choudharyneelam
Banned
This is something I was searching from long time. Aajkal log half understanding leke baat karte rahte hain.....jise dekho wo ye bolta paayega ki maa ka darja sabse ooncha. Where is father then? Maa-pita dono ka darja barabar ka hota hai aur yahi tareeka main apni prayers mein lagati hun. Like, ek baar saawan ke mahine mein mujhe ek aunty ne Shivji bhagwan ki puja karte dekh liya. She asked mummy and mummy replied "jaise iska mann karta hai, ye waise puja karti hai....hum nahin sikhate ise". Fir bhi aunty se chup nahin raha gaya aur mujhe bol padin ki beta ladkiyon ko to Gauri maa ki puja karni chahiye. I then replied "jab papa khush to mummy apne aap khush, issliye main kam time mein dono ko saath mana leti hun"
.....and this stopped her to put another ques....so here it says ki pita kya hote hain........... 
Jo dukhon ki baarish mein chhatri ban tante hon,
Ghar mein darwaze par nazar battu ban tante hon,
Sameit lete hon sabka andhera bheetar,
Khud aangan mein Deepak ban jalte hon.
Beshaq, pita lori nahin sunate,
Maa ki tarah aansu nahin bahate,
Par dinbhar ki thakaan ke baawjood,
Raat ko pahra ban jaate hain.
Aur pita jab nikalte hain subah,
Tinko ki khoj mein,
Kisi ke khilone, kisi ki kitabein,
Kisi ki mithai, kisi ki dawai,
Parwaan par hote hain ghar ke sapne
Pita kab hote hain khud ke apne?
Jab saanjh dhale lautte hain ghar ko,
Maa ki chudiyan khanakti hain,
Nanhi gudiya chahekti hai,
Sab sapne sakaar hote hain,
Uss samay pita avatar hote hain.
Jawaan betiyan badnaam hone se darti hain,
Har galti par aankhon ki maar padti hai,
Darasal, bhye aur sanskaar ka bolbala hai pita,
Mohalle bhar ki jabaan ka tala hai pita.
Sach hai, maa samvedna hai, pita katha,
Maa dulaar hai, pita vyawahaar,
Maa pyaar hai, pita sanskaar,
Darasal pita vo hai jo maa nahin hai,
Maa zameen hai, pita aasmaan.
Pita bacchon ki tutli jabaan mein bhi ek
Surakshit sunehra bhavishye hai,
Jinke kandhon par bachhon ka bachpan hota hai,
Jinke paison se himmat jut-ti hai,
Jinki baajuon se taakat milti hai,
Jinki paramparaon se vansh chalta hai,
Agar pita na hote kya bacchon ko,
Sahajta se naam milta hai?
Haan, pita wo himalaya hai
Jo ghar ki suraksha ke liye sar utha,
Sina taan ke khada hota hai
Aise pita ko meri talab sheesh nawati hai.

Jo dukhon ki baarish mein chhatri ban tante hon,
Ghar mein darwaze par nazar battu ban tante hon,
Sameit lete hon sabka andhera bheetar,
Khud aangan mein Deepak ban jalte hon.
Beshaq, pita lori nahin sunate,
Maa ki tarah aansu nahin bahate,
Par dinbhar ki thakaan ke baawjood,
Raat ko pahra ban jaate hain.
Aur pita jab nikalte hain subah,
Tinko ki khoj mein,
Kisi ke khilone, kisi ki kitabein,
Kisi ki mithai, kisi ki dawai,
Parwaan par hote hain ghar ke sapne
Pita kab hote hain khud ke apne?
Jab saanjh dhale lautte hain ghar ko,
Maa ki chudiyan khanakti hain,
Nanhi gudiya chahekti hai,
Sab sapne sakaar hote hain,
Uss samay pita avatar hote hain.
Jawaan betiyan badnaam hone se darti hain,
Har galti par aankhon ki maar padti hai,
Darasal, bhye aur sanskaar ka bolbala hai pita,
Mohalle bhar ki jabaan ka tala hai pita.
Sach hai, maa samvedna hai, pita katha,
Maa dulaar hai, pita vyawahaar,
Maa pyaar hai, pita sanskaar,
Darasal pita vo hai jo maa nahin hai,
Maa zameen hai, pita aasmaan.
Pita bacchon ki tutli jabaan mein bhi ek
Surakshit sunehra bhavishye hai,
Jinke kandhon par bachhon ka bachpan hota hai,
Jinke paison se himmat jut-ti hai,
Jinki baajuon se taakat milti hai,
Jinki paramparaon se vansh chalta hai,
Agar pita na hote kya bacchon ko,
Sahajta se naam milta hai?
Haan, pita wo himalaya hai
Jo ghar ki suraksha ke liye sar utha,
Sina taan ke khada hota hai
Aise pita ko meri talab sheesh nawati hai.