Wafa aur mohabbat

Status
Not open for further replies.
Jara gaur farmayegaa...

Es duniyan ke kahne se jo badal jaaye waade se
Unse bhi kya koi umeed kare saath nibhaane ki
'Wafa aur mohabbat' nibhaane ka zazba ho jinme
Woh hi jurrat kare hamaare dil ke paas aane ki


Duniya kissi ko kya badelegi, beraham waqt badal deta hai
pyar pyar nahin rahta, esko ummed me jazzbat badal deta hai
wafa aur mohabbat nibhane ka zazba koi kaise laye yahan
Har dusre pal uthta sawal halaat badal deta hai.
 
Last edited:
Kal ek chorahe se gujarate waqt kuch aisa khyal aaya....

Naa kuchh khone ka darr na kuch paane ki tamanna,
Phir es chorahe par mere kadam kaise thithak gaye,
tera ghar peechhe chhoda, yaadon se naata toda
Aaj lagta hai mujhe, tujhse bahut door nikal gaye


Ye kadam kitni baar chale aur kitni hi baar rooke
Tumhaara saath na pa sake ye kaisi dooriyan hain
Tumhe na to bhool paaye aur na hi yaad kar payee
Es dil ke saath dekho to ye kaisi mazbooriyan hain
 
Duniya kissi ko kya badelegi, beraham waqt badal deta hai
pyar pyar nahin rahta, esko ummed me jazzbat badal deta hai
wafa aur mohabbat nibhane ka zazba koi kaise laye yahan
Har dusre pal uthta sawal halaat badal deta hai.


Waqt insaan ko badal deta hai zazbaat ko nahin
Ummeed ke shahaare hi to mohabbat zinda hai
'Wafa aur Mohabbat' ki himmat kuch log hi karte
Warna kitne log karte is rishtey ko sharminda hai
 
though i don't like to write anything showing sad expressions but this time i'm writing......

Ek wo the jo beech raah mein unka saath chhod ke chale gaye
Ek wo hain jo bin kisi baat ko soche dard unke maangne gaye
Jo chala gaya wo to aaj bhi dil mein kahin basta hai unke
Jisne dard maanga unse, use patthar ki tarah thukra ke chhod gaye
 
Last edited:
Sitam dhaayega kab tak wo dilbar
Mere bhi din kabhi dikhlaungi
Aaj mujhe sataya hai usne
Kal main bhi usse tadpaungi
Samajhega tab wo deewana
Jab beqarar usse banaungi
 
Itne gambheer kyun bante ho janaab
Hansi-khushi ke saath chalke dekho
Mann mein basa lo murat kisi ki
Phir dil apna gulzaar bante dekho
Hansegi uss sang duniya tumhari
Ek baar usse gale se laga ke dekho
 
Prem chunar odh ke aaungi, dil mein uske aise bas jaaungi
Usko ussi se chura lungi main, kuch meetha ahsaas jaga jaaungi
Mohabbat usmein jhalkegi itni, pyaar se roshan kar dil uska jagmaga jaaungi
Hosh na usko rahega khud ka, apna hi khayal mann mein dilwa jaaungi
 
Kaun mita paaya hai en haathon ki lakeeron ko
Kaise badal sakta hai koi likhi hui taqdeeron ko
Kisi insaan ka faisla hota to hum badal bhi dete
Kaun mitaaye en ankhon mein basi tasveeron ko
 
Doondhti rahi aankhen magar vo aaj bhi naa aaye
Unke bagair ab har mehfil suni lagne lagi hai
Uth kar dekhta hoon shayad vo yahin kahin hai
Magar vo ab sirf sapmo me milne lagi hai
 
Na jane woh kab aayenge jiska humen intezaar hai
Bus unka to deedaar hota hai mere khayaalon mein
Har aahat par ahsaash hota hai bus unke hi aane ka
Uska woh pyar hi to jawaab hai mere sawaalon mein
 
Kaash main bhi kisi ki aankhon mein basi wo tasveer banti
Ek din maang leta wo mujhe sab se phir unn haathon ki lakeer banti
Maangta mujhe wo rab se iss kadar ki uski hi main taqdeer banti
Rab bhi mujhe dikhaye kuch aisa agar meri khushi kisi se hai banti
 
Doondhti rahi aankhen magar vo aaj bhi naa aaye
Unke bagair ab har mehfil suni lagne lagi hai
Uth kar dekhta hoon shayad vo yahin kahin hai
Magar vo ab sirf sapmo me milne lagi hai

Jisne aana na chaha tumhare paas kabhi
Unki raah tak ke na karo yun khud ko udaas
Tumhare liye jo roke hue hai khud ko kahin
Use na yun door karo kisi ki yaadon ko laake paas
 
Na jane woh kab aayenge jiska humen intezaar hai
Bus unka to deedaar hota hai mere khayaalon mein
Har aahat par ahsaash hota hai bus unke hi aane ka
Uska woh pyar hi to jawaab hai mere sawaalon mein


Jo aata hai tumhare khayalon mein har waqt
Rab se hum dua karenge wo tumhe mil jaayega
Mil jaayengi tumhe khushiyan tamam
Jis din wo tum sang saat phere leke aayega
 
Kaash main bhi kisi ki aankhon mein basi wo tasveer banti
Ek din maang leta wo mujhe sab se phir unn haathon ki lakeer banti
Maangta mujhe wo rab se iss kadar ki uski hi main taqdeer banti
Rab bhi mujhe dikhaye kuch aisa agar meri khushi kisi se hai banti



Really nice, infact great Neelam
 
Mere dil ki baaton ko maine har shabd mein darshaya
Jaanti hun main uski samajh mein har shabd hai aaya
Lakin uske dil mein basi kuch yaadon ko wo nahin hai bhul paya
Lagaye rahungi ye aas dil mein jab tak na laut ke mujh tak wo aaya
Agar kabhi mil gaya usse uski yaadon ka wo saya
To rukh jaaungi apna maud jaise mujhse uska koi parichaye na ho paya
 
Kya rang hote hain is mohabbat ke bhi
Koi kahin hansta hai aur koi rota hai
"Wafa aur mohabbat' kya sauda hai koi
Pyar ke karobaar mein bus dil rota hai
 
Jinko dil ke kareeb samjha tha kabhi humne
Dekha jo gaur se to woh hume anjaane lage
Lakhon ki bheed mein jo chehra apna lagta tha
Nazdeek aaye aaj unke to woh begaane
lage
 
Last edited:
Kya rang hote hain is mohabbat ke bhi
Koi kahin hansta hai aur koi rota hai
"Wafa aur mohabbat' kya sauda hai koi
Pyar ke karobaar mein bus dil rota hai


Mohabbat khushi ke rangon se bhari hoti hai
Aur inhi rangon se duniya sabki rangeen banti hai
Wafa aur mohabbat kisi bazaar mein nilaam hoti nahin
Ise hum dete pahle phir humein dusre ke dil se milti hai

 
Jinko dil ke kareeb samjha tha kabhi humne
Dekha jo gaur se to woh hume anjaane lage
Lakhon ki bheed mein jo chehra apna lagta tha
Nazdeek aaye aaj unke to woh begaane
lage


Ye samjh hi to tumko dhokha de gayi
Dil ke kareeb kaun hai usko jana nahin ab tak
Lakhon ki bheed mein koi karta hai tumhara intezaar
Usko tumne theek se pahchana nahin ab tak
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top