wo laut kar hi nahi aaty

Status
Not open for further replies.

santoshbenaam

New member
Wo laut kar hi nahi aaty jinka hame intjaar hai
Kyu karty hai hamse nafrat jinse hame pyar hai
Dekar pyar ka sila nafrat se ek din wo pachtayegy
Wo bhi kahegy ek din tumse hame pyar hai
Sote jagty har pal khwab tumhare hai aankho me
Main tumhe chahta hi rahuga jab tak saans hai
Wo bhi tadpegy kabhi kabhi tanhai me benaam
Fasla to hai likin in aankho me unka hi deedar hai


santosh benaam
 
Rajendra Kumar Kalkhunde (May 14, 2004 09:20 a.m.):
inzaar kijiye benaam sahab...wo jaroor ayenge.. Piar me intzaar to bahut jkaroori hai...

Rajendra

pyar me intjaar jaroori hai
par zindagi kaha meri puri hai
chala jaoiunga me akela hi
uske bina zindagi adhuri hai

santosh benaam
 
Sanjeev Malik (May 14, 2004 09:05 a.m.):
Roz main yeh socchta hoon ki
Kal bhool janoonga thumhe
Lekin yeh jalim “kal” aathi hi nahin


Sanjeev Malik ji bahut thik kaha aapne
kal kabhi nahi aata hai

santosh benaam
 
Ek “benaam” ne bahut bada kam kiya,
Mahubat-ki-diuniya mein apna nam kiya,
Magar magroor hein whon jo heera ko parak naa payea
Kimti patar to raaste-ka-patar samaj liya
Jalti hiuhi armano ki shama ko buja diya.

Magar “benaam”, apni mahubat ko kamjor na samjna,
Apni takat ko yohn beekra na dena,
Duniya ki tokar kakhe jab use akal ayegi,
Teri mahubat ki kashish use jab yaad aayegi,
Whoh doud ke Teri bahon mein chali ayegi.
 
hey, sanjeev bahut badhiya,


chahe jise mukt kar do
uske pyar ko taulne ki taraju nahi
muhbat ki mari khud hi chali aayegi
nahi aaye to samjho tumhari nahi.


santosh benaam
 
Agar tu na aa saki,
Tho kya hua,
Agar mera pyar ko samaj na saki,
Tho kya hua,
Agar meri na ho saki,
Tho kya hua,
Mehfil mein parwane aur bhi honge,
Auro ka bhi dil toda hai,
Tho kya hua.

Hum tho “Benaam” hi jindgai ko jilenge,
Teri muskrahat ko hi jindagi-ki-dhar bana lenge.
 
"Kahi samandar pani ki kami ka gila karate hain,
mohabbat ke phool akksar virani main khila karate hain,
sukh chain ki nind ka khab dekhane walo,
moti kinaro per nahi ghahrai main mila karate hain"
--------------------------------------------
"Don't walk in front of me; I may not follow. Don't walk behind me; I may not lead. Just walk beside me and be my friend. "
 
Sanjeev Malik (May 20, 2004 01:04 a.m.):
Agar tu na aa saki,
Tho kya hua,
Agar mera pyar ko samaj na saki,
Tho kya hua,
Agar meri na ho saki,
Tho kya hua,
Mehfil mein parwane aur bhi honge,
Auro ka bhi dil toda hai,
Tho kya hua.

Hum tho “Benaam” hi jindgai ko jilenge,
Teri muskrahat ko hi jindagi-ki-dhar bana lenge.

bahut badhiya sanjeev,


kyon pyar kiya maine
kyon ijhar kiya maine
malum tha milega darde dil
phir bhi ikrar kiya maine

santosh benaam
 
ganesh jat (May 20, 2004 03:00 a.m.):
"Kahi samandar pani ki kami ka gila karate hain,
mohabbat ke phool akksar virani main khila karate hain,
sukh chain ki nind ka khab dekhane walo,
moti kinaro per nahi ghahrai main mila karate hain"
--------------------------------------------
"Don't walk in front of me; I may not follow. Don't walk behind me; I may not lead. Just walk beside me and be my friend. "


ganesh ji, bahit achi baat kahi hai aapne ,sukriya.........

Ishq ke bhi kuch mohtaaj hote hai
Jaagti aakhon main bhi khwaab hote hai
Har koi roye yeh zaroori to nahi
Khushk aakhon main bhi sailaab hote hai


santosh benaam
 
Jab tanhayee mein, teri yaad aati hai,
Sirk ruswayee hi, mayre haat aati hai,
E-Kudha tune mahubat kya cheez banai,
Sirk judai hi kyon, is “benaam” ke haat aati hai.
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top