May his depared soul rest in peace.
He committed suicide because he was a compulsive gambler and owed a lot of money to people. Had he not gambled he would have saved that money. These are the statements of his friends aired on TV.
I don't want to join the debate about why members respond or don't respond to such threads. What Dr Sahiba has written is correct.
There is no doubt that a lot of sportspersons suffer at the hands of the 'so called administrators' of the sports federation. I have personal experience of visiting the 'Babus' Sports Authority of India when my son was to get some grant for coaching. The file moved only after we established some 'Jaan Pehchan'. Though no money was paid.
Jab tak hamare desh mein sports ko as a 'way of life' nahin liya jaaye ga or sirf naukri paane ka ek zariya hoga, to bhai aise he suicide hon ge...
Regards,
JS Malik
Uncle ji aapki sari baatein bilkul sahi hai...per iska jimmedar kon hai..ek insaan ko hum itna pyar dein ki sari duniya uske samne kuch na lage aur ek insaan ko dhobi ke kutte ki terah choodd dein. na ghar ka na ghaat ka.. gambling ki baat mujhe pata nahi ho sakta hai aapki bat sahi hogi.. magar ye to bas ek case hai ase ase na jane kitne sportman hamare samne roj martei hain wo sab bhi kya gambling kartei hain..
kuch bhai kehtei hain financial prob hogi , koi bata sakta hai financial prob ku hoti hai.. ek sportsman national/international level per itni shohrat , itna maan samman hansil karta hai aur paise ke naam per use kya milta hai....aur ye sportsman hi nahi aur bhi fields meinhota hai..
maine ek bar ek hockey player ka interview dekha tha news mein.. uske shabad the """hockey ne mujhe bahut kuch diya hai, maan-sammaan ,izzat-shohrat, desh ba baccha-baccha janta hai mujhe, international level per bhi bahut maan mila hai, magar paise ke naam per main bilkul kangal hun..magar cricket aur football mein asa nahi hai, cricket mein sabse jyada paisa hai, aur aajkal football player bhi kafi daulat kama rahe hain, halaki india mein football ka thodi kam ahemiyat hai , """"
hockey hamara national game hai aur jis player ne ye words kahe the shyad yahan per bhi kafi members ase honge ho ye bat jante honge aur uska naam bhi jante honge, phir bhi bata deta hun """ PELE""" .
asa hi kuch ustaad bismilaah ke sath ho raha hai ,, maine suna hai ki shyad wo lucknow mein rikshaw chalatei hain,, pata nahi sach hai ya jhott.
aajkal cricket mein ganguly ke sath bhi kahani chal rahi hai,, ab kumble bhi picture mein aa gaya.. sab kehte hai administration ka dosh hai, selectors ki kami hai,, main puchta hun inko post deta kon hai,, mere khyal se har cheez ke piche hum aam janta hi hai.. hum hi politicians batane hai, hum hi cricketers batane hain, hum hi hero-heroin banatei hai,, sabki command public ke hath mein hai. phir ku hum sabko dosh dete hain jab kami hamari teraf sei hai???????
AAp log ye maat samjhna ki apni bhadas nikali hai,, apne views hi diye hain, agar kisi ko koi chott lagi to maafi chahta hun.