Hi all,
This is my personal gazal written by me. Please contribute here your thoughts.
Wafa aur mohabbat ki tawwako ki unse
Hum hasino ki fitrat se kitne anjaan the.
Kinara kiya sabse sirf unki chahat main
Warna duniya main hamare kitne kadardaan the
Ek suhana safar bhi gujra hai is zindagi ka
Us daur main hum par wo kitne meharbaan the
Begano ki bheed main apne se dikhne wale
Ab samajh mein aaya wo kitne be-imaan the
Kisi se kabhi shikwa kiya bhi to kya
Hamare shabd bhi to kitne bejubaan the
Jamana bura hai aur kitne masoom hai woh
Ye sochkar hum khamkhan kitne pareshaan the
Kisi ki hifazat karte hue khud lut gaye
'Vijay' har daur main kitne nadaan the

Last edited: