जिनसे लेन-देन के रिश्ते होते हैं उनसे भाई-चारे नहीं निभाये जाया करते!
Muzaffaranagar dange BJP and SP ki milibhagat thi, so called Hindu (especially Jats) and Muslim votes ka respectively apne-apne liye polarization karne ke liye. And for total roop se sirf aur sirf Mulayam Singh jimmedar hai.
Ab rahi baat Jayant ke views ki Jayant ke views mein usne donon communities ke liye apni worry prastut ki hai, kyonki wo ek aisi politics ko run karte hain jiska votebank Jat and Muslim raha hai aur aaj se nahin inke Dada ji ke jamaane se. So hum Jats ko yah baat samjhni hogi ki hamaare liye tilakdhari-tarajudhari ke gang meins shaamil hona sahi rahega ya hamaare bujurgon dwara diye gaye Jat-Muslim unity par jo ki for the moment to tarnish ho chuki hai.
Jahaan tak main maanta hu, mujhe nahin lagta ki tilakdhari aur tarajudhari kabhi bhi apna apne swarth ke bina Jats ke saath bhai-chaare ya so called hindu unity ka nara uchhalenge. Wo yah nara uchhalte hain to sirf isliye kyonki unko muslims ka dar stata hai, jisko ki sirf Jat hi handle kar saka hai aur is baat ki poori history gwaah rahi hai. wo karnaame hum Jats ne history mein kiye hain jo ki tilakdhariyon dwara chinhit tathakathi royal kshatriya bhi nahin kar paaye. us history ke kuchh examples yahaan pesh kiye deta hu:
1) Jat history mein aise 3 mauke aaye jab Jat veeron ko muslims ne ya to apni betiyon se vivah ka nyota diya, ya jat chaudhariyon ne wo vivah thukraaye ya sandhiyon mein kahne ki himmat dikhaai ki beti de jao sandhi le jao, jabki in tilakdhariyon ke tathakathit royals ne to muslims ko ulte apni betiyan byaah ke peechha chhudwaya.
2) Tiilakdhariyon ka aisa koi mandir ka kissa nahin suna jahan koi mughal-shashak kisi sahayata maangne ya sammaan dene unke yahaan sheesh nvaane pahuncha ho, jabki hamaare Sarkhap ke HQ Sohrem Gram pe Babar se le Sikandar Lodhi v Tuglak sareeke mughal shaashak sheesh navaate rahe.
3) In tilak-dhariyon ka banaya hua koi bhi so called royal aisa nahin hua jisko 1857 ki kranti ki bagdor dene hetu Bahadurshah Jafar ne kaabil samjha ho, jabki usne yah bagdor Sarkhap ko saunpi, jiske baad se september 2013 tak jats and muslims ka atoot relation chalta aaya tha.
Jat-Muslim ke is gathbandhan ke Jats and Muslims donon ko kyaa faaide the:
1) Muslims Jats ke kheton mein kaam karte the to humen labor bachti thi, ghar baithe ghar ke paas labor uplabdh thi aur sasti kheti padti thi
2) Tilakdhariyon ke time-to-time karwaaye religious dangon se Khapland untouch rahi, jisse ki jaan-maal ka nuksaan nahin hua before september 2013.
3) Muslims ki support se Jats ne apna PM tak banwaya, jo ki koi tilakdhari ya tarajudhari kabhi nahin banne dega
4) Ch. Charan Singh PM bane to kitni hi laabhkaari yojanaayen kisaanon ko de paaye.
5) Azaadi se pahli isi Jat-muslim ki unity ke dam Ch. Chhoturam ne Jat-jamindar ke liye kitne bhalai ke kaam kiye aur kitne kanoon banwaaye, yah shaayad hi koi jat ho jo na jaanta ho
Ab jo bhai yah kahte hain ki Ajit Singh ya RLD ne western U.P. mein kar hi kyaa diya wo jara is baat par gaur farmaayen: aap sabhi ko pata hai ki 1952 mein jab state-reorganization chal raha tha to western U.P. plus current Haryana ko ek bana ke ek state ki maang thi lekin Ganga ki belt ki politics ke chalte un logon ne aisa kabhi nahin hone diya kyonki wo Delhi ko apne control mein rakhna chahte the taaki yahaan se paisa le ja ke eastern U.P. mein lagaya ja sake aur jo ki aajtak ho raha hai. So agar western U.P. mein kisi bhai ko development na hone ki shikayat hai to wah RLD par sara ilzaam dharne se pahle is pahlu par bhi jaroor soche ki iska ek kaaran yah bhi hai ki desh ki politics Delhi se nahin Ganga ke ghaaton pe base cities se control hoti hai.
Jo samjhdar insaan hota hai wo baarik-se-baarik cheej se bhi samjh jata hai ki uska bhala kiske saath jaane mein hai. Dange karwaaye Mulayam ne ya kaho ki dangon ka mahaul mulayam aur BJP donon ne mil ke taiyaar kiya, lekin uske baad kyaa hua? wo yah hua:
1) Agra ki modi ki rally mein, muzaffarnagar ke heros ko sammanit karne ke naam pe kyon 1 bhi Jat leader, ya Khap chaudhary ko us stage se sammaanit nahin kiya gaya jahaan par Sangeet Som ko kiya gaya, jabki sab jaante hain ki jab muzaffaranagar ka asali maidaan chhida tha to Sangeet Som to underground ho gaya tha aur sara morcha hamaare jats ke Khap chaudharies v local leaders ne with other similar castes ke saath milke sambhala tha. To Khap chaudharies ko stage pe chadha ke sammanit karwana kyon bhool gaye ye BJP ke tilakdhari v tarajudhari? Yah saaf dikhata hai ki inka chaahe jitna saath de lena par ye jat ko kabhi barabar nahin bithayenge.
2) Aaj tilakdhari aur tarajudhari ko Jats ki darkar hai to sirf isliye kyonki unko Muslims se koi bacha sakta hai to sirf jats, warna jats kyaa lagen inke? Aur lagte to practical terms mein baat karo, practical jaise ki Mulisms ki rehabiliation to Mulayam ne kar di but in BJP waalon ne kyaa rehabiliation ki aapki? konse mandir ya trust ke dhan ke darwaaje khole hum logon ki post-dange financial help karne ke liye? wo hamaara hi daan diya hua paisa hai na, to jab wo aise bheed padi mein bhi wo bhi unki raksha karne ki aivaj mein mandir ke khajaanon ke munh hmaare liye nahin khol sakte to isko just apni swarth-sidhdhi ke alawa kyaa kahun?
3) Dangon ke baad financial loss sabse jyada kiska hua, Jats ka, aur so called hindu trusts se ismen help kyaa mili "0"? yahi Hindu unity hai kya?
4) Jara nikaal ke laao figures ki Mulisms ki rehabiliation ke liye madrason se kitna paisa aaya, madarson ne kitne camps unke logon ke liye lagaaye aur fir dekho idhar ki tumhaare in so called Hindu ke trusts, temples ne hum Jats ke liye kitne rehabilitations kiye? practicality mein dekho, emotions pe mat jana, aaj dangon ke naam pe tumhaare ghar lutwa diye, ek paise tak ki madad nahin aai kisi bhi Hinduwadi sangthan ya trust se aur kal ko fir aa jayenge tumhaare gharon pe daan-chande maangne. Mera vishwas hai ki agar madarson ne unke muslims ki help hetu INR 100 lagaaye honge to tumhaare INR 5 bhi lagaaye hon to, aur wo bhi bawjood itne bade trusts and temples hain hamaare hindus ke?
5) arey financial help to chhodo, ye log to media se yah baat bhi nain hatwa paaye ki in dangon Jats-vs-Muslims bana ke kyon dikha rahe hain jabki dikhaane Hindu-vs-Muslims ke naam se? kiyaa kisi so Hindutva ya HIndu leader ne iske ooper kaam?
aaj jo BJP waale aap logon ko yani hum Jats ko muslims ke against khade karke 3-3 nishaane saadh rahe hain, 1st: Jats ki aad mein khud ko muslims se safe kiye hue hain, 2) aap logon ki sahanubhooti paa ke satta hathiyana chahte hain 3) aapki independent soch tod ke aapke beech dhong-pakhand ka samrajya khada karna chahte hain, ........... to yahi BJP waale kal ko kyaa guranatee hai ki govt . banne ke baad inhin mein se koi Advani ki tarah Jinnah ki majaar pe ja ke sheesh nahin jhukayega, ya koi Atal-Bihari vajpayee ki tarah Mussaraf jaison ko Arga bula ke bhoj nahin chhakayega aur fir wahi Mussafar bhoj chhak ke Atal ko jhunjhuna thama jayega ya fir koi JAsawant Singh Jinnah pe book nahin likhega?
main kisi party ki taraf inclined nahin hu is lekh mein but apni jat kaum ko sirf itna sandesh dena chahta hu ki emotions pe swar mat hona, logical soch se vote dena. aur Jayant Chaudhary ki soch mein mujhe koi galti nahin lagti, saari galti thi Mulayam Singh ki, yah ek bichha bichhaya jaal tha, agar usne police aur administration ko theek se kaam karne diya hota to yah danga bhadkna hi nahin aur ismen doosra chehra BJP, ki tum to muslims ko kar lo apni taraf aur humko Jats de do.
Avishwas aur pasho-pesh to donon hi taraf hai, Muslims ki taraf jaane mein aaj jhijhak hai to tilakdhari aur tarajudhari bhi kaunsa aapko barabar baitha lenge ya Agra ki rally mein baitha diya? Soch aapki, faisla aapka, bhavishaya aur samaaj aapka. but itna yaad rakhna tilakdhari aur tarajudhari koi dharm ki unity nibhawaane ya banaane hetu aapko gale nahin laga rahe hain aaj ke din, inko danda aaya hua hai to inko jat yaad aaya hua hai, warna ye aur jat ki poochh kar len, na to history mein aisa hua aur aage bhi aisa ho aisa sirf dhundhalka hai!
Tilakdhariyon aur tarajudhariyon ke saath aapke sirf len-den ke rishte nibh sakte hain, Jat se bhaichara na to kabhi inko nibhana aya aur naa kabhi ye nibha sakte, haan bhaichaare ya unity ka dhong jaroor kar sakte hain kyonki len-den ke rishte se to bhai-chaare ke rishte bana ke lootna aur bhi asaan ho jata hai. Jhanjhawat ki sthiti hai nikalna bahut mushkil hai, main to yahi kahunga ki apni Jat chaudhar ko bacha ke rakhna hai, aap kaise rakhenge wo aap jaanen. Ab jaise western U.P. ka hi maamla le lo, desh ki 543 seats pe nibha lena agar tilakdhariyo-tarajudhariyon se rishta nibhana bhi hai to but RLD ki 8 seats pe RLD ka khyaal jaroor rakhna, aakhirkaar various Jat Reservation Organizations, Jat bhaiyon ke balidan and hamaari Khaps ke joint sangharsh ko paar to Ajit Singh aur Bhupender Hooda ji ne hi mil ke lagwaya hai. aur jo samjhdar jat hoga wah yah bhi jaanta hoga ki congress pe jaisa pressure ka mahaul abhi bana tha, iske bina reservation milni bhi nahin thi. apne Jat leaders is cheej ko samjh gaye the ki abhi nahin to kabhi nahin aur poori jat biradari ka 6 saal ka sanghrash rang laya to usmen hamaare social leaders ke saath-saath in donon leaders ka bhi yogdan gina jayega!
Aur isse Jat kaum ka kitna bhala hone wala hai, wo aap logo isi saal se hone waale various college admissions, job promotions, new job selections mein saaf dekh lenge aur wo bhi bahut hi jald.
Phool Kumar Malik