wo lahu jaat ka hota hai

Status
Not open for further replies.
Aage Badhhate Hain

Hum Us Dadhhichi Ke Bete Hain,jiss Naam Ka Danka Bajta Hai
Faulad Mile Na Dharati Pe, Haad -mans Jab Sajta Hai
Dard Liye Jo Duniyan Ka, Beej Khet Main Bota Hai
Wo Veer Dewana ,mastana, Ek Khoon Jat Ka Hota Hai.


Jab Pakistani Aaye Thhe, Bharat Ko Aankh Dikhai Thi
In Bankurron Ke Hatho Hi, Chot Ye Gehri Khai Thi
Issi Dileri Ke Bal Par, Jab Dushman Bhoo-2 Rota Hai
Wo Aur Kishi Ka Nahin,hamesha Khoon Jat Ka Hota Hai.
 
Very Very Very Very................good
Very Very Very Very ................rich
Thanx
 
bhai kapil
pad teri kaweeta ko , kuch karne ka mann karta hai
phir aur ek janam leke ,jat banne ko mann karta hai

sabhi jatt bhai ko namaskar aur bheje aao.

JAI JAT , JAI HARYANA
 
its' the blood of jats'
Wo lahu jaat ka hota hai
(It’s the blood of jats)

Ø Yuo to hai sabka lahu laal, par hota ek saman nahi hai
Ø Keval laal rang se hoti, lahu ki pahichan nahi hai
Ø Kayer kruer kaputo ka bhi lahu laal hi hota hai
Ø Saayer shur saputo ka bhi, lahu laal hi hota hai
Ø Wo bhi hota hai lahu laal, jo gidad se dar jata hai
Ø Wo bhi hota hai lahu laal, jo sharo se lad jata hai
Ø Ek lahu jurm se katrata, ek jurmo se takrata hai
Ø Ek lahu machalta ladne ko, ek marne se ghabrata hai
Ø Ek lahu sahan apmaan kare, ek maan ke liye marta hai
Ø Nij swabhimaan ki raksha mein, sarvsva nichaver karta hai
Ø Ek lahu ka jalwa to, kuch ajab thath ka hota hai
Ø Jo saaksaat martyu ko lalkare, wo lahu jaat ka hota hai.

Ø Aandhi aur tufano mein jo, kabhi na ruk paya ho
Ø Hote ho vraj parhar bhale, par kabhi na jukh paya ho
Ø Nij aan baan ki raksha mein, jo bahne ko tayar rahe
Ø Phansi ke takhte par chadkar, sach kahne ko tayar rahe
Ø Sunker ke bari ki boli, betaab ublene lag jaye
Ø Jo samar bhumi ka naam sune, balliya uchlene lag jaye
Ø Josh bhari ek nayi lahar, jo dauda de bhuj dendo mein
Ø Rakh shish hateli par kude, bari ke war prachando mein
Ø Akhand-prachand pratigya kar jo apne pran pe aad jaye
Ø Martbhoomi ki raksa mein, bali devi par jo chadh jaye
Ø Bajte hi ranbhari, jiske tika lalaat ka hota hai
Ø Jo saaksaat martyu ko lalkare, wo lahu jaat ka hota hai.

Ø Swamitva bhav ho bhara, daaste jo kabhi nahi sweekare
Ø Lahu ki antim bund tak jo, apne pawan pran pare
Ø Aader se narm nivaden, jo mom ki tarah pighal jaye
Ø Sadiyo ka vair puraana bhi, pyar mein turant badal jaye
Ø Jo chao so karwalo, phir bhola itna ban jaye
Ø Chal dhamb kapat ki chalo mein, jo aasani se aa jaye
Ø Jo deen dukhi nirbalo, viklo ke liye sada hi marta ho
Ø Sarnagato ki raksha, jo pran daker karta ho
Ø Yadi samne bhuka dakhe, to thali apni bhi de dale
Ø Aoro ke chan sakun hatu, apni khushali de dale
Ø Dhan se bhale phakir rahe, par man samraat ka hota hai
Ø Jo saaksaat martyu ko lalkare, wo lahu jaat ka hota hai
Ø Budhe tan mein bhi rah kar, lalkare bhari jawani ko
Ø Marte marte bhi likh dale, apni amar kahani ko
Ø Paropkaar ke liye, basi kan-kan mein jiske kurbani ho
Ø Bakar nahi jaye jiski, har bund-bund balidaani ho
Ø Yadi apni par aa jaye, to tino lok masal dale
Ø Parivatan jiski muthi mein, pal mein bhugol badal daale
Ø Hunkar bhare amber gunje, dharti ka bhi dhiraj dole
Ø Kaal bali ka shahash kya, jo aaker ke samukh bole
Ø Itihaas ke prasth dhanya kiye ho, kavel jiske balidano ne
Ø Jiske bal porush ki gatha, gayie ho vaid purano ne
Ø Jiske gaurav ko sunke, baudh sakti virat ka hota hai
Ø Jo saaksaat martyu ko lalkare, wo lahu jaat ka hota hai.

v Compiled by Kapil Rana
Dear kapil rana

kapil bhai lagey raho abhi to bahut aagey tak jana hai ek khwish hai dil main dilli key LAL kiley per Tiranga Abkey Jat Ko Pherana HAI

EK JAT JAT
DO JAT MAUJ
TEEN JAT COMPANY
CHAAR CHAT FAUJ
 
Dear kapil rana

kapil bhai lagey raho abhi to bahut aagey tak jana hai ek khwish hai dil main dilli key LAL kiley per Tiranga Abkey Jat Ko Pherana HAI

EK JAT JAT
DO JAT MAUJ
TEEN JAT COMPANY
CHAAR CHAT FAUJ

EK JAT JAT
DO JAT MAUJ
TEEN JAT COMPANY
CHAAR CHAT FAUJ


bhai wah maja agayaa kapil kee to tareef sabne kee par bhai lath too bhee
gad gaya...........lal kile par jhanda jat ko hee fahrana hai yahi kaamnaa
meri bhee hai hai bhai

netru
 
laal lahu

bhai jama lath gaad diya.............
ya kavita to jatland ke introduction page ke toer pe chapni chaiye.............kamaal kar diya bhai..........
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top