P
prashantsogarwal
Guest
Yeh degree bhi lelo ye naukari bhi lelo
Bhale Chheen lo mujhse America ka Visa
magar mujhko lauta do college ka canteen
vo chaay ka pani vo bread pakora.....
vo class mein late aane ka nya bhana
aur baad mein madam se attendance lagwana...
vo kadi dhoop mein apne ghar se nikalnaa
vo project ki Khatir shahar bhar bhataknaa......
vo lecture mein doston ki proxy lagaanaa
vo sir ko chidhanaa ,vo aeroplane udaanaa...
vo submission ki raton ko jagnaa jagaanaa
vo exam ki kahani vo practical ka kissaa....
bimaari ka detention ke time bahanaa
vo doosron ke assignments ko apnaa banaanaa...
vo seminar ke din paironka chhatpatanaa
vo lab mein din raat pasinaa bahanaa.....
vo exam ke din ka bechain maahaul
par vo Maa ka vishvas - Teachar ka Bharosaa...
college ki wo lambisi raatein
vo doston se canteen me pyaari si baatein...
vo gathering ke din ka ladnaa Jhagadnaa
vo ladkiyon ka yuhin hamesha akadnaa....
bhulaaye nahin bhool sakta hai koi
vo college, vo kissaee, vo shararatein vo javani...