Yaadon Ke Pal

Status
Not open for further replies.
Dilbar milte hain, lekin khwaboon mein
Mohabbat hote hain, sirf kitaboon mein
Yahi hai hakikat,nahin guzarte zindagi
Mere dost in sawaloon-jawaboon mein

Dilbar ka milnaa to koi khawaab nahin hota
Ye mohabbat to haqeeqat mein bhi hoti hai
Sawaal-jawaab zindagi karti aai hai hamesha
Koi jaagta hai raat bhar koi araam se soti hai
 
Bahut khoob!!!! nice to read something positive frm vijay:)
Nadaan nahin hote mohabbat karne waale
Aapne Kabhi kisi se ye dil lagaaya to hota
Har koi bewafaa nahin hota duniyan mein
Kabhi eek baar kisi ko aajmaaya to hota

Humnein ye dil bhi lagaya hai
In dilwaloon ko bhi aazmaya hai
WAFA ko mile WAFA yahan
Asa naseeb kisne paya hai
 
Bahut khoob!!!! nice to read something positive frm vijay:)

Humnein ye dil bhi lagaya hai
In dilwaloon ko bhi aazmaya hai
WAFA ko mile WAFA yahan
Asa naseeb kisne paya hai

Thanks, Divya !

Ye Wafaa to naseeb waalon ko hi milti hai yahan
Hum bhi to kabhi na kabhi nasbeeb waale honge
Kab tak woh door rah paayenge hamari chaahat se
Humpe pyar ayega aur hum unke kareeb waale honge
 
Dilbar ka milnaa to koi khawaab nahin hota
Ye mohabbat to haqeeqat mein bhi hoti hai
Sawaal-jawaab zindagi karti aai hai hamesha
Koi jaagta hai raat bhar koi araam se soti hai

Aap jaagte hain aur koi aaram se sota hai
Agar yahe anjaam-e- mohabbat hota hai
nahin guzarna ase kisi rah se
jahan bebas insaan haste-haste rota hai
 
Thanks, Divya !

Ye Wafaa to naseeb waalon ko hi milti hai yahan
Hum bhi to kabhi na kabhi nasbeeb waale honge
Kab tak woh door rah paayenge hamari chaahat se
Humpe pyar ayega aur hum unke kareeb waale honge

Na kar itna bharosa is naseeb pe
deta hai ye dhoka bahut kareeb se
Jaane kab palat de saari baazi
khelta hai ye khel bade ajeeb se
 
Aap jaagte hain aur koi aaram se sota hai
Agar yahe anjaam-e- mohabbat hota hai
nahin guzarna ase kisi rah se
jahan bebas insaan haste-haste rota hai

Kisi ki yaad me jaagna to aachha lagta hai
Woh kya jaane is tadap mein kitna mazaa hai
Zinka dil paththar hai woh kya jaane ahsaas
Ab dekhna ye hai ki kiski zindagi ek sazaa hai
 
Na kar itna bharosa is naseeb pe
deta hai ye dhoka bahut kareeb se
Jaane kab palat de saari baazi
khelta hai ye khel bade ajeeb se

Ye zindagi yun kab tak khel khelegi
Kabhi to hum bhi jeetenge koi baazi
Ek dil tha woh bhi laga diya daanv pe
Ab aage jo bhi ho us khudaa ki marzi
 
Ye zindagi yun kab tak khel khelegi
Kabhi to hum bhi jeetenge koi baazi
Ek dil tha woh bhi laga diya daanv pe
Ab aage jo bhi ho us khudaa ki marzi

Daanv laggana aasan hei,nattize khatarnaak hotey hein
Jo jeet na payein wo ta-ummar rottei hein
 
HUM DIN RAAT TERE PYAAR MEIN JALAA KARTE HAIN..........
KUCH TO GUNAH KIYE HONGE JO YON ROZ MITA KARTE HAIN...
EY! KHUDA TU HI KUCH BATA DE HUMKO..
KYON HAR PAL YE ASHK BAHAA KARTE HAIN...

IS MOHABBAT KA NA JAANE KAL KYA ANJAAM RAHE
HUM TO BETAAB UNHEIN CHAHA KARTE HAI..
NA JAANE KAB MIL PAAYENGE WO HUMKO
KI AB TO HAR PAR UNKI RAAH TAKAA KARTE HAIN...

HAR CHEHRE MEIN DEKHTE HAI BUS CHEHRA UNKO ..
KOI KEH DE JAAKE UNHEIN, HUM YAAD BAHUT KARTE HAIN.....:)
 
Dil jab toottaa haii to awaz nahii aatii,
Har kisiko chahat ras nahi aati,
yeh tau apne apne naseeb kii baat haii,
koi bhoolta hii nahi or kisi ko yaad nahii aatii
 
Dil jab toottaa haii to awaz nahii aatii,
Har kisiko chahat ras nahi aati,
yeh tau apne apne naseeb kii baat haii,
koi bhoolta hii nahi or kisi ko yaad nahii aatii

Chahat dil se karro tou raas aati hei
Dil tootata hei tou chhekhh nikal jaati hei
Mohobbat nasseeb se nahin jajjbbe se milti hei
aur dil jallon ko yaad bhi khuub aati hei.
 
Dil jab toottaa haii to awaz nahii aatii,
Har kisiko chahat ras nahi aati,
yeh tau apne apne naseeb kii baat haii,
koi bhoolta hii nahi or kisi ko yaad nahii aatii

Aakhir kab tak todenge woh ek pyar bhara dil
Badalenge nahin hum kabhi bus yahi tabiyat hai
Woh chahe bhool jaayen humen umar bhar ke liye
Hum har pal unko yaad karenge yahi mohabbat hai
 
Nice one Priya !

HUM DIN RAAT TERE PYAAR MEIN JALAA KARTE HAIN..........
KUCH TO GUNAH KIYE HONGE JO YON ROZ MITA KARTE HAIN...
EY! KHUDA TU HI KUCH BATA DE HUMKO..
KYON HAR PAL YE ASHK BAHAA KARTE HAIN...

IS MOHABBAT KA NA JAANE KAL KYA ANJAAM RAHE
HUM TO BETAAB UNHEIN CHAHA KARTE HAI..
NA JAANE KAB MIL PAAYENGE WO HUMKO
KI AB TO HAR PAR UNKI RAAH TAKAA KARTE HAIN...

HAR CHEHRE MEIN DEKHTE HAI BUS CHEHRA UNKO ..
KOI KEH DE JAAKE UNHEIN, HUM YAAD BAHUT KARTE HAIN.....:)

Woh kya aaye hamaari sooni si zindagi mein
Bahaaron ke mausam waapis aa gaye lagte hain

Jiska naam sunte hi dharkane lagta hai ye dil
Aise haseen shakhs ko dilbar hum kahte hain

Enn raaton ki neend churaa kar le gaya koi
Ab ankhon mein bus usi ke sapne dekhte hain

Ye dil bhi kitna paagal hai sach kahte hain log
Humen jo abhi mila nahin usko sochte rahte hain

Dekhte hain ki kab rang laati hai ye mohabbat
"Vijay" aaj apne dil ke ye zazbaat kahte hain
 
Kaun hai jo aapka dil dhadkaane laga
Din ka chain, raat ke neend udane laga
Asa bhi kya baat hai us dilbar mein
VIJAY fir se apna muqadar aazmane laga:)
 
Kaun hai jo aapka dil dhadkaane laga
Din ka chain, raat ke neend udane laga
Asa bhi kya baat hai us dilbar mein
VIJAY fir se apna muqadar aazmane laga:)

Ye dil dhadkata hain mohabbat ke naam se
Aisa laga koi zindagi mein aane waala hai
Muqaddar mein kya likha hai ye khuda jaane
Zindagi mein koi bahaaren laane waala hai
 
Kaarvan Guzar Gaya Gubar Dekhte Rahe..........

ye kuchh Neeraj ne likha tha

:) :) :) :)
 
Last edited by a moderator:
Woh kya aaye hamaari sooni si zindagi mein
Bahaaron ke mausam waapis aa gaye lagte hain

Jiska naam sunte hi dharkane lagta hai ye dil
Aise haseen shakhs ko dilbar hum kahte hain

Enn raaton ki neend churaa kar le gaya koi
Ab ankhon mein bus usi ke sapne dekhte hain

Ye dil bhi kitna paagal hai sach kahte hain log
Humen jo abhi mila nahin usko sochte rahte hain

Dekhte hain ki kab rang laati hai ye mohabbat
"Vijay" aaj apne dil ke ye zazbaat kahte hain

Jab shaadi ho jaye usase to hame bhi batana,
Dil dhadakta hai ya baith jata hai, ye samjhana,
uski meethi awaj karkash nazar ayegi
jab tum usase pyar karoge aur wo tumse bartan manjwayegi :D
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top