After hate thread

Status
Not open for further replies.

sandeepsomu

New member
Mistakes are painful when they happen but days later a collection of mistakes is called experience. so guys leave the hate thread behind and lets start a new fresh romantic thread.
main pehle bol raha hu kamino susro koi gaali nahi bakega iss thread mein :D :D

Ek ada usski dil churane ki,
ek ada usski dil main bus jane ki,
ek chehra usska chand sa,
ek jid hamari uss chand ko paane ki.
 
Last edited:
Humm....

badalon ke darmiyan kuch aisi sajish hui
Mera ghar mitti ka tha.. mere hi ghar baarish hui...
Unko zid hai bijliyan girane ki..
Humein bhi zid hai VAHIN aashiyan banane ki... (Not mine.. a forward SMS though...)

Cheers!!

Shobhit Deshwal
 
Mistakes are painful when they happen but days later a collection of mistakes is called experience. so guys leave the hate thread behind and lets start a new fresh romantic thread.
main pehle bol raha hu kamino susro koi gaali nahi bakega iss thread mein :D :D

Ek ada usski dil churane ki,
ek ada usski dil main bus jane ki,
ek chehra usska chand sa,
ek jid hamari uss chand ko paane ki.

wah bhai wah ...

dil churane walon pe tu mukaddma karde
dil me jabadasti basne walon ko bahar kar de
aasmaan me dekhne ki aadat bahut buree hai
zammen pe rah aur chal neechee nazar kar ke

RK^2
 
wah bhai wah ...

dil churane walon pe tu mukaddma karde
dil me jabadasti basne walon ko bahar kar de
aasmaan me dekhne ki aadat bahut buree hai
zammen pe rah aur chal neechee nazar kar ke

RK^2

Wah sir!!

Dil churane vaale roz nahi aate
mukadme unpe paiboz nahi jaate
koi aaye to rehne dil me jabardasti
hum bhi har kisi ke dil me rehne nahi jaate!!

Cheers!!

Shobhit Deshwal
 
Koi be-dil mera dil chura kar to le gaya
zindgi ki pahli chori karke wo ghabra gaya
haathon me uske itnee huee kamp kapee
ki zalaim ne hathon se mera dil hi gira diya

RK^2
 
Last edited:
terre siwa koi merre jajbaat main nahi
aankhoien main wo nami hai jo barsaat main nahi
koshish to kar raha huin ki tujhe paa saku
par shayad aisi koi lakeer haath main nahi.............................
 
terre siwa koi merre jajbaat main nahi
aankhoien main wo nami hai jo barsaat main nahi
koshish to kar raha huin ki tujhe paa saku
par shayad aisi koi lakeer haath main nahi.............................

wah re Chaudhary Sahab... eb jamegi mahfil....

RK^2
 
lo to uncle ji simbhalo ek hor.......

maut ke baad yaad aa raha hai koi
mitti merri kabr se utha raha hai koi
ee khuda 2 pal ki mohlat hor de de
udas merri kabr se jaa raha hai koi.....................

oye oye...dekhi na gaye tere se uskee udassi...hahahah.. pada ne raha gaya tere se kabr me...hahahah

meri kabr pe wo upna daman chor gaye
rote hue wo ne jaane fir kis aur gaye
chalte chalte ne jaane kiya kah gaye
kabr me pade hue, hum fir mar gaye

RK^2
 
Last edited:
yoooooo bagaya.....

bhool janae ka honsla na huva
dhoor rehkar bhi tu judaah na huva
tujse milkae kisi se kya miltae hum
koi tera jaisa doosra na huva...

cheers!!

Shobhit Deshwal
 
Kuashishen agar nek hon to mukam tak laati hain,
magar yaad rahe beimanon ki kishtiyan aksar doob jaati hain
Yoon aankhen nam kar pyar ko badnaam naa kar,
Sachche pyar me khudgarzi ke aansoon kahan aate hain

Shamsher
 
terre siwa koi merre jajbaat main nahi
aankhoien main wo nami hai jo barsaat main nahi
koshish to kar raha huin ki tujhe paa saku
par shayad aisi koi lakeer haath main nahi.............................

my god!!!! prashant, tu itna badhiya kit te toh ke laya.. hahaha manne na bera tha tu itna accha likh sake sai!! really great.. aankhon main woh nami hai jo barsaat main nahi...wah :)
 
Kaise daaman bachaaoge meri mohabbat se
Mein to likha hua teri taqdeeron mein hoon
Ye duriyaan nazdeekiyan ban jayegi eak din
Mein to tere hathon ki lakeeron mein hoon
 
Pani ki zarorat hai mohabbat ke shajjar ko;
pathar pe kabhi peid ugai nahi jate;
ahsas agar ho wafa phalay phooley gi;
adab mohabbat ke sikhai nahi jate...

Cheers!!

Shobhit Deshwal
 
Bahate paani ko kisne roka hai
Woh apna raasta khud banata hai
Ye mohabbat ek jazbaat hai aisa
Jo khud hi wafa ka ahsas jagata hai
 
wo aaj hume yoon nazar aaye
jaise sawan ki mast ghatayen
hume dekh ke ne jane kun wo
hothon hi hothon me muskuraye

RK^2
 
Un labon ki muskurahat ek raaj hai
Zindagi bhar samajh nahin aayegi
Woh to dard dekar bhi muskurate hain
Aur un labon be hansi bewaqt aa jayegi
 
Woh aaye they chale jaane le liye
Do ghadi apna dil bahlaane ke liye
KI hum unhe dekhkar beetab ho jayen
Ye bhi unki ada hai sirf tarsaane ke liye
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top