Wafa aur mohabbat

Status
Not open for further replies.
salaam karte hain mehfil me wo nazerein jhukaaye
hum bhi hain ke unhi ko hain nishaana banaye
jo khushi bayaan karte the nigaaaho se kabhi
aaj baithe hain wo khud se apni hi nazrein churaaye

Nighaon ka jaddu kuchh aissi balla

Shhikarri bhi dekho shikaar ho challa

Naynon ko naynon se millne na dou

Aankhon nei dekho sab ko chhala
 
Last edited:
salaam karte hain mehfil me wo nazerein jhukaaye
hum bhi hain ke unhi ko hain nishaana banaye
jo khushi bayaan karte the nigaaaho se kabhi
aaj baithe hain wo khud se apni hi nazrein churaaye

Ye bhi kya ada hai unki salaam karne ki
Hum to chot seene par khaye baithe hain
Mehfil mein jhuki hui hain jinki nighahen
Woh kabse hamara dil churaaye baithe hain
 
Nighaon ka jaddu kuchh aissi balla

Shhikarri bhi dekho shikaar ho challa

Naynon ko naynon se millne na dou

Aankhon nei dekho sab ko chhala

Kab tak bachenge en nighahon ke var se
Qatil nazren aakhir shikaar kar hi leti hai
Kitni bhi koshish karo daaman bachane ki
Mohabbat apne aagosh mein bhar hi leti hai
 
You all are again making this environment lively and enjoyable..touchwood!! again...keep it going like that...don't stop it anywhere.....and Divya dear thanks for all your nice words to me...i'm just like all other girls and female members here...even all guys are like that...when i joined here and started writing my own creations then i too was very much appreciated at every step...even if they didn't liked it then also everybody praised me a lot...got lots of love and affection from almost every member...you too will find the same here...so keep enjoying and spread your charm :)

abki baar main apni bore shayari se bore nahin karungi kisi ko:D ...will only enjoy this thread :) aur waise bhi main koshish to kar rahi thi do teen din se lekin likh nahin paayi abki baar kuch bhi...agar kuch lines ban gayi to rukungi nahin...jaldi hi yahan aap sabke beech apni great shayari pesh karungi ;) :D ...ab darke bhagna mat koi bhi :p

Thanks to all :) ....keep it up guys!!
 
Ye bhi kya ada hai unki salaam karne ki
Hum to chot seene par khaye baithe hain
Mehfil mein jhuki hui hain jinki nighahen
Woh kabse hamara dil churaaye baithe hain

jukhi nighaon se hi to sab izhaar karte hain
chot kha kar hi aashiq,shayar hua karte hain
Wafa aur Mohabbat ki is haseen mehfil me
hum apna kimati salaam sabhi ko pesh karte hain:p
 
Nighaon ka jaddu kuchh aissi balla

Shhikarri bhi dekho shikaar ho challa

Naynon ko naynon se millne na dou

Aankhon nei dekho sab ko chhala

chahat ki shuruat inhi aakhon se hai hoti
dil ko ye paigaam bhi yahi aankhein hain deti
yuhin paa leti hain apni manzil kabhi
usi chahat ko bayan bhi yahin aankhein hai karti
 
jukhi nighaon se hi to sab izhaar karte hain
chot kha kar hi aashiq,shayar hua karte hain
Wafa aur Mohabbat ki is haseen mehfil me
hum apna kimati salaam sabhi ko pesh karte hain:p

Un jhuki nighahon ne abhi kahan izhaar kiya
Aaj tak unhone hamaare dil ko bekraar kiya
Woh kab apne labon se 'Mohabbat' kahenge
Jis ek lafz ke liye aaj tak humne intezaar kiya
 
chahat ki shuruat inhi aakhon se hai hoti
dil ko ye paigaam bhi yahi aankhein hain deti
yuhin paa leti hain apni manzil kabhi
usi chahat ko bayan bhi yahin aankhein hai karti

Ye ankhen hi to chahat ka aaina hai
Mohabbat en ankhon se hi hoti hai
Jaagti hai dilbar ke liye yahi ankhen
Jab ye duniyan aaraam se soti hai
 
Aasman humse naraaz hai
taroon ka gussa behisaab hai
woh sab humse jalte hain
kyoki chand se behtar EK SHAKSH hamare pass hai

Ye asmaan bhi kya bigaad lega hamaara
Chand taaro ab banaata koi gawah nahin
Unka pyar basta hai hamare ess dil mein
Zamana chahe dushman ho koi parwah nahin
 
Last edited:
Ye asmaan bhi kya bigaad lega hamaara
Chand taaro ab banaata koi gawah nahin
Unka pyar basta hai hamare ess dil mein
Zamana chahe dushman ho koi parwah nahin

Pyar ki gawahi deta hei kewal dil
Aa mere Mehboob tu jaldi se aa kar mil
Aa kar lein ehsaas pyar ki inteha ka
Dekhna ye gawah bhi ho jayengge,hammare pyar mei shamil.
 
Pyar ki gawahi deta hei kewal dil
Aa mere Mehboob tu jaldi se aa kar mil
Aa kar lein ehsaas pyar ki inteha ka
Dekhna ye gawah bhi ho jayengge,hammare pyar mei shamil.

Jab bhi pyar ne kabhi mohabbat ki gawahi di
Zindagi mein jo chahi wohi jhalak dikhlaai di
Ye husn aur ishq ka rishta bhi ajeeb hota hai
Kisi ko to yahan wafa aur kisi ko bewafaai di
 
Jab bhi pyar ne kabhi mohabbat ki gawahi di
Zindagi mein jo chahi wohi jhalak dikhlaai di
Ye husn aur ishq ka rishta bhi ajeeb hota hai
Kisi ko to yahan wafa aur kisi ko bewafaai di

Ek din puuchha waffa nei bewaffa se
Tuum laggte ho mujhse kuchh khaffa se
Bewaffa nei kaha,"e waffa."
Kya kabi muhobbat ki hei Naffe nei Saffa se.
 
Jab bhi pyar ne kabhi mohabbat ki gawahi di
Zindagi mein jo chahi wohi jhalak dikhlaai di
Ye husn aur ishq ka rishta bhi ajeeb hota hai
Kisi ko to yahan wafa aur kisi ko bewafaai di

Wafa mile ya bewafaai,ab kise hai fikar
Hui jo mohabbat,to ruswaai se kaisa dar
Wafa mili to har taraf hoonge haseen nazare
Varna kat jaayege zindagi 'is kalam' ke sahare:)
 
Wafa mile ya bewafaai,ab kise hai fikar
Hui jo mohabbat,to ruswaai se kaisa dar
Wafa mili to har taraf hoonge haseen nazare
Varna kat jaayege zindagi 'is kalam' ke sahare:)

Really nice composition, Divya. I am really impressed.

Wafa aur bewafaai to bus kismat ki baat hai
Ki humne yahan kis se apne es dil ko lagaaya
Ye zindagi ka safar rookta nahin hai kahin bhi
Kaun jaane kis mod par zindagi ka paigaam aaya
 
achha....thank u..this was my own composition....matlab hum bhi thoda bahut likh sakte hain:) . i will keep trying
 
achha....thank u..this was my own composition....matlab hum bhi thoda bahut likh sakte hain:) . i will keep trying

Divya,

I don't know whether u just started writing just now or earlier. But ur this post is really gud. I can easily guess that if a sher is own written or a copy paste :) .

Keep contributing. :)
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top