vijay said:Jo deewane hue mohabbat main unhe zindagi ka gum na hua
Jo apni aag main na jal sake woh parai aag main jal gaye
Jalte rehte hein bhanware lakhon ki taddad mei
Kya kabhi phool nei aanssu bahaye hein?
---------------------------------------------------------------
devdahiya said:Jalte rehte hein bhanware lakhon ki taddad mei
Kya kabhi phool nei aanssu bahaye hein?
Mahakane dijiye in phoolo ko gulshan main isi tarah
Ansoo bahane ka kaam hum deewano par chodiye
--------------------------------------------------------------
vijay said:Mahakane dijiye in phoolo ko gulshan main isi tarah
Ansoo bahane ka kaam hum deewano par chodiye
Hum meikhanne chale aur wo dolli mei baithh gaye
Unki raat kaisse gujjari..nahin patta...par hum buss peete rahe.
Last edited by a moderator: