zara gaur kariyega.........

Status
Not open for further replies.

jatriski99

New member
jeevan khatm hua to, jeene ka dangh aaya
jab shama bujh gayi to, mehfil mein rang aaya

gaadi nikal gayi to, ghar se chala musafir
maayus haath malta, vaapas bairang aaya

maan ki machinery ne tab theek chalna seekha
jab budhe tan ke har ek purje ko jang ne khaya

fursat ke vaqut mein na sumiran ka vaqut nikla
us vaqut, vaqut manga jab vaqut tung aaya

durlabh manushya jeevan gaflat mein hi gavanya
chal maut ki dagar mein, na sant sang paya

umra ne jab hathiyar fenk dale
yamraj fauj lekar, karne jang aaya


arj kiya hai, jara gaur farmayein-----------

'kabile rashq thi kya zindagi parwane ki
ek hi raat mein paida bhi hua, ashique bhi hua, mar bhi gaya'

ek aur

'khudi se agar tu juda ho gaya hai
khuda ki kasam tu khuda ho gaya hai'

'khuda aise ahsas ka naam hai
rahe saamne aur dikhaye na de'

jara gaur kijiyega....

'itna to ho zindagi mein hazir nazar koi
mehfil mein baith jaye to tanha dikhaye de'

....gharaye ko samjhiyega....

'ae maut tujhe en fakiron se kya lena hai
marne ke phele hi ye log to mar jate hain'
 
:rock:rockWa wah Praggya,
Kabile tarif hai. aapka hunner.

Keep it up we are waiting for more.

Best wishes.

Pahal:rock
 
masha aalah , bahut khoob bahoot khoob !

kafi mayoos kar dene vali kavita/sher/pilla tha , lekin kafi gyanvardhak tha:D
 
khudi se agar tu juda ho gaya hai
khuda ki kasam tu khuda ho gaya hai'


How did you able to write those lines.........
are you self realized .......

a bit similar to Ghalib

na tha kuchch to KHuda tha, kuchch na hota to KHuda hota
duboya mujhko hone ne, na hota maiN to kya hota
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top