ashiq shayri

Status
Not open for further replies.

dahiyasaab

New member
dil diya aeitbaar ki hadh thi,
jaan de di yeh mere pyar ki hadh thi,
mar kar bhi aankhen khuli reh gayi.................
aur kuch nahi yeh tere intezaar ki hadh thi !!!!!!!!!!!!!!!
 
Chhote se balak ne itni si umar me bahut kuchh kar liya......LOL
Bahut achchhe balak,Lage raho.
Good one Ankur.
 
thanx

bhut bhut dhanyvad jhakar sahab !!!!!
hosla afzai karn aale bhut kam mila kare se par is site pe
aake man ne isha lagya janu gaam ki chopal pe beth k hum sab bhai
kuch hasi mazak, thode serious topic, apne purane riti riwaz ne aaj k
aer aage aan aaley bhaiyaa tahi yhade sanjoh k rkhn lag reh se !!!!
un sabhi bhaiyaa ne jin ne yoh jatta tahi platform tyar kra unko
ish ankur dahiya ka koti koti pranam (ram - ram )
 
Yeh bhe adaab hamare hain tumHen kia maloom..
ham tumHen jeet ke hare hain tumHen kia malo0m..
aiK tum samJhte naheen aPna hamk0..
aiK ham hain ke tumHare hain tumHen kia malo0m...



Maana K Bhul Jana Aap Ki Fitrat Hi Sahi
Magar Humein Bhul Jana Aap Ki Kismat MeiN Nahi
Agar Yaqeen Naho To Aazma K Dekh Lena
Apny Aap Ko Bhul Jaaoge Par Humein Nahi..
Humein Jab Kabhi Khushi Mehsoos Ki Hain
Har Kadam Pey Aap Ki Kami Mehsoos Ki Hain


iss kadar chaha hai tujhe humney
tere siwa aur kuch ab nazar aata nahi
ik tere hi jalwe rehte hai ankhoon mein
kuch aur meri nigaahoon ko ab bhata nahi



saleeka hi nahi shayud usse mehsos karneka
jo kehta hai khudda hai to nazar aana zarori hai
jo dil mein hai usse ankho se kehlana zarori hai
mohabbat na samajh hoti hia ... samjhana zarori hai


Hume Bhi Pyaar Karne Ka Khayal Aaya,
Jub Bhi Yeh Khayal Aya Khud Ko Akeala Paya,
Dhoonte Rahe Is Duniya Main Humsafar,
Kisi Ko Dhokhe Baaz, Kisi Ko Bewafa Hi Paya.


pyar karnay ka koi saleeqa nahi hota!
wafa nibhanay ka koi tareeqa nahi hota!
pyar to woh hai jo ankhon say dil main utray!
ahsas dilay pyar ka koi kisay, aisa nahi hota!
jo raz-e-dil kahna ho kabhi sanam say!
khat hi likha jay, yeh zaruri nahi hota!


..................to be continued !
 
jara gaur farmay !

ae baarish zara tham ke baras,
jab mera yaar aa jaye to jum ke baras,
pehle na baras ki woh aa na sake,
phir itna baras ki woh jaa na sake.


aankhon ki zuban woh samajh nahin pate, hoat magar kuch keh nahin pate,
apni bebasi kis tarah kahe, koi hai jiske bina hum reh nahin pate.


usko chaha bhi to izhaar karna na aaya,
kat gayi umar saari humein pyar karna na aaya,
usne maanga bhi agar kuchto judai mangi,
aur humein inkaar karna na aaya.
 
Wah wah Dahiya saab.subhanallah......
Bahut badhia balak.
Maja a gaya padhkar.

Ishq ne uske nikammma kar diya ghalib,
warna aadmi hum bhi the kaam ke.

Regards.
 
Mukesh,
Bhagwan ne ishq banaya hai shayaron ke liye.
Agar ishq nahi hota to inki roji-roti kaise chalti.

so enjoy the shayari and try some "ishq"you too.......

Regards.
 
aaaaaaaadddddaaaawarz haiiiiiiiiiiiiiiii !

Ird gird jiske khushiyon ke chalakte pyaale honge,
Use dil mein kaise kaise dard paale honge.
Jo kahta hain pyaar se chalti hain ye duniya saari,
Uske hothon par roti ke do nivaale honge.
Har tawayaf ki kothi mein dard chupa paoge,
Ghugroo waale paav ke neeche aksar chaale honge.
Aaj ke daur mein kaun hain andhaa aur kise dikhta hain,
Iska faisla to tab hoga jab ujaale honge.
Daulat se jab husn khareeda, maine pyaar na paaya,
Kya pata tha gore chehron ke dil kaale honge.
Duniya ka dastur hain, jo aata hain wo jaata hain,
Jo markar bhi jinda hain wo log niraale honge.
 
Roz Taron kee numaa-ish mein khalal padta hai
Chand paagal hai andherey mein nikal padta hai
Unkee yaad aayee hai saanso zara ahista chalo
dhadkano se bhi Ibaadat mein khalal padta hai"


Jis shaam mere lab per tera naam na aaye,
Khuda kare aisi shaam na aaye....
Aai jaane wafa, ye kabhi mumkin hi nahin,
Afsaana likhnu aur tera naam na aaye.
 
haq hai tujhe ..........!

Tere siwa kisi aur main khona nahi chahta

tera ho kar kisi aur ka hona nahi chahta


haq hai tujh ko mere jazbaat ko thukra de tu

magar teri ais bewafai par rona nahi aata


mumkin hai kal suraj nikle meri maut ke bad

ais liye aaj ki raat main sona nahi chahta


meri kabar par aakar roye na koi

baigane aansooun se kafan bhigona nahi chahta...
 
dahiyasaab said:
Tere siwa kisi aur main khona nahi chahta

tera ho kar kisi aur ka hona nahi chahta


haq hai tujh ko mere jazbaat ko thukra de tu

magar teri ais bewafai par rona nahi aata


mumkin hai kal suraj nikle meri maut ke bad

ais liye aaj ki raat main sona nahi chahta


meri kabar par aakar roye na koi

baigane aansooun se kafan bhigona nahi chahta...

Very intense stuff indeed Ankur..Have you have written it all yourself?

RK^2
 
Very intense stuff indeed Ankur..Have you have written it all yourself?

RK^2

nahi sir abhi hamari kalam is kabil nahi, abhi toh jo shayari mujhe achi lagi
voh collection kar leta hoon aur aap sab k saath share karta hoon !
 
Arz kiya hei

le me try:

Agar jajbaat mei beh kar duniyan haqueeqt bana letee
To kyun insaan ke dil mein mohobbat yuun panah leti?

Dil ko sambhala lakh hamne, lekin dagga de hi gaya
Fakhat akele padde hein dekho,jaan usne lenni thi so le hi gaya.
 
Last edited:
BaDNaaM MeRe PYaaR Ka AfSaNa HuWa Hai

DeeWaNe Bhi KehTe HaiN Ke DeeWaNa HuWa Hai

RiShta Tha TaBhi To KiSi Be-DaRD Ne ToDa Hai

ApNa Tha TaBhi To Koi Be- GaaNa HuWa Hai

BaDaaL Ki TaRha Aa Ke BaRaS Jaao Aik DiN

DiL Aap Ke Hote HoYe ViRaaN HuWa Hai

BaJte HaiN KhaYaLoN MaiN TeRi YaaD Ke GhuNhRu

KuCh DiN Se MeRa GhaR Bhi PaRi KhaNa HuWa Hai

MuSaM Ne BaNaYa Hai NiGaaHoN Ko ShaRaBee

JiS PhooL Ko DeKhooN Wahi PaiMaNa HuWa Hai.....................
 
pesh-e-khidmat hai !!!

mohabbat ne humpe kya kya zulm hai dhae
hasti zindagi mein khoon ke aansu rulae
hum chahte the unhe par izhar na kar pae
woh chahe bhi hame hum ikrar na kar pae
na chup reh pae na kisi se kuch keh pae
lakhon hue sitam par hum uff bhi na kar pae

 
Kya kare aeitbaar ab koi ........

Manzilain bhi us ki thi
Rasta bhi usi ka tha
Ek main akela tha
Kafila bhi usi ka tha

Sath sath chalnay ki soch bhi us ki thi
Phir rasta badalnay ka faisla bhi us ka tha

Aaj kyon akela hoon
Dil sawal karta hai
Log to us kay thay
kya khuda bhi usi ka tha

Kya kare Atbaar ab koi
Ruth jaye na jane kab koi

Woh to khushboo ka ek jhoka tha
Us ko laye kahaan se ab koi

Kyaa usey hum idhar udhar dhundein
Dil hi main bas raha hai jab koi

Woh hasin kaun tha kahaan ka tha
Puch leta hasab nasab koi

Pyaar se hum ko keh ke deewana
De gaya ek nayaa laqab koi

Aaj din keh-kaho main guzra hai
Ro ke kate ga aaj shab koi

Us se kya apni dosti "Rehbar"
Joh samjhta hai khud ko rab koi.............. !!!
 
manzil k nishaan.........

Ek Pal Ke Liye Chala Tha Koi Saath Mere
Thori Dore Chal Ker Chor Gaya Mujhey

Kehta Tha Mujh Se Wo Ek Baat
Chalna Hai Tanha Is Rastey Per Tujhey

Is Kathin Rastey Main Saath Huwa Tha Wo
Ghabra Ker Rastey Main Chor Gaya Mujhey

Dil Main Udasi Ke Deep Jalaye
Chalna Tha Abhi Dore Mujhey

Doore Tak Na Mile Manzil Ke Nishan
Chalna Para Or Sholon Per Mujhey

Jub Himet Mujh Main Na Rahi Naaz
Tu Le Gaya Maut Ka Farishta Mujhey
 
Yeh dil ka zakhm tumne diya hai to koi baat nahin,
Yeh jigar ka dard tumne diya hai to koi baat nahin,
Majaal kiski hai ki kahe mujhe deewana,
Agar ye tumne kaha hai to koi baat nahin...
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top