sumitsehrawat
New member
Bhot accha likha hai aapne...
!
Wo kahke chale, itni mulakat bahut hai,
Maine kaha ruk jao, baate bahut hai.
Aansu mere tham jaye to fir shauk se jana,
aise mai kaha jaogi, barsaat bahut hai.
Wo kahne lagi, jana hai nihayat jaruri,
Chahti nahi dil todna, par meri majboori.
Gar ho gayi khata to maaf kar dena,
Maine kaha, mere liye ye jajbaat bahut hai.
Maloom hai mujhko, sabhi majbooriya teri,
Ruk jao bas ek baar, yahi iltja meri.
Aaunga na mai fir kabhi, nahi bulaunga,
Ta umar tanhayi ke liye, ye yaad bahut hai...