brainspeak
New member
arvind ji this khaap system is only in jats and it is the oldest form of democarecy in this world.khaap leads to elect gana and gana leads to elect ganapati for 5 years(ganpati was equal to maharaja).i request JL members to study more about our social taanaa baanaa and riti rivaaj.you will find scintific reason behind that.and thease tradations are thousends of years old.we must claim that democarecy was started by jats.panchyaayt soch samaj ker uchit faislaa legi.i suggested some points in this thread earlier also.
:rockkaanoon se smaaj nahi bantaa, smaaj kaanoon banaata hey.
ravinder ji aapke anusar parjatantra jaton ki den hai...iss mudee pe kafi bahash ki ja sakti hai lekin phir bhi mein aapki baat mann leta hun...aapne jo doosre pehlu saamne rakhe hain woh bhi kafi santulit hain....lekin mera sirf ek hi sawal hai ki yeh khap/khap-panchayat tabhi kyun active hoti hain jab koi shadi ek hi gotra/bhaichaara mein ho jati hai??...baaki samay mein yeh log kya karte hain??..kya ho chuki shadi tudwana hi khap ka ekmatra lakshya rah gaya hai??...
aapke anusar khap ki suruat isliye hui kyunki log saamajik roop se surakshit rahein, samaj mein anusashan bana rahe aur arajakta na faile...aur pehle sayad khap yeh kaam karti bhi thi....lekin aaj ke smaya mein jab itni saamajik buraiyaan jaise - dahej pratha, sharaabkhori, nasili dawaon ka sevan aadi ; aarthik samasyan - lagatar ghati kheti ki paidawar, badti mehngai, shikhsha ka abhav aur shikshit yuvkon ko naukri ki kami...ityadi...
kya kisi khap ne inmein se kisi ek bhi cheez ke liye apni awaz buland ki hai?? bilkul nahin!!...aur iska karan hai in buraiyon ko khatam karna ek kranti lane ke barabar hai aur usmein lagta hai jor!!!..jor koi laga ke razi hai nahin...kinhi 2 parivaron ko ujadne mein kya jata hai...poora gaam gher ke khada ho jao...darke maare woh bechare apne aap chale jayenge...kahan ki bahaduri hai aur kya iska natiza nikla??
suruat ho sakta hai vyagyanik sidhantonn ke basis pe ki gaye ho...kintu aaj ki jo prasthiyaan hain usmein khap system na hi to vyagyanik hai,na hi samvadhanik hai aur na hi prajatantra ko aage badata hai...