Wafa aur mohabbat

Status
Not open for further replies.
Haaaann haaaan Surme Bhopaaliieeeeeeeeee :D :D
maine teri bhi shayri dekh li arr auro ki bhi...................
We also write for fun .... may b the words (serious words) shows u something else..................we r also tention freeeeee persons:) :) ................
anyways....y don u come n contribute more in """"Wafa aur Mohabbat""

bye take care
abhi aapne kuch nahi dekha hai.. Monika ji... abhi to aap naye panchi hain yahan pe!! .... it takes sum time! :)
 
Kisi dooje par Vishwaas kar nahi sakte hain jo
Wo aaj Jubaan se apni pehchaan batate hain
Baat karte hain"Wafa ar Mohabba"aazmaane ki
Phir kurbaan jaan kar use sacha pyaar batate hain

Kiska vishwaas karen aaj hum yahaan par
Kya uska jisne zindagi ko maut bana diya
Hamaari 'Wafa aur Mohabbat' pe unko shak hai
Kya baatayen aaj apno ne hi humen zinda zala diya
 
Kiska vishwaas karen aaj hum yahaan par
Kya uska jisne zindagi ko maut bana diya
Hamaari 'Wafa aur Mohabbat' pe unko shak hai
Kya baatayen aaj apno ne hi humen zinda zala diya


Wo jo sab ilzaamon ko kisi aur pe hi lagaate hain
Apni Zindagi ko jo doojo ka sahara bataate hain
Hum kyun shak kare unki Wafa or Mohabbat pe
Jo khud ko zinda jala or hume raakh bataate hain
 
Wo jo sab ilzaamon ko kisi aur pe hi lagaate hain
Apni Zindagi ko jo doojo ka sahara bataate hain
Hum kyun shak kare unki Wafa or Mohabbat pe
Jo khud ko zinda jala or hume raakh bataate hain



Kahan koi ilzaam lagaaya yahan kisi par
Kab koi dusron ke sahaare par jeeta hai
'Wafa aur mohabbat' ko jo na samajh sake
Kahan koi unke pyar ke zahar ko peeta hai
 
Wo khush hain dekho unke kaarwaan ke chalne se
Jinke zehan me vishwaas ka matlab hi badal gaya
Rishte,naaton,waadon ka dastoor yahan badal gaya
Pyar me badalta tha insaan, aaj Dosti me bhi badal gaya


Kaun khush hoga yahan zindagi ko luta kar
Rishtey, waade to log pal mein badalte hain
Kya pyar aur kya dosti, jahan vishwas nahi
Zindagi ke har mod pe hum girkar sambhalte hain
 
Kahan koi ilzaam lagaaya yahan kisi par
Kab koi dusron ke sahaare par jeeta hai
'Wafa aur mohabbat' ko jo na samajh sake
Kahan koi unke pyar ke zahar ko peeta hai

Khud to lafzo ke khel me hamehsa uljhe rehte hain
Pehle jis baat ko haan phir usi ko naa kehte hain
Wafa or Mohabbat ki kai paribhasha banai hain aapne
or khud hi dosti ka matlab bhi bhulaaye baithe hain
 
Kaun khush hoga yahan zindagi ko luta kar
Rishtey, waade to log pal mein badalte hain
Kya pyar aur kya dosti, jahan vishwas nahi
Zindagi ke har mod pe hum girkar sambhalte hain

Ab wo baatein vishwaas ki karte hain
Jinke vishwaas ne hi unhe gira diya
Badalna har pal fidrat hai logo ki yahan
Agar aap bhi badle,to aapne kia naya kiya
 
Khud to lafzo ke khel me hamehsa uljhe rehte hain
Pehle jis baat ko haan phir usi ko naa kehte hain
Wafa or Mohabbat ki kai paribhasha banai hain aapne
or khud hi dosti ka matlab bhi bhulaaye baithe hain


Woh aur honge jo lafzon mein uljhaate hain
Hamaari zindagi to bus ek khuli kitab si hai
Agar padh na paye koi isko woh unki kismat
Tamanna dhoondh rahi sawaalon ke jawab si hai
 
Ab wo baatein vishwaas ki karte hain
Jinke vishwaas ne hi unhe gira diya
Badalna har pal fidrat hai logo ki yahan
Agar aap bhi badle,to aapne kia naya kiya


Hum woh nahin hain jo badal jaaye kabhi
Woh aur honge jo apne bayaan badalate hai
Waada karke todna hamari fitrat mein nahin
'Wafa aur mohabbat' ki raah par chalte hain
 
Hum woh nahin hain jo badal jaaye kabhi
Woh aur honge jo apne bayaan badalate hai
Waada karke todna hamari fitrat mein nahin
'Wafa aur mohabbat' ki raah par chalte hain

Woh aur honge jo lafzon mein uljhaate hain
Hamaari zindagi to bus ek khuli kitab si hai
Agar padh na paye koi isko woh unki kismat
Tamanna dhoondh rahi sawaalon ke jawab si hai


Sach baat to sabko kadwi hi lagti hai, Huzur
Jis mitti ke sab hain,usi ke bane aap bhi hain
''Wafa aur Mohabbat'' ki raah par chalte hain
Phir bhi apne hi doston ka dil dukhaate hain
 
Sach baat to sabko kadwi hi lagti hai, Huzur
Jis mitti ke sab hain,usi ke bane aap bhi hain
''Wafa aur Mohabbat'' ki raah par chalte hain
Phir bhi apne hi doston ka dil dukhaate hain


Sachaai ke hi tarafdaar rahen hain sada hum
Es zindagi ko zeena bhi ek sachhaai hi to hai
'Wafa aur mohabat' ki raah par chalne waale
Pyar ke peechhe bhagna, jo parchhaai hi to hai
 
Sachaai ke hi tarafdaar rahen hain sada hum
Es zindagi ko zeena bhi ek sachhaai hi to hai
'Wafa aur mohabat' ki raah par chalne waale
Pyar ke peechhe bhagna, jo parchhaai hi to hai


Bahut sachaaiyan hain ek hi jeevan ki yahan
Tarafdaari bhi jiski sabhi karte aaye hai yahan
'Wafa aur Mohabbat' ki raahe banaai hain humne
Isiliye unki parchaaiyon ki bhi apni pehchaan hai yahan
 
Bahut sachaaiyan hain ek hi jeevan ki yahan
Tarafdaari bhi jiski sabhi karte aaye hai yahan
'Wafa aur Mohabbat' ki raahe banaai hain humne
Isiliye unki parchaaiyon ki bhi apni pehchaan hai yahan


Woh kya jaane ye raah-e-mohabbat kya hai
Jisko chaha humne na jane unki neeyat kya hai
'Wafa aur mohabbat' ke raaste woh kya jaane
Jahan apnapan na ho wahan insaaniyat kya hai
 
Woh kya jaane ye raah-e-mohabbat kya hai
Jisko chaha humne na jane unki neeyat kya hai
'Wafa aur mohabbat' ke raaste woh kya jaane
Jahan apnapan na ho wahan insaaniyat kya hai

Mohabbat ki raahon pe chalne waale
Hum bhi to jaane aapne kisko chaha hai
Is "Wafa aur Mohabbat" me rehne waale
yahan insaaniyat me niyat ko kisne paya hai
 
Mohabbat ki raahon pe chalne waale
Hum bhi to jaane aapne kisko chaha hai
Is "Wafa aur Mohabbat" me rehne waale
yahan insaaniyat me niyat ko kisne paya hai


Woh meri zindagi mein basi hai is tarah
Mere seene se lipat jaye chaahat jis tarah
'Wafa aur mohabbat' zindagi ki inaayat hai
Meri zindagi mein aai woh khushi ki tarah
 
Woh meri zindagi mein basi hai is tarah
Mere seene se lipat jaye chaahat jis tarah
'Wafa aur mohabbat' zindagi ki inaayat hai
Meri zindagi mein aai woh khushi ki tarah


Hum bhi ani us Zindagi se zara parichaye karwaaye
Itna kaafi nahi hai zara uske baare me Kuch or bataaye
"Wafa aur Mohabbat" ko jiski gehraai se samjha aapne
Us Zinadagi ki khushi ko yaad kare, humein sunaaye
 
Jo dil maange wo milta kyun nahin
Ye waqt kyun aata hai beech mein
Kab tak kheenche rahungi iss waqt ki dor
Jana naa chahun dusri duniya ki aur
Kyun banaya rab ne mujhe itna majboor
Bas mein ho to sab se maang lun apne haathon ki laqeer
Khadi naa rah jaaun iss samay ke beech mein
Mit naa jaaye mere sapnon ki tasveer
Tauhfe to bahaut mil jaayenge iss dil ko
Kaun dilwayega isko iski taqdeer
 
Likhna kuch chaha tha aaj dil ne
Aur likhwaya kuch iss waqt ne


Kahte hain sab intezar ka phal meetha hota hai
Lakin darr uss intezar ki ghadi ke beech aane waale ka hota hai


Kaun jaanega inn majbooriyon ko
Jisse ab tak bachati aayin hun khud ko


Kab tak bachayegi kisi se daaman apna mushkil raahon mein
Koi to samjhe isko kya majboori hai ispe padi
Pukaara tha jisse iss naacheez ne
Aaj waqt aur apni manzil ke beech ye pareshan khadi
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top