rkumar said:Humko yeh shikayat hai ki wo kuch nahi kehte
unko yeh shikayat hai ki hum chup nahi rehte
RK^2
devdahiya said:Wah-2 bhai loggo.....gajjab mushayra chal padda.......Kamal bhai,Vijay bhai Aur Rajendra bhai jaan....jaan foonk di aashik shayari mei...lagge raho.
Wo kahein bhi kuchh kaisse,bewaffa jo thhehre
Jisko humne dillo jaan se chaha,wo firkaparast ho gaye.
fool4love said:gum bewaffa hone ka nahi
vo to ...zamane ne banaya
fikarparasti ka khitab diya
aapko vo guzra wakt na yaad aaya
devdahiya said:Gujjra waqt bhi yaad hei aur yaad hein battein saari
Tabhi to ro-ro kar ye haalat ho gai hammari
Achha hota agar bhulaya ja sakta wo purana fassana
Par hotta nahin aassan dil ko lagga kar hattana.
vijay said:Ab yeh bhi theek nahi ki har dard mita de
Kuchh dard kaleje se lagane ke liye hai
devdahiya said:Ab to dard se rista ho gaya pakka hammara
Dard dava ban gaya hei sara ka sara,
Ab to jehar bhi meethha lagne lagga hei
Ab to mausam bhi hamein thhagne laga hei.
vijay said:Yah dil kya hai dekha dikhaya hua hai
Magar dard kitna samaya hua hai
Mera dukh suna chup rahe phir bole
Ki yeh raag pahle ka gaya hua hai
devdahiya said:Aaddat jo padd gai hei iss dil ko dukh mei jeene ki
Hummein bhi jis treh rehti hei lalak meikhane mei ja kar peene ki
Agar na karte wo sitamm iss bharri jawaani mei
Hum kyun daltte ye aaddat peene pillane ki.
vijay said:Main najar se pee raha hoon, ye saman badal na jaye
Na jhukao tum nighahen, kahin raat dhal na jaye
Mere ashaq bhi hain isme, ye sharab ubal na jaye
Mera jaam chhune wale, tera haath jal na jaye
devdahiya said:Ikk din tha ke hum peete thhe tumhe dekh kar
Aur aaj iss mukam pe pahunche hein ke peete hein gammon par sek kar.
vijay said:Gum ki jo ghata aaye to phir jhum ke barse
barse bhi kuchh aise ki khushi dhekh ke tarse
Marne ka khauf nahi agar dar hai to itna
Nikle na meri lash kahin aapke gahar se
anildabas1701 said:dil Ke Kissi Konne Se Awaz Aati Hai
yeh Awaz Ek Tanha Sa Raag Gaati Hai
rukta Hoon, Sochta Hoon, Darta Hoon,
phir Bhi, Phir Bhi Naa Jane Kyun
dil Ke Kissi Konne Se Awaz Aati Hai
anildabas1701 said:dil Ke Kissi Konne Se Awaz Aati Hai
yeh Awaz Ek Tanha Sa Raag Gaati Hai
rukta Hoon, Sochta Hoon, Darta Hoon,
phir Bhi, Phir Bhi Naa Jane Kyun
dil Ke Kissi Konne Se Awaz Aati Hai
vijay said:Ek chhota sa dard ka tukda
kaha failega kahan simtega
Chubhta rahega zindagi bhar tees ban kar
Is del ke kissi kone main
vijay said:Ek chhota sa dard ka tukda
kaha failega kahan simtega
Chubhta rahega zindagi bhar tees ban kar
Is del ke kissi kone main
anildabas1701 said:VIJAY BHAI THANKS
ZINDGI GHAMON KA PULINDA HAI
KHUSHIYAAN AAJKAL CHUNINDA HAI
KABHI YAAD KAR LIYA KARO ISS NACHEEZ KO YAAR
YEH SHAKS ABHI TAK ZINDA HAI
devdahiya said:Ye dil to bolta rehta hei aur taddafta hei ghav khudd kha kar
Iss naddan ko abhi tak jeene ka andaaz nahin aaya.
vijay said:Ye dard-e-dil aur ye tanhai kya tadpaygi humen
Aklelepan se humne roz mulakaten ki hai
Tere didaar ki kya khak tamanna hogi
Zindagi bha teri tasveer se baten ki hai
We use essential cookies to make this site work, and optional cookies to enhance your experience.