Wafa aur mohabbat

Status
Not open for further replies.
Really nice composition, Divya. I am really impressed.

Wafa aur bewafaai to bus kismat ki baat hai
Ki humne yahan kis se apne es dil ko lagaaya
Ye zindagi ka safar rookta nahin hai kahin bhi
Kaun jaane kis mod par zindagi ka paigaam aaya

Waffa ka naam na lo,waffa ab dil ko rulaati hei
Sach tou ye hei ki,
Waffa ka naam lete hi firr ek bewaffai yaad aati hei.
 
Really nice, Dev Sir !

Waffa ka naam na lo,waffa ab dil ko rulaati hei
Sach tou ye hei ki,
Waffa ka naam lete hi firr ek bewaffai yaad aati hei.

Es bewafaai ko dekhkar hi to ye dil sochne ko mazboor hai
Koi mit jaata hai chaahat mein aur koi aadat se hi magroor hai
 
Es bewafaai ko dekhkar hi to ye dil sochne ko mazboor hai
Koi mit jaata hai chaahat mein aur koi aadat se hi magroor hai

Jane kyun iss jammane mei aisa kyun hota hei
Khusi jise mille wo hi rota hei
Umar bhar saath nibha na sake jo
Ye kambakht isaq bhi ussi se hota hei
 
Jane kyun iss jammane mei aisa kyun hota hei
Khusi jise mille wo hi rota hei
Umar bhar saath nibha na sake jo
Ye kambakht isaq bhi ussi se hota hei

Jinse khushi chahi thee woh aaj begaane ho gaye
Waade mohabaat ke aaj yahan bemaani ho gaye
Do pal saath na nibha saka jo kya zindagi bitayege
Unhone jo wade kiye aaj unke liye pareshani ho gaye
 
Jinse khushi chahi thee woh aaj begaane ho gaye
Waade mohabaat ke aaj yahan bemaani ho gaye
Do pal saath na nibha saka jo kya zindagi bitayege
Unhone jo wade kiye aaj unke liye pareshani ho gaye

Ji bhar ke roye tou karrar paya
Iss duniya mei hei kisne sachcha pyar paya
Zindagi gujjar rahi hei imtihano ke daur se
Ek zakham bhara nahin ke dussara teiyar paya
 
Divya,

I don't know whether u just started writing just now or earlier. But ur this post is really gud. I can easily guess that if a sher is own written or a copy paste :) .

Keep contributing. :)

Vijay,
I hav just started writing tabhi it takes lot of time to remeber n oraganize words..:). well ofcourse, all those who hav been writing since long can guess wether its original or copy paste stuff. I managed to write few more lines , just go through them n dont hesitate in giving any advice:)

Kuch to mazbooriyaan rahe hoonge
yu he, koi bewafaa nahin hota
Mohabbat hai jang zammane se
har shaks mein woh,zazba nahin hota
Hai afsoos use bhi,apne bewafaai pe
bewajeh koi tanhaa nahin hota
Palatein hain woh panne zindagi ke
laut aaye, asa koi lamha nahin hota
Hamne ye zindagi kar de uske naam
ab har koi to, humsa nahin hota
Ye bewafaai he to hai 'a dost'
varna shayari ka ye tohfa nahin hota:)
 
Really gud !

So you just started writing and for a beginer it's gud composition.
 
Divya,

Ok, as you mentioned me that not to hasitate about my advice ! Let me put your gazal in my way with ur feelings remain intact. I hope you will not mind that and also will understand that what to improve and where ? :) And plz just keep one thing in mind that i am not perfect too.

Kuch to aakhir mazbooriyaan rahe hoonge
Warna yun hi to koi bewafaa nahin hota

Ye mohabbat to hai jang ess zammane se
Har shakhs mein ladne ka zazba nahin hota

Hoga afsoos use bhi shayaad apni bewafaai pe
Bina wajah ke insaan yahan tanhaa nahin hota

Palatein hain ab woh panne apni zindagi ke
Jo kabhi laut aaye aisa koi lamha nahin hota

Hamne to ye apni zindagi kar de uske naam
An jahan mein har koi to humsa nahin hota

Esse bewafaai samajho ya kuchh aur 'a dost'
Bina iske ye shayari ka ye tohfa nahin hota
 
Last edited:

Thanks a lot for taking pain n rewriting my stuff in a better way.now its a lovely composition..... c thts the diff between a starter n a practioner:). But i m happy to hav someone around who can guide me. i will keep trying n u keep guiding :)
 
Iss duniya mei pehle harr kaam naya hota hei
Binna paye bhi koi kuchh khota hei
Lagan ek aaissi balla ka naam hei
Gar lagg jaye tou Aadmi na jagta hei aur na sota hei.

Divya ji aap lagge rahein.Hammari dua hei ki aap aasman chhu lein.God bless!
 
Thanks a lot Dev sir....aapne dua di hai to zaroor asar hoga:)
 
Just think about this !

The most important thing in life is to love someone. The second most important thing is that someone loves you. The third most important thing is that first two happen at the same time. :)
 
The most important thing in life is to love someone. The second most important thing is that someone loves you. The third most important thing is that first two happen at the same time. :)

Correct..bilkul correct...Jaisse hum aur aap?...Kyun bhai!

Na jane unn par itna yakeen kyun hei
Unka khayaal bhi itna haseeen kyun hei
Suna tha ke pyar ka dard badda meethha hota hei
Tou aankh se nikla aanssu namkeen kyun hei.
 
Correct..bilkul correct...Jaisse hum aur aap?...Kyun bhai!

Bilkul sahi kaha aapne, Dev Sir :)

Na jane unn par itna yakeen kyun hei
Unka khayaal bhi itna haseeen kyun hei
Suna tha ke pyar ka dard badda meethha hota hei
Tou aankh se nikla aanssu namkeen kyun hei.

Once again wonderful lines !

Mohabbat ka to sirf ahsaas hi bahut pyara hai
Aur es se jyada pyaare mohabbat karne waale
Ye anshoo hi to bayaan karte hai dil ke zazbaat
Ki kis kadar chahte hain ek dusre par marne waale
 
khuda kisi ko kisi par fida na kare
kare to phir juda na kare
maana log marte nahin judaii mein
par jee bhi nahin pate tanhayee mein

Welcome at Wafa aur Mohabbat, Ritika !
Nice post !

Agar dil par kisi ka bas chahta duniyan mein
To yahan koi bhi kisi par aise fida nahin hota
Kaise pata chalta ki kya gum aur kya hai khushi
Kisi ka bhi dilbar milne ke baad juda nahin hota
 
Pyar karne walon ko inkaar achha nahin lagta
Iss duniya ko 2 dillon ka ikrar achcha nahin lagta
Jab tak ashik ki maut na ho jaye
In haseeno ko pyar sachcha nahin lagta.
 
Pyar karne walon ko inkaar achha nahin lagta
Iss duniya ko 2 dillon ka ikrar achcha nahin lagta
Jab tak ashik ki maut na ho jaye
In haseeno ko pyar sachcha nahin lagta.

Duniya sadiyo se dushman hai mohabbat ki
Lekin deewane to fir bhi mohabbat karte hai
Maut aane se pahle hi mar jaate hain ashiq
Ye husn wale to fir bhi shikaayat karte hain
 
Duniya sadiyo se dushman hai mohabbat ki
Lekin deewane to fir bhi mohabbat karte hai
Maut aane se pahle hi mar jaate hain ashiq
Ye husn wale to fir bhi shikaayat karte hain

Agar pyar karna paap hei tou hamein paapi kehlana manjoor hei
Kya hum unsse bhi gaye gujjre hein jo bewaffa hei, magroor hei
 
Agar pyar karna paap hei tou hamein paapi kehlana manjoor hei
Kya hum unsse bhi gaye gujjre hein jo bewaffa hei, magroor hei

Agar kisi ko pyaar karna bhi paap hota yahan
To duniyan mein batao aaj kiska daaman saaf hai
Woh to bewafaai karke bhi aaj aachhe ban gaye
Hum wafa karke bhi hue badnaam, ye kya insaaf hai
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top