Dil ki Sada

Status
Not open for further replies.
Bhot accha likha hai aapne... :(!

Wo kahke chale, itni mulakat bahut hai,
Maine kaha ruk jao, baate bahut hai.

Aansu mere tham jaye to fir shauk se jana,
aise mai kaha jaogi, barsaat bahut hai.

Wo kahne lagi, jana hai nihayat jaruri,
Chahti nahi dil todna, par meri majboori.

Gar ho gayi khata to maaf kar dena,
Maine kaha, mere liye ye jajbaat bahut hai.

Maloom hai mujhko, sabhi majbooriya teri,
Ruk jao bas ek baar, yahi iltja meri.

Aaunga na mai fir kabhi, nahi bulaunga,
Ta umar tanhayi ke liye, ye yaad bahut hai...
 
"baad marne k mere tum jo kahani likhna
kaise barbaad hui meri jawani likhna.
Yeh bhi likhna k mere hoont hansi ko tarse,
umer bhar ankh se behta raha pani likhna........


बहुत अच्छा लिखा है मलिक साहब

एक मेरी ओर से भी :-

दिल तोड़ दिया अब लाश भी दफना देना
कफ़न न मिले तो अपना दुपट्टा ओढा देना
कोई पूछे रोग क्या था तो नज़रे झुकाकर
हमसफ़र बेवफा था बता देना ........
 
एक ओर :-

महफिल सजी थी शानदार और जाम का था दौर
पर जाम में क्या था इसपे किसने किया था गौर......
उन जाम में था लहू मेरे अपने अरमानो का

और सब कह रहे थे बार बार "एक और ... एक और ......"
 
*Mila Wo Bhi Nahi Karte*

Mila Wo Bhi nahi karte, Mila Hum Bhi nahi karte,
Wafa Wo Bhi nahi karte, Wafa Hum Bhi nahi karte .
Unhein Ruswai ka Dukh, Hamein Tanhai ka Darr,
Gila Wo Bhi nahi karte, Shikwa Hum Bhi nahi karte.
Kisi Mode per Takrav ho jata hai aksar,
Ruka Wo bhi nahi karte, Thehra Hum bhi nahi karte.
 
........ऐसा नही के हम को मोहब्बत नही मिली जैसी चाहते थे हम को वो उल्फ़त नही मिली... मिलने को ज़िंदगी में कई हमसफ़र मिले पर उन की तबीयत से तबीयत नही मिली... चेहरों में दूसरों के तुम्हें खोजते रहे सूरत नही मिली कहीं सीरत नही मिली... बहुत देर से आया तू मेरे पास क्या कहूँ अल्फ़ाज़ खोजने की भी मोहलत नही मिली... तुझ को गिला रहा के तवज्जो ना दी तुझे लेकिन हमें ख़ुद अपनी मोहब्बत नही मिली... हर शख्स ज़िंदगी में बहुत देर से मिला कोई भी चीज़ वक़्त-ए-ज़रूरत नही मिली...
 
Ye Dil.........

Dil Sooch Ka Pinjra Hai...

Ek Baar He Khulta Hai...

Dil Piyar Ka Soda Hai...

Ek Baar He Hota Hai...

Dil Yaad Ka Badal Hai...

Bay annt Barasta Hai...

Dil Piyar Ka Bhooka Hai...

Apno Ko Tarasta Hai...

Dil Piyar Ka Darya Hai...

Seenay Mein Machlta Hai...

Dil Barf Ka Toda Hai...

Jamta Na Pighalta Hai...

Dil Shaam Ka Tara Hai...

Ankhon Mein Chamkta Hai...

Dil Hijr Ka Pathar Hai...

Nazron Mein Khatkta Hai...

Dil Piyas Ka Sehra Hai...

Barish Ko Tarsta Hai...

Dil Dard Ka Tukra Hai...

Seenay mein Dharkta Hai...
 
Accha Sila Diya Tune Mere Pyaar Ka Accha Sila Diya Tune Mere Pyaar Ka Yaar Ne Hi Loot Liya Ghar Yaar Ka Accha Sila Diya Tune Mere Pyaar Ka Accha Sila Diya Tune Mere Pyaar Ka Yaar Ne Hi Loot Liya Ghar Yaar Ka Accha Sila Diya Tune Mere Pyaar Ka
 
khud hi sawaal aur khud hi jawaab sa hun maen,
jo naa samjhi gayi kabhi us kitaab sa hun maen...

dekh to jaao kareeb se ke naayaab sa hun maen,
vaqt ke sehraa maen ubhra saraab sa hun maen.....

kuch dam ka hun mehmaan hubaab sa hun maen,
abhi to hun paas tere abhi dastyaab sa hun maen....

aankhon se bahte ashko ka sailaab sa hun maen,
jo musalsal barastaa raha voh aab sa hun maen.....

tadbeeron ke banisbat nakaamyaab sa hun maen,
bigde huvey nasibon ka jaise hisaab sa hun maen....

kahin paayaab hun to kahin sailaab sa hun maen,
aseere mauje-zeest ki ravani girdaab sa hun maen....

baar baar na kah zaahid ke kharaab sa hun maen,
jo na aaunga phir haath voh sawaab sa hun maen....

kisi ke dil maen sama jaata apna bhi dard zara,
apne hi haale-dil ka khud naqaab sa hun maen.....

apni hi khushboo se mehroom gulaab sa hun maen,
haqiqat ho kar bhi kyon khwaab sa hun maen.....
 
Jamana bachpan ka

Yaad aa gya aaj fir mujhe,
wo jalim jamana bachpan ka..

wo khel wo saathi wo jhhoole,
wo daud ke kahna aa mujhe chhoo le....

aaj tak nahi bhoola,
wo meet purana bachpan ka...

yaad aa gya aaj fir mujhe,
wo jalim jamana bachpan ka.....
 
Mujhe Khonay Se Darti Thi

Meri Aankhon Pe Marti Thi
Meri Baton Pe Hansti Thi
Na Janay Woh Ladki Thi Kaisi
Mujhe Khonay Se Darti Thi

Mujhay Jab Bhi Woh Milti Thi
Yahi Har Baar Kehti Thi
Suno!!
Agar Main Bhool Jaoon To
Agar Main Rooth Jaoon To

Kabhi Wapis Na Aoon To
Bhula Pao Gay Yeh Sab Kuch?
Younhi Hanstay Raho Gay Kya?
Younhi Sajtay Raho Gay Kya?

Yahi Batain Hain Bas Uski
Yahi Yaadain Hain Bas Uski
Yahi Chahat Hai Bas Uski
Mujhy Bas Yaad Hai Itna!!!

Mujhay Woh Pyar Karti Thi
Mujhay Khonay Se Darti Thi...
 
सच ये है, बेकार हमें ग़म होता है..
जो चाहा था दुनिया में, कम होता है..!!

गैरों को कब फुरसत है दुःख देने की ..
जब होता है कोई हमदम होता है..!!

ज़हन की शाखों पर अशार आ जाते हैं..
जब तेरी यादों का मौसम होता है..!!

ज़ख्म तो हमने इन आँखों से देखे हैं..
लोगों से सुनते हैं मरहम होता है..!!
 
Dil Ki Suno !

Yaa Dil Kee Suno Duniyaawaalon
Yaa Muz Ko Abhee Choop Rahane Do
Mai Gam Ko Khushee Kaise Kah Doo
Jo Kahate Hain Unako Kahane Do

Ye Fool Chaman Mein Kaisaa Khilaa
Maalee Kee Najar Mein Pyaar Nahee
Hasate Huye Kyaa Kyaa Dekh Liyaa
Ab Bahate Hain Aansoo Bahane Do

Yek Khwaab Khushee Kaa Dekhaa Nahee
Dekhaa Jo Kabhee To Bhool Gaye
Maangaa Huaa Tum Kuchh De Naa Sake
Jo Tum Ne Diyaa Wo Sahane Do

Kyaa Dard Kisee Kaa Legaa Koee
Itanaa To Kisee Mein Dard Nahee
Bahate Huye Aansoo Aaur Bahe
Ab Ayesee Tasallee Rahane Do
 
Jo bhi diya is duniya ne Use apna banate gaye

Chalte rahe katon par haste haste
Aur pholon se zakham khate gaye

Arzoo thi ki hum bhi kare shikva kabhi
Par jane kyun har gila waqt ke sath bhulate gaye

Dhul rahe the rang , gujare hue kal ki tasveeron ke
Har roz kuch aur tasveer huma banate gaye

Khushi to aayi pal do pal ke liye , har kadam
Hum ghum ko apana banate gaye

Doston se kya ummid kare wafa ki is jahan-e-kharab main
Ki har dushman ko dost hum apna batate rahe
 
1.
woh kehte hain majboor hain hum,
na chahte hue bhi door hai hum,


ujaar di unhone zindigi hamari,
aur kehten hain ki Bekasoor hain hum..........


2.
nafrat bhii nahi adawat bhii nahi
us saksh ko humse mohabat hii nahi.....

shayad hum jee nahi sakte jiske bina
us saksh ko hamari zarurat hii nahi.......
 
Last edited:
कब सोचा था ज़िन्दगी की राह मे

कब सोचा था ज़िन्दगी की राह मे,
ऐसे भी मोड़ आयेंगे।


साथ चलने का वादा करके वो
अलग राह पर मूड जायेंगे ॥


धड़कन थे जो दिल की कभी ।
दिल ऐसे तोड़ जायेंगे॥


जुदा न होते थे एक पल जो।
यूँ ठुकराके चले जायेंगे॥


संग भुने ख्वाबों से जो ।
युंह मुह फेर जायेंगे॥


पल पल मुझे हँसाने वाले ।
आज ऐसे भी रुलायेंगे ॥


अपनों से भी अपने थे जो।
युंह अजनबी बन जायेंगे ॥


कब सोचा था ज़िन्दगी की राह मे,
ऐसे भी मोड़ आयेंगे।


कतरा कतरा मर के भी हम
जिन्दा ही कहलायेंगे ॥
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top