Wafa aur mohabbat

Status
Not open for further replies.
Woh kahte hain humse ki humne duniyaan nahin dekhi
Hum sochte hain ki kya kuchh aur bhi dekhna baaki hai
Jinhe apna samajha tha unko bhi ab pehchaan liya humne
Begaane kaise milenge mehfil mein ye dekhna baaki hai
 
Tum jaisa insaan pahli baar dekha maine duniya mein
Jo dekhna chahta hai sirf begaanon ko yahan
Jisse apna mana tumne agar tum usse pahchan gaye
To batao zara ki wo kaisa hai jisne tumhe mana apna yahan
 
Wafa aur ....




'Wafa aur Mohabbat' mili thee jab zindagi mein
Ek dusre par marne waale khusnaseeb insaan the

Kisi ki chahat mein jo shakhs zindagi fanaa kar de
Warna chhoone ko is duniyaa mein kai asmaan the

Ye safar jo hamesha rook rook kar fir bhi chalta raha
Chalte rahe mere saath unke kadmon ke nishaan the

Kaun parwah kare duniyan mein apno aur begaano ki
Waqt aur insaan ko na pehchaan paaye woh nadaan the

Jinse mohabbat ki hai ab unse bhi kya shikwa karna
Khuda salaamat rakhe unhe yahi sochkar bejubaan the

Gujra hua waqt bhi kya kabhi laut kar aaya hai yahan
Na jaane kyon woh ye sochkar bewajah pareshaan the

Unse mila tha pyar kabhi ye to naseeb the hamaare
Ab ye to kaun jaane ki kiske dil mein kya armaan the

Koi humen batlaaye ki ye mohabbat kya cheez hai
Shayad ye 'Vijay' abhi bhi iske naam se anjaan the
 
Last edited by a moderator:
Begaano ko Apna bananey me derr kahan lagti hai
Pyar ho to nafrat ko jagah kahan milti hai

Chaho to aise ke uske wazood me apni pehchan milti hai
dum nikale uske agosh me to amavas bi chand raat lagti hai

Chahat me jazbaa ho to aisa ho ke mita do khud ko
uske saath to garam hawaein bhi sard ehsaas deti hain


P.S.- Vijay this is as good as i can write IN OFFICE:)



 
Arz(copy_kiya_hai)Kiya hai

meri dua hai tu sabse nek seerat ho,
teri tarah tera dil bhi khoobsoorat ho,
dua se pahle mile tujhko jo tu chahe,
ke khud dua ko teri haathon ki zaroorat ho!!



yahan se jald gujar jao aye kafile walo
ki meri pyaas ke fooke hye hain ye virane
hamari bhi tanhaion ka saathi tha kabhi koi
ab to hum hain...... tanhai hai....... aur hain guzre kai zamane
 
Tanhayi hai pyar mein
Barbadi hai pyar mein
Aasoo hai pyar mein
Bebasi hai pyar mein
Ghum hai pyar mein
Haar hai pyar mein
Ye sab pata hai
to ho hi kyu pyar mein??
 
Tanhayi hai pyar mein
Barbadi hai pyar mein
Aasoo hai pyar mein
Bebasi hai pyar mein
Ghum hai pyar mein
Haar hai pyar mein
Ye sab pata hai
to ho hi kyu pyar mein??


Apne ka saath hai pyar mein
Hansti zindagi hai pyar mein
Mahakte chaman hain pyar mein
Asha ki har kiran hai pyar mein
Muskurate chehre hain pyar mein
Haar ke baad hi asli jeet hai pyar mein
Ye sab jaan lo tum
Phir dekho aur kya kya hai pyar mein
 
Apne ka saath hai pyar mein
Hansti zindagi hai pyar mein
Mahakte chaman hain pyar mein
Asha ki har kiran hai pyar mein
Muskurate chehre hain pyar mein
Haar ke baad hi asli jeet hai pyar mein
Ye sab jaan lo tum
Phir dekho aur kya kya hai pyar mein

Piyar me Yar basa hota hai
Pi Yar, piyar nasha hota hai
pi ke jhoom, machale dhoom
kiya pata, kal kaisa hota hai

RK^2
 
Piyar me Yar basa hota hai
Pi Yar, piyar nasha hota hai
pi ke jhoom, machale dhoom
kiya pata, kal kaisa hota hai

RK^2

Ye pyar to zinda hai bus kisi dildaar ke liye
Na jaane kiske labon par pyar ka naam aaye
Char din pyar ke hain zindagi jeene ka sahara
Kisko yahan gum hai aati hai to kaali raat aaye
 
Ye pyar to zinda hai bus kisi dildaar ke liye
Na jaane kiske labon par pyar ka naam aaye
Char din pyar ke hain zindagi jeene ka sahara
Kisko yahan gum hai aati hai to kaali raat aaye


Pyar hi jannat hai iss dil ke liye
Ise bhi wo sachha pyaar mil jaaye
Char din ke ye zindgani bitaane ke liye
Koi humsafar iss dil ko ab mil jaaye

 
Na jaane kal ke naseeb mein kya likha hai
To fir kyon na hum bus aaj ki baat karen
Ye haseen lamhe laut kar nahin aane waale
Apne dil ki chahat se chalo mulakaat karen


Beete kal ko bhula ke hum
Aaj ko pura khul ke jeelen
Sanjo len har hanseen pal ko
Aao aisi khushiyon mein jeelen

 
kitaab-ey-maazhi ke ouorak palat ke deekh zara
na janey kaun sa saafha mura huwaa nikley

{wasim barelhwi}

Ye phalsafe jo een sunahare panno pe likhe hai
Waqt ne jo likhi hai kismat usko mita nahin sakte
Kaun jaane kiske maathe par kya likha hai yaaro
Har saath chalne wale ko humsafar bata nahin sakte
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top