Gazals "The Finest Ever"

Saamney hai jo usse log bura kehtey hain
Jisko dekh bhi nahi usko "KHUDA" kehtey hain

Zindagi ko bhi sila kehtey hain kehney wale
Jeeneywale to gunaho ki saza kehtey hain
Jisko dekha bhi nahi....

Faasley umar ke kuchh aur badha deti hai
Jaane kyu log usse fir bhi dava kehtey hain
Jisko dekha bhi nahi....

Chand masoom se patton ka lahu hai "Faakir"
Jisko mehboob ke haathon ki heena kehtey hain
Jisko dekha bhi nahi....

Lyrics-Sudharshan Faakir
 
Now this is another fav. ghazal of happy mood....

Ye karein aur woh karein aisa karein waisa karein
Zindagi do din ki hai zindagi do din ki hai
Do din mein hum kya kya karein
Ye karein....

Jee mein aata hai ke pardey se pardey ka jawaab
Humse wo parda karein
Duniya se hum parda karein
Ye karein....

Sun raha hoon kuch lutterey aa gaye hain shahar mein
Aap jaldi band apney ghar ka darwaaza karein
Ye karein....

Iss puraani bewafa "DUNIYA" ka rona kab talak
Aayiye miljul ke ek duniya nayi paida karein

Ye karein aur woh karein aisa karein waisa karein
Zindagi do din hai do din mein hum kya kya karein

Lyrics-Nazir Banarsi
 
Last edited:
Lab-e-khamosh se izhaar-e-tamanna chahe
Baat karney ko bhi tasveer ka lehza chahe

Tu chale saath to aahat bhi na aaye apni-2
Darmiyan hum bhi na hon yun tujhe tanha chahein
Lab-e-khamosh se....

Khwab mein roye to ehsaas ho sailaabi ka
Ret par soye magar aankh mein dariya chahein
Lab-e-Khamosh se....

Aise tairaak bhi dekhey hain "MUJAFFAR" humney-2
Gark honey ke liye bhi jo sahara chahein

Lab-e-khamosh se izhaar-e-tamanna chahein
Baat karney ko bhi tasveer ka lehza chahein

Lyrics-Muzaffar Warsi
 
Log har modd pe ruk-ruk ke sambhaltey kyun hain
Itna dartey hain to fir ghar se nikaltey kyu hain
Log har modd pe....

Mai na"JUGNOO" hoon na "DIYA" hoon na koyi "TAARA" hoon-2
Roshni wale mere naam se jalltey kyu hain
Log har modd pe....

Neend se mera twaluuk hi nahi barson se
Khwaab aa-aa key meri chhat pe tahaltey kyu hain
Log har modd pe....

Mod hota hai jawani ka sambhalney ke liye-2
Aur sab log yahin aake fissaltey kyu hain

Log har modd pe ruk-ruk ke sambhaltey kyun hain
Itna dartey hain to fir ghar se nikaltey kyu hain....

Lyrics-Rahat Indori

ऐ इश्क हमें बर्बाद ना कर........

ऐ इश्क हमें बर्बाद ना कर, बर्बाद न कर,
ऐ इश्क हमें बर्बाद ना कर, बर्बाद न कर....

ऐ इश्क ना छेड़ आ के हमें, हम भूले हुओं को याद ना कर,
पहले ही बहुत नाशाद है हम तू और हमें नाशाद ना कर,
किस्मत का सितम ही कुछ नहीं कम ये ताज़ा सितम इजाद न कर,
यूँ जुल्म ना कर बे'बाद ना कर,
ऐ इश्क हमें बर्बाद ना कर बर्बाद ना कर....

रातों को उठ उठ कर रोते हैं रो रो कर दुआएं करते हैं,
आँखों में तसव्वुर दिल में खलिश सर धुँमते हैं आंहे भरते है,
ऐ इश्क ये कैसा रोग लगा जीते हैं ना जालिम मरते हैं,
इन ख़्वाबों से हमें आजाद ना कर,
ऐ इश्क हमें बर्बाद ना कर, बर्बाद ना कर....

जिस दिन से बंधा है ध्यान तेरा घबराये हुए से रहते हैं,
वक़्त तसव्वुर कर कर के शरमाये हुये से रहते हैं
कुम्हलाये हुये फूलों की तरह कुम्हलाये हुये से रहते हैं,
पौमाल ना कर बे'बार ना कर,
ऐ इश्क हमें बर्बाद ना कर, बर्बाद न कर....

ऐ इश्क हमें बर्बाद ना कर, बर्बाद न कर,
ऐ इश्क हमें बर्बाद ना कर, बर्बाद न कर....
 
waah-waah:)Subhaan allah;)

Rathee...you stole my Ghazal...this i would have posted after going home:)

Hooda ji i was not aware this one was urs... mujhe laga Jagjit ki hai :)

well indeed its a great effort put in by phrahlad and you... not surprised by minimal contribution from others... vo kehte hain na ki " kam hi hote hain jajbaaton ko samajhne vaale, isliye shayad shayaron ki bastiyan nahi hoti"

adding one more to the non ending list...

कोई दोस्त है न रकीब है,
तेरा शहर कितना अजीब है,

वो जो इश्क था वो जूनून था,
ये जो हिजर है ये नसीब है,

यहाँ किसका चेहरा पढ़ा करूँ,
यहाँ कौन इतना क़रीब है,

मैं किसे कहूं मेरे साथ चल,
यहाँ सब के सर पे सलीब है
 
Na Rathee meri hi thi....Actually i cudn't take the Copyrights in time.... Jagjit Singh stole it:p:pYe neechey wali bhi meri hai ....n red lines stand my fav:)Aap to mere mann ki samjho so;)
Hooda ji i was not aware this one was urs... mujhe laga Jagjit ki hai :)

well indeed its a great effort put in by phrahlad and you... not surprised by minimal contribution from others... vo kehte hain na ki " kam hi hote hain jajbaaton ko samajhne vaale, isliye shayad shayaron ki bastiyan nahi hoti"

adding one more to the non ending list...

कोई दोस्त है न रकीब है,
तेरा शहर कितना अजीब है,

वो जो इश्क था वो जूनून था,
ये जो हिजर है ये नसीब है,

यहाँ किसका चेहरा पढ़ा करूँ,
यहाँ कौन इतना क़रीब है,

मैं किसे कहूं मेरे साथ चल,
यहाँ सब के सर पे सलीब है
 
Hooda ji i was not aware this one was urs... mujhe laga Jagjit ki hai :)

well indeed its a great effort put in by phrahlad and you... not surprised by minimal contribution from others... vo kehte hain na ki " kam hi hote hain jajbaaton ko samajhne vaale, isliye shayad shayaron ki bastiyan nahi hoti"

adding one more to the non ending list...

कोई दोस्त है न रकीब है,
तेरा शहर कितना अजीब है,

वो जो इश्क था वो जूनून था,
ये जो हिजर है ये नसीब है,

यहाँ किसका चेहरा पढ़ा करूँ,
यहाँ कौन इतना क़रीब है,

मैं किसे कहूं मेरे साथ चल,
यहाँ सब के सर पे सलीब है

Vah vah Rathee ji Bada poshidan sh'er sunayaa thanx
 
Aap ko bhool jayein hum itney to bewafa nahi
Aap se kya gila karein aap se kuch gila nahi

Sheesha-e-dil ko toddna unka to ek khel hai-2
Hum se hi bhool ho gayi unki koyi khata nahi

Kash woh apney gum mujhe de de to kuch sukoon mile-2
Woh kitna badnaseeb hai gum bhi jise mila nahi-2

Zurm hai gar wafa to kya kyu mai wafa ko chhodd doon-2
Kehtey hain iss gunaah ki hoti koyi saza nahi-2

Aap se kya gila karein aap se kuch gila nahi
Aap ko bhool jayein hum itney to bewafa nahi

Lyrics-Tasleem Fazli(Pakistan)
 
Main chahta bhi yahi tha woh bewafa nikale-2
Use samjhney ka koyi to silsila nikaley
main chahta bhi....

Kitab-e-maazi ke panne ulat ke dekh zara-2
Na jane kaun sa panna mudda hua nikale-2

Jo dekhney mein bohot hi kareeb lagta hai-2
Ussi ke barey mein sochu to faasila nikale-2

usse samjhney ka koyi to silsila nikale

Lyrics-Waseem Barelvi

आज बाज़ार में, पा-ब'जौलां चलो......

My the most beloved gazal, now for you to get a dip...
A real gem... kho jaane ke liye dusri duniya....

आज बाज़ार में, पा-ब'जौलां चलो...

चश्म-ए-नम, जान-ए-शोरीदां काफ़ी नहीं,
तोहमत-ए-इश्क-पोशिदां काफ़ी नहीं,
आज बाज़ार में, पा-ब'जौलां चलो....

दस्त अफशां चलो मस्त-ओ-रक्सां चलो,
ख़ाक-बर-सर चलो, खूं-ब'दामां चलो,
राह तकता है सब शहर-ए-जानां चलो,

हाकिम-ए-शहर भी, मज्मां-ए-आम भी,
तीर-ए-इलज़ाम भी, संग-ए-दुशनाम भी,
सुबह-ए-नाशाद भी, रोज़-ए-नाकाम भी,
पा-ब'जौलां चलो, आज बाज़ार में,
आज बाज़ार में, पा-ब'जौलां चलो....

उनका दमसाज़ अपने सिवा कौन है,
शहर-ए-जानां में अब बा'सफां कौन है,
दस्त-ए-क़ातिल के शायां रहा कौन है,

रख्त-ए-दिल बाँध लो, दिल फिगारो चलो,
फिर हमीं क़त्ल हो आयें यारों चलो,
आज बाज़ार में, पा-ब'जौलां चलो,
पा-ब'जौलां चलो, पा-ब'जौलां चलो, आज बाज़ार में....

Faiz Ahmed Faiz
 
Another fav....looks like its going to be a long list:):)

Huzoor aapka bhi aihtraam karta chaloon
Idhar se guzra tha socha salaam karta chaloon
Hazoor aapka bhi aihtraam....

Nigah-o-dil ki yahi aakhri tamanna hai-2
Aakhri tamanna hai....
Nigah-o-dil ki yahi aakhiri tamanna hai
Tumhari zulf ke saaye mein shaam karta chaloon
Huzoor aapka bhi aihtraam....

Unhe ye zidd ke mujhe dekh ke kisi ko na dekh-2
Mera ye "SHAUK" ke sabse kalaam karta chaloon
Hazoor aapka bhi aihtraam....

Ye mere Khwaabon ki duniya nahi sahi lekin-2
Ab aa gaya hoon to do din kayaam karta chaloon

Idhar se guzra tha socha salaam karta chaloon...
Hazoor aapka bhi aihtraam karta chaloon

Lyrics-Shadaab

Nice to see it here
sOCHA
Hazoor aapka bhi aihtraam karta chaloon
 
Apna gum bhool gaye teri zafa bhool gaye
Hum to har baat mohabbat ke siva bhool gaye
Apna gum

Hum akele hi nahi pyaar ke deewane sanam-2
Aap bhi nazarein jhukaney ki ada bhool gaye
Apna gum....

Ab to socha hai ke daaman hi tera thameingey-2
Haath jab humney uthaye hain Dua bhool gaye
Hum to har baat....

Shukra samjho isse ya apni shikayat samjho-2
Tumney woh dard diya hai ke dava bhool gaye
Hum to har baat....

Lyrics-Fruk Kaiser

A real pearl sung by Jagjit Singh in his earliest recordings from 1966-1975....I request Prahlad to convert these lyrics into Devnagri....

Aankh ko jaam samajh baitha tha anjaane mein
Aankh ko jaam samjh baitha tha anjaane mein
Saqiya hosh kahan tha tere deewane mein...

jane kis baat ki unko hai shikayat mujhse-2
naam tak nahi jinka nahi hai mere "AFSAANE" mein
Saqiya hosh....

Dil ke tukdo se teri yaad ki khushboo na gayi-2
Boo-e-mai baaki hai tootey huay paimaane mein
Saqiya hosh kahan tha....

dil-e-barbaad mein umeed ka aalam kya hai-2
Timtimmati huyi ek shamma hai viraaney mein
Saqiya hosh kahan tha tere deewaney mein

Lyrics- Shamim Shahabadi
 
Ye kiska tassavur hai ye kiska fasaana hai
Jo ashq hain aankhon mein tasbeeh ka daana hai
Ye kiska tassavur hai....

Aankhon mein nami si hai chup-chup
se woh baithey hain-2
Nazuk si nighaon mein nazuk sa fasaana hai
Ye kiska ka....

Ye ishq nahi asaan itna to samajh lijiye
Ek aag ka dariya hai aur doob ke jana hai
Ye kiska ....

Ya woh the khafa hum se ya hum hain khafa unn se
Kal unka Zamana tha aaj apna Zamana hai
Ye kiska ....

Lyrics- jigar Moradabadi
 
Back
Top