humse kyon har baar hoti hai
Mohabbat kyon kisi matlabi yaar se hoti hai
Ye waada mohabbat ka kya jhutha hai yahan
Ees zindagi ki shuruwat to pyaar se hoti hai

Ye dil bhi kyon ye galti har bar karta hai
Har roz ye kisi ajnabi se hi pyar karta hai
Kyon nahin samajhta ki sayaani hai duniya
Mohabbat bhi koi soch samajh kar karta hai

.
 
Last edited by a moderator:
Ye bhool bhi humse kyon har baar hoti hai
Mohabbat kyon kisi matlabi yaar se hoti hai
Ye waada mohabbat ka kya jhutha hai yahan
Ees zindagi ki shuruwat to pyaar se hoti hai

Bhool kar bhi aksar anjaane me bhool ho jaati hai
Gumnaam andheri me nazar dhokha kha jaati hai
mat pooch kyon bhatke huye ko manzil ki chah hoti hai
ye duniyan ek dhokha hai kabhi manzil kareeb nazar dur hoti hai

Ye dil bhi kyon ye galti har bar karta hai
Har roz ye kisi ajnabi se hi pyar karta hai
Kyon nahin samajhta ki sayaani hai duniya
Mohabbat bhi koi soch samajh kar karta hai

dilfenk aashiq ka hi dil har roz kissi ajnabi pe aataa hai
haath me dil uthaye har roz yoon baazar me kuan aataa hai
dil tootne ka dar har dilrubaa ko bhi hai ye aashiq
dard koi bhi ho har dard se har koi apna daaman bachaata hai
.
 
Last edited by a moderator:
Bhool kar bhi aksar anjaane me bhool ho jaati hai
Gumnaam andheri me nazar dhokha kha jaati hai
mat pooch kyon bhatke huye ko manzil ki chah hoti hai
ye duniyan ek dhokha hai kabhi manzil kareeb nazar dur hoti hai

Mana ki bhool hoti hai har ek insaan se
Lekin kyon ye hadsaa bar bar hota hai
Manzil paas aaker bhi hai door chali jaati
Aur dil ka har ek armaan zar zar hota hai
 
.
hadshon ko chod ae dost jindgi ki kushiyan dekh
mat chal ek hi raaste par koi or raasta dekh
Manzil pass ho yaa door doondne se kahan milti hai
ajnabi ko hamsafar banaane se manzil nahi milti hai.

* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *

Haadson se hamne sikha hotaa to khushiyan na mahroom hoti
Raaston ko agar kabhi jaana hota to mazil kabhi naa door hoti,
Es man ke bahav me bah kar bhatak gayee hai ye jindgi
bhatkti huyee bhavnaaon ko roka hota to haseen hoti ye jindgi

Jindgi hi to manzil hai koi hadsaa nahin
bahut pagdandiyan iski sirf ek raasta nahin
doondne se milti nahin kushi andheron me
andheron ka kushi se kabhi koi vaastaa nahin
.
 
Last edited by a moderator:
hadshon ko chod ae dost jindgi ki kushiyan dekh
mat chal ek hi raaste par koi or raasta dekh
Manzil pass ho yaa door doondne se kahan milti hai
ajnabi ko hamsafar banaane se manzil nahi milti hai.

Ye haadse hi to bar bar aate hai zindagi mein
Khushiyan kyon hamesha daamaan churaati hai
Manzilon ki yahan kaun parwah karta hai ae dost
Ye ankhen kyon roz koi jhutha swapan dhikhati hai

Haadson se hamne sikha hotaa to khushiyan na mahroom hoti
Raaston ko agar kabhi jaana hota to mazil kabhi naa door hoti,
Es man ke bahav me bah kar bhatak gayee hai ye jindgi
bhatkti huyee bhavnaaon ko roka hota to haseen hoti ye jindgi

Ye zindagi bhi kya hai ek haadsa hi to hai
Manzil tak na pahuncha ek raasta hi to hai
Zindagi kab tak bhatkegi es tarah andheron mein
Aakhir hamara bhi khushi se koi wasta hi to hai

Jindgi hi to manzil hai koi hadsaa nahin
bahut pagdandiyan iski sirf ek raasta nahin
doondne se milti nahin kushi andheron me
andheron ka kushi se kabhi koi vaastaa nahin

Andhere hamesha nahi rahte intezaar hai
Khushi ka zindagi se kiya wada nibhana
Ye manzil humse bachkar kahan jaayegi
Seekha hai humne bhi naye raasta banana

.
 
Last edited by a moderator:
Andhere hamesha nahi rahte intezaar hai
Khushi ka zindagi se kiya wada nibhana
Ye manzil humse bachkar kahan jaayegi
Seekha hai humne bhi naye raasta banana

Ek dariya ki tarah naya rasta bana lo
dil ke ujale se jindgi roshan bana lo
Manzil khud tumhaare kadmon me hogi
Bas issi honsle se kadam aage badaa lo
 
Chalo jag ko bhule..

Samay ki dharaa main, Umar bah jaani hai
Jo ghadi ji lenge, Vahi reh jaani hai
Main ban jaoon saans akhiri, Tu jeevan ban jaaye
Jeevan se saason kaa rishta, main naa bhooloongi :) :) ...
 
Too beautiful.....!!!

* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *

Sapnon ki es duniya me, jindgi gujar jaani hai
do lamhe saath bita lo, phir naa laut ke aani hai
main ban jaaoon dhadkan aakhiri, tu dil ban jaaye
dhadkan ka dil se ristaa, main naa bhooloonga.

.
 
Last edited by a moderator:
Hi Neelam ji
Thankoooooo so much:) :)
will continue on different topic.... u'll also enjoy dat
take care
Monika

now i'm waiting for the next topic very eagerly:) :)

Samay ki dharaa main, Umar bah jaani hai
Jo ghadi ji lenge, Vahi reh jaani hai
Main ban jaoon saans akhiri, Tu jeevan ban jaaye
Jeevan se saason kaa rishta, main naa bhooloongi :) :) ...

how sweet:) :) ...bahaut accha likha hai aapne:)

.
 
Last edited by a moderator:
Status
Not open for further replies.
Back
Top