upendra ji kisi bhi baat ko aise generalize nahi kiya jaa sakta.kuchh log ache nahi hai to iska matlab ye nahi ki sab kharab hai.
chahne se love kabhi nahi milta.love diya jaa sakta hai.physical attarction ka love mai koi role nahi lagta mujhe.
haa physical attaraction se baatcheet start hoti hai..wo baad mai love mai convert ho bhi sakta hai aur nahi bhi.kuchh log intelligency ki taraf jaldi attract hote hai.Love is always an achievement.jab hum love mai hote hai to doosre insaan par jyada trust kar lete hai.problem isi se aati hai.jab wo partner hume nahi mil paata to kahne lagte hai ki duniya aisi hai, wesi hai. kisi ko love karne ke liye force nahi kiya jaa sakta.sabki apni thinking hoti hai.Love is the most beautiful feeling.
Pyar karte raho.return mai kya mila ye naa socho jyada.doosra insaan humare love ki respect karta hai ya nahi usse jyada important hai ki hum khud apne love ki respect kare. 1 song hai.yaad nahi kis moive ka hai..
Dil ka kahna hai pyar kiye jaa,har pal ko dil se jeeye jaa,
Mene maana pyar khuda hai,sab se judaa hai.
main topic .whether brain produce and propelled love.
I am not agree with this.