After hate thread

Status
Not open for further replies.
jab koi baat karata hu tera khyal aata hai
jabb kuchh sochne lagta hu tera khyal aata hai

meri aankhon meri nazar main tum aise samaye ho
jabb kuchh dekhne lagta hu tera khyal aata hai

koe bhi kaam mujh se abb tu kiya nahi jaata
jaabb kuchh kerne lagta hu tera khyal aata hai

main saari raat tujhay sochte bita deta hu
main jabb bhi sone lagta hu tera khyal aata hai

kabhi jabb hansi aati hai tu dil rone lagta hai
main jabb bhi hasne lagta hu tera khyal aata hai

main pall pall mrrta rehta hu nahi abb jia jata
main jabb bhi jeene lagta hu tera khyal aata hai

Cheers!!

Shobhit Deshwal
 
itna roola honey key baad,, thodi seekh !!!

aaj key daur mein ey dost yey manjar kyu hai
jakhm har sar pey har haath mein pather kyu hai

jab hakikat hai key har jarrey mein tu rehta hai
fir jamin par kahin masjid kahin mandir kyu hai

aapna anjaam to maalum hai sabko lakin
aapni nazroo mein har insaan sikander kyu hai

jindgi jiney key kaabil hi nahi ab fakir
warna harr aankh mein ashko ka samander kyu hai:)


sudarshan fakir sahab......
 
Sajti Rahe khushio ki mehfil
Har Khushi suhani rahe
Apki Zindagi mein itne khush rahe
ki Har khushi aap par diwani rahe:)
 
Hum ji rahe the unka naam le kar
Wo gujarte the hamara salaam lekar
Kal wo kah gaye Bhula do humko, humne pucha kaise?
Wo chale gaye hatho mein jaam dekar


CHEERS!!!!!
 
Pani ki zarorat hai mohabbat ke shajjar ko;
pathar pe kabhi peid ugai nahi jate;
ahsas agar ho wafa phalay phooley gi;
adab mohabbat ke sikhai nahi jate...

Cheers!!

Shobhit Deshwal


Paani ne bhi bahuton ko duboya hai,
yoon pathar ko badnam naa kar,
Kissi ka aashiyan bana hai esse,
Kissi ne apni hasraton ko sanjoyaa hai,
 
Mistakes are painful when they happen but days later a collection of mistakes is called experience. so guys leave the hate thread behind and lets start a new fresh romantic thread.
main pehle bol raha hu kamino susro koi gaali nahi bakega iss thread mein :D :D


Ek ada usski dil churane ki,
ek ada usski dil main bus jane ki,
ek chehra usska chand sa,
ek jid hamari uss chand ko paane ki.



Word of wisdom..proud of you bhai.
 
aaj key daur mein ey dost yey manjar kyu hai
jakhm har sar pey har haath mein pather kyu hai

jab hakikat hai key har jarrey mein tu rehta hai
fir jamin par kahin masjid kahin mandir kyu hai

aapna anjaam to maalum hai sabko lakin
aapni nazroo mein har insaan sikander kyu hai

jindgi jiney key kaabil hi nahi ab fakir
warna harr aankh mein ashko ka samander kyu hai:)


sudarshan fakir sahab......



Jakhm sar ka haath ka pathar ye kahani kahta hai,
Aaj insan ke bhesh me shayad insaan nahin rahta hai.
Jab tu pathar me chala gaya, insaan ne pathar uthaya,
Khoon ki khoob holi kheli tujhko hi hathiyaar banayaa.
Mandir jaaoon masjid Jaaoon, khud ko bachaoon yaa tujhko bachaoon
aaj ki Savitri kisko doonde har mod pe yamraj rahta hai
Jakhm sar kaa haath kaa pathar ye kahani kahtra hai
Aaj insaan ke dil me shayad insaan nahin rahta hai.

Shamsher
 
Last edited:
Jis roz se dekha hai usko hum shamma jalana bhool gaye
dil thaam ke aise baithe hai kahin ana jana bhool gaye


;) :)
 
Mere saamne vaali khidki me eik chaand ka tukda rehta hai...( and yeh sach hai!!)
Afsos yeh hai voh humse kuch ukadaa ukhadaa rehta hai!!

Cheers!!

Shobhit Deshwal

Jis roz se dekha hai usko hum shamma jalana bhool gaye
dil thaam ke aise baithe hai kahin ana jana bhool gaye


;) :)
 
chand to ek hi h chakor kai hoge
jo chand ko niharate jan dedete h pyase
vo chakor ab shyad hi miltae hoge


Chakor banne ka kya fayada..zara ye sun


AA AA baith mere pass tujhe dekhta rhoon,
naa tu kuch kahe naa main kuc kahoon.
AA baith mere pass......


To Ritu ham to uss chand ko pass se dekhenge..

Shamsher
 
Majboor kar ke phir mujhe mere yaar le chalo,
uski gali me phir mujhe eik baar le chalo

Uki gali ko jaanta, pehchanta hun main
voh meri katl gaah hai yeh maanta hun main
uski gali me maut mukaddar ki baat hai
shayad maut ahel e wafa ki hayat hai
Main khud hi maangta hu talabgaar le chalo

Ab us gali me koi na aayega mere baad
us darr pe khoon kaun bahayega mere baad
maaine to sang o khisht se takra ke apna sarr
fallah kar diye the lahoo se voh baam o ghar
phir muntazar hain voh darr o deewar le chalo

majboor kar ke phir mujhe mere yaar le chalo
uski gali me phir mujhe eik baar le chalo....... le chalo.....

Cheers!!

Shobhit Deshwal





Shobhit Bhai....lagtahai haal behaal hai...sirf darwaje ke us par jaane ka sawal hai


Shamsher
 
Majboor kar ke phir mujhe mere yaar le chalo,
uski gali me phir mujhe eik baar le chalo

Uki gali ko jaanta, pehchanta hun main
voh meri katl gaah hai yeh maanta hun main
uski gali me maut mukaddar ki baat hai
shayad maut ahel e wafa ki hayat hai
Main khud hi maangta hu talabgaar le chalo

Ab us gali me koi na aayega mere baad
us darr pe khoon kaun bahayega mere baad
maaine to sang o khisht se takra ke apna sarr
fallah kar diye the lahoo se voh baam o ghar
phir muntazar hain voh darr o deewar le chalo

majboor kar ke phir mujhe mere yaar le chalo
uski gali me phir mujhe eik baar le chalo....... le chalo.....

Cheers!!

Shobhit Deshwal



Phoolon se saji mahfil ko kaanton se bachaye rakhna,
bas yehi jazbat har waqt banaaye rakhna,
Vo Chandni tere angan hogi vo chand tere dar hoga
Bas achchi tarah se aayene ko thamaye rakhna.

Shamsher.
 
Last edited:
Status
Not open for further replies.
Back
Top