Aane ka karke vada wo na aaye

Status
Not open for further replies.
Sandeep Kadian (Feb 10, 2004 08:06 p.m.):
that was really good santosh ji. aap koi kitab kyon nahi likhte, bhaut chalegi.
dudee uncle kya shayiri hai app ki, that was realy great of u.


dear sandeep kadian ji , main bhi soch raha hu apni koi kitab nikalu, jisme meri khushi or mera dard ho,

santosh benaam
 
Wah Uncle Ji Wah! Kaya Baat Kahi Hai, Maza Aaga or aan do.....
Dharmpal Singh Dudee (Feb 10, 2004 12:04 p.m.):
Dear Dheeraj, Ashok, Amardeep and all
pasand ky liye danyavad

TutAy- murjhye phool
Kahbi Khil nahi sakaty
Tutay huye dil bhi
Kahbi mil nahi sakaty

Dariya ky 2 kinary
Sath sath rah sakaty han
Parantu hakikat yah hae
Ki khabi mil nahi sakaty
 
Aane ka karke vada wo na aaye hamne intjaar bahut kiya
Jis ghadi se hame thi nafrat us se hamne bahut pyar kiya
Tumhare liye hamne kya socha tha tumne hame kya soch liya
Jab jab gujra ek ek pal hamne na jane khud ko kaise tham liya
Main apne gile sikwe tumse kahta magar dil ne inkaar kiya
Na jane kon se wo ghadi thi jab hamne tumse pyar kiya
Na aaye tum iska na mujhe afsos hai magaar kyu wada kiya
Tumhare na aane se tumhe kya pata is dil ne kitna intjaar kiya.

santosh benaam


very Nice,


Woh to humse roz wada kar jaate hain aane ka
Humne intezaar mein zindagi ka har pal gujar diya

Na jaane kab qayaamat hogi unki meharbaani ki
Humne to kabhi ka unko ess dil mein utaar liya

Kis se shikva karen aur kisko dard-e-dil dikhayen
Jab humne khud apne aap ko pyar mein bemaar kiya

Dekhate hain ab kisko kya rang dikhati hai ye kismat
"Vijay" ne seekhi zindagi ya tumne apna pyar haar diya
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top