Bhaai is thread par agar main Rajkishan Agwanpuria ke baad Master Karmpal Sharma ji ko second best singer kahun to koi ye to nahin kahega ki nahin wo to Jamuna paar yaani Western U.P. ka hua.....but I think Haryanvi to wahaan bhi boli jaati hai....so Karmpal Sharma ko region ke base pe is best singer hone ke race se koi baahar to nahin karega na?
Main Neta Ji Subhash Bose kissa Rajkishan ka gaya hua aur Sardar Bhagat Singh ka Karmpal Sharma Ji ka gaya hua sun-sun ke bada hua hun....iske baad ye donon kisse jis ki bhi awaaj mein sune kabhi inse best nahin miley......aapke ke liye main Karmpal Sharma ji ki do ragniyan, youtube se de raha hun yahaan:
Aur ha bhaai yahaan abhi tak sirf gents singers ki hi baat ho rahi hai, main yahaan female singers ki bhi baat karna chahunga jinmen mujhe to Rajbala Bahadurgarh jaise awaaj aur gaayki ke liye dedication kisi ki nahin dikhi, inke saath ki kitni gaayikayen hui aur gai but ye aaj bhi maidaan mein dati hui hain. Inki bhi ek-do raagni laga rahaa hoon: