Gazals "The Finest Ever"

Mujhe de rahe hain tasalliyan woh har ek taza paiyam se
kabhi aa ke manjir-e-aam par kabhi hat ke manjir-e-aam se
Mujhe de rahe hain....

Na garaz kisi se na vaasta mujhe kaam apne hi kaam se
Tere jikar se teri fikar se teri yaad se tere naam se

Mere saquiya mere saquiya tujhe mahraba tujhe marhaba
tu pilaye ja tu pilaye ja issi chasm-e-jaam ba jaam se
Mujhe de rahe hain....

Teri subaha aish hai kya bala tujhe ai palak jo hohausla
Kabhi kar le aa ke mukaabila gam-e-hizr yaar ki shaam se

Mujhe de rahe hain tasalliyan

Lyrics-Jigar Moradabadi
Singer-Jagjit Singh

 
Ab to ghabra ke yeh kehtey hain ke marr jayeingey
Maar ke bhi chain na paya to kidhar jayeingey

Laye jo mast hain turbat pe gulabi aankhein
Aur agar kuch nahi do phool to har jayeingey
Ab to....

Hum nahi woh jo karein khoon ka dava tujhse
Balki poochega Khuda bhi to mukar jayeingey
Mr ke bhi chain na paya....

Ab to ghabra ke yeh kehtey hain ke marr jayeingey

Lyrics-Zauk



 
Dil ko kya ho gaya khuda jane
Kyu hai aisa udaas kya jane

Keh diya maine haal-e-dil apna
Isko tum jano ya Khuada jane

Jantey jantey hi janega
Jantey jantey hi janega
Mujh mein kya hai abhi wo kya jane

Tum na paogey sada dil mujhsa
Tum na paogey sada dil mujhsa
Jo tagaful ko bhi hayaa jane

Dil ko kya ho gaya kKhuda jane

Lyrics-Daag
 
from bazar movie

दिखाई दिए यूँ के बेखुद किया
हमें आपसे भी जुदा कर चले
जभी सजदा करते ही करते गयी
हक-ए-बंदगी हम अदा कर चले

परस्तिश किया तक के आये बुत तुझे
नज़र में सबोंकी खुदा कर गए
बहुत आरजू थी गली की तेरी
सो यास-ए-लहू में नहा कर चले
 
mirza galib ki behatareen gazalo me se meri ek pasandida

hazaaroN KHwahishaiN 'eisee ke har KHwahish pe dam nikle
bohot nikle mere armaaN lekin fir bhee kam nikle

nikalna KHuld se aadam ka sunte aayaiN haiN lekin
bohot be_aabru hokar tere kooche se ham nikle

mohabbat meiN naheeN hai farq jeene aur marne kaa
usee ko dekh kar jeete haiN jis kaafir pe dam nikle

KHuda ke waaste parda na kaabe se uThaa zaalim
kaheeN 'eisa na ho yaaN bhee wohee kaafir sanam nikle

kahaaN maiKHaane ka darwaaza 'GHalib' aur kahaaN waaiz
par itana jaante haiN kal wo jaata tha ke ham nikle
 
फकीराना ऐ सदा कर चले

फकीराना ऐ सदा कर चले,
मियाँ खुश रहो हम दुआ कर चले।
जो तुझ बिन न जीने को कहते थे हम,
सो इस अहद को अब वफ़ा कर चले।
कोई न उम्मीद न करते निगाह,
सो तुम हम से मुंह भी छिपा कर चले।
गई उम्र दर बंद-ऐ-फिक्र-ऐ-ग़ज़ल,
सो इस फन को ऐसास बड़ा कर चले।
कहें क्या जो पूछे कोई हम से "मीर",
जहाँ में तुम आए थे, क्या कर चले।


Mir Taki Mir
 
this one is from movie nargis

dono ke dill hai mazboor pyar se
hum kya kare meri jaan tum kya karo

hum to sanm tumko chahe umar bhar dekhe
dill ki pyas kahti hai bus aur ek nazar aur dekhe

ho,dekho hamara bhi haal.har dum tumahara khyal
dill me uthata hai sawal hum akya karae



Lekar tumhaara naam aise khoye rehte the
Aaj humko deewaana hanste log kehte hain



Lekar tumhaara naam aise khoye rehte the
Aaj humko deewaana hanste log kehte hain
Ho, jis dil mein hota hai pyaar, kaise na ho beqaraar
Jis dil mein hota hai pyaar, kaise na ho beqaraar
Yeh dil agar hai pareshaan, hum kya kare
 
A MUST listen Ghazal in Jagjit Singh's voice compiled in his Ghazal collection "Rare Gems Ghazals"

Phir kuch iss dil ko beqrari hai
Phir kuck iss dil ko beqrari hai
Seena joya-e-zakhm-e-kaari hai
Phir kuchh....

Phir jigar khodney laga nakhoon
Aamad-e-fasl-e-lalakari hai
Pir kuch iss....

Phir ussi bewafa pe martey hain
Phir ussi bewafa pe martey hain
Phir wohi zindagi hamari hain
Phir kuch iss....

Bekhudi besabab na nahi "Ghalib"
Kuch to hai jiski parda-dari hai
Phir kuch iss....

Lyrics- Ghalib

Suntey huay aisa lagta hai jaise koyi kano mein shahad ghol raha ho


 
Pasand mari kaan aapke (Gazal album).

Mari kuch pasandida gazale:

1. Zindagi yun hui basar tanha kaafila saath magar safar tanha - Jagjeet
2. Aaj maine apna phir soda kiya aur phir mai dur se dekha kiya - jagjeet
3. Aaj phir unka saamna hoga kya pata uske baad kya hoga - jagjeet
4. Aap se gila aapki kasam sochte rahe kar sake na hum - Jagjeet
5. Ab Khushi hai na koi dard rulane wala hum ne apna liya har rang jamane wala -jagjeet
6. Ab mai rashan ke kataaro mai nazar aata hoon apne kheto se bichdne ke saza paata hoon - jagjeet
7. Apne chahare se jo jaahir hai chupaye kaise tari marzi ke mutaabik nazar aaye kaise - jagjeet
8. Aap aaye janab barso mai humne pe hai sharab barso mai
9. Baat nikalege to phir dur talak jaayege log bevajah udaasi ka sabab poochange- jagjeet
10.Be sabab baat bhadne ki jarurat kya hai hum khafa kab the manane ke jarurat kya hai - jagjeet
11.Darde dil mai kami na ho jaaye, dosti dushmani na ho jaye -jagjeet
12.dost ban ban ke mile mujhko mitane wale,maine dekhe hai kai rang badalne wale -jagjeet
13.Jab kise se koi gila rakhna saamne apne aaena rakhna -jagjeet
14.Kabhi kabhi yun bhi humne apne dil ko bahlaya hai jin baato ko khud nahi samajhe auro ko samajhaya hai -Jajeet
15.Na kah saaki bahaar aane ke din hai, jigar ke daag chil jaane ke din hai -jagjeet
16.sadma to hai mujhe bhi ke tujhse juda hoon mai lakin ye sochta hoon ke ab tera kya hoon mai -jagjeet
17.Tare baare mai jab socha nahi tha mai tanha tha, magar itna nahi tha -jagjeet
18.Samajhte the magar phir bhi na rakhi duriya humne - jagjeet
19.sarakti jaaye hai rukh se nakaab aahista aahista -jagjeet
20.Tamanna phir machal jaaye ager tum milne aa jao-Jagjeet
21.Tujhse milne ke saza denge tare sahar ke log -jagjeet
22.Tum ye kaise juda ho gaye har taraf har jagah ho gaye -jageet
23.Unike dekhe se jo aa jati hai muh per ronak wo samajte hai bemaar ka haal aacha hai -jagjeet
24.Woh kaise paagal ladki thi raato ko uth uth kar khawobo ka tassvoor karti thi - Gulam Ali
25.Zindagi tune lahu le ke diya kuchh bhi nahi tere daaman mei mere vaaste kya kuch bhi nahi-Jagjeet
26.Charage e ishq jalane ke raat aayi hai kise ko apna banane ki raat aayi hai-jagjeet
27.koi chaudhvi ka chand bankar tumhare tassvoor mai aaya to hoga,kise se to ke hogi tumne mohabbt kise ko gale se to lagaya hoga- jagjeet
28.Apna gham le ke kahi aur na jaaya jaaye ghar mai bikhri hue chizo ko sajaya jaaye -jagjeet
29.Din guzar gaya - jagjeet & Chitra
30.Kabhi yun bhi to ho - jagjeet
31.Mera dil bhi sokh se todo ek tajurba aur sahi laakh khilone tod chuke ho ek khilona aur sahi - Chitra singh
32.Chupke chupke rat din aansu bahana yaad hai humko ab tak aashique ka wo jamana yaad hai- Gulam Ali
 
Sudeep Ji....thanks for your valuable time to post here. But "LIST" nahi yahan "LYRICS" post karney hain....nahi to ye thread ek Post mein hi khatam ho jata....Kripya aur members ka yogdaan dekhtey huay aap bhi kuch post karein....:)Apni kisi chuneenda ghazal le LYRICS not just TITLE....you have a refined choice
Mari kuch pasandida gazale:

li
 
mujhe aisa lagta hai ki pura lyrices yahan per likhna time waste karna hai kyoki ager mai yaha per ek gazal ke kuch panktiyan ya mukhda likhta hoon to its more than enough ab ager kise ko pura lyrics chahiye to pure gazal sunle ab mai koi hasrat jaipuri to hoon nahi ki aapki hasrat puri karu.... Jai kilki tolll.

haan bhavishya mai aapke sujhav per jarur vichaar karunga tab tak ke liye namaskaar!
 
Shukriya Janaab....Aap "APNI" hasratein poori karein "HAMARI" to BHAGWAN poori kar dega....aap Zehmat na uthayein....Waise aap HASRAT JAIPURI ho bhi nahi saktey the....Ghazals se related kuch bhi karney ke liye SABR chahiye ....jo ki aap mein.............................and yeah it wasn't a suggestion ...it was SOUL of the thread which you failed to grasp and sounded as if all who have contributed are IDLE?
mujhe aisa lagta hai ki pura lyrices yahan per likhna time waste karna hai kyoki ager mai yaha per ek gazal ke kuch panktiyan ya mukhda likhta hoon to its more than enough ab ager kise ko pura lyrics chahiye to pure gazal sunle ab mai koi hasrat jaipuri to hoon nahi ki aapki hasrat puri karu.... Jai kilki tolll.

haan bhavishya mai aapke sujhav per jarur vichaar karunga tab tak ke liye namaskaar!
 
Last edited:
Ek ghazal suni jo iss ghazal ka jawab sa lagi....

Ajab apna haal hota jo visaal-e-yaar hota
kabhi jaan sadke hoti kabhi dil nisaar hota

Na maza hai dushmani mein na hai lutf dosti mein-2
Koyi gair-gair hota koyi yaar-yaar hota

Ye maza tha dil-lagi ka ke barab-barab lagti
Na tumhe qarar hota na hamein qarar hota-2

Ter waade par sitamgar abhi aur sabar kartey-2
Agar apnai zindagi ka humey aitbaar hota-2

Ajab apna haal hota jo visal-e-yaar hota....

Lyrics-Dagh Dehlavi
ये ना थी हमारी किस्मत के विसाल-ए-यार होता,
अगर और जीते रहते यही इन्तजार होता...

तेरे वादे पे जिए हम तो ये जान झूठ जाना,
के ख़ुशी से मर ना जाते यही एतबार होता...

ये कहाँ की दोस्ती के बने हैँ दोस्त नासेह,
कोई चारसाज़ होता कोई गमगुसार होता...

रग-ए-संग से टपकता वो लहू के फिर न थमता,
जिसे गम समझ रहे हो ये अगर शरार होता....

हुए मर के हम जो रुसवा, हुए क्यों न गर्क-ए-दरिया,
ना कभी ज़नाजा उठता ना कहीं मजार होता...

तेरी नाज़ुकी से जाना के बंधा था एहद- बुदा,
कभी तू न तोड़ सकता गर ऊसतुवार होता...

उसे कौन देख सकता के यगाना है या यक्ता,
जो दुई की बू भी होती तो कहीं दो चार होता...

कहूँ किस से मैं की क्या है शब-ए-गम बुरी बला है,
मुझे क्या बुरा था मरना अगर एक बार होता...

कोई मेरे दिल से पूछे तेरे तीर-ए-नीमकश को,
ये खलिश कहाँ से होती जो जिगर के पार होता...

ये मिसाल-ए-तस्व्वुफ़ ये तेरे बयान गालिब,
हम तुझे वली समझते, जो न बादाख्वार होता...



Mirza Galib
 
hazaaroN KHwahishaiN 'eisee ke har KHwahish pe dam nikle
bohot nikle mere armaaN lekin fir bhee kam nikle

nikalna KHuld se aadam ka sunte aayaiN haiN lekin
bohot be_aabru hokar tere kooche se ham nikle

mohabbat meiN naheeN hai farq jeene aur marne kaa
usee ko dekh kar jeete haiN jis kaafir pe dam nikle

KHuda ke waaste parda na kaabe se uThaa zaalim
kaheeN 'eisa na ho yaaN bhee wohee kaafir sanam nikle

kahaaN maiKHaane ka darwaaza 'GHalib' aur kahaaN waaiz
par itana jaante haiN kal wo jaata tha ke ham nikle


Splendid.... You did it beautifully....
Thanx a lot Ritu ji for posting it here........ Shukriya
Kamaal gazal hai...

ज़रा कर जोर सीने पर की तीर-ए-पुर्शितम निकले,
जो वो निकले तो दिल निकले, जी दिल निकले तो दम निकले..
भरम खुल जाए जालिम तेरे कामत की दराजी का,
अगर इस तूरा-ए-पुर'पेच-ओ-ख़म का पेच-ओ-ख़म निकले...
 
Adding two more lines to ur gajal...please note i said ur's gajal :)

दिल अगर बेचैन न होता तो बेज़ार होता |
गमे इश्क न होता तो गमे रोजगार होता
|




Ek ghazal suni jo iss ghazal ka jawab sa lagi....

Ajab apna haal hota jo visaal-e-yaar hota
kabhi jaan sadke hoti kabhi dil nisaar hota

Na maza hai dushmani mein na hai lutf dosti mein-2
Koyi gair-gair hota koyi yaar-yaar hota

Ye maza tha dil-lagi ka ke barab-barab lagti
Na tumhe qarar hota na hamein qarar hota-2

Ter waade par sitamgar abhi aur sabar kartey-2
Agar apnai zindagi ka humey aitbaar hota-2

Ajab apna haal hota jo visal-e-yaar hota....

Lyrics-Dagh Dehlavi
 
Sandy Bhai...too gud, very practical quote indeed! :)

Adding two more lines to ur gajal...please note i said ur's gajal :)

दिल अगर बेचैन न होता तो बेज़ार होता |
गमे इश्क न होता तो गमे रोजगार होता
|


 
Thanks Rathee....for posting n for calling it my Ghazal:) is it part of this ghazal? Jgjit Singh ne kaat-peet kar ke gaaya?:o Thanks again
Adding two more lines to ur gajal...please note i said ur's gajal :)

दिल अगर बेचैन न होता तो बेज़ार होता |
गमे इश्क न होता तो गमे रोजगार होता
|


 
उम्र-ए-दराज़ मांग के लाये थे चार दिन....

लगता नहीं है जी मेंरा उजड़े दयार में,
किसकी बनी है आलम-ए-न'पाएदार में.

बुलबुल को न पस्बां से ना सैयाय्द से गिला,
किस्मत में कैद थी लिखी फसल-ए-बहार में.

कह दो इन हसरतों से कहीं ओर जा बसें,
इतनी जगह कहाँ है दिल-ए-दागदार में.

इक शाख-ए-गुल पे बैठ के बुलबुल है शादमां,
कांटे बिछा दिए हैं दिल-ए-लालजार में.

उम्र-ए-दराज़ मांग के लाये थे चार दिन,
दो आरजू में कट गए दो इंतज़ार में.

है कितना बदनसीब "जफ़र" दफ्न के लिए,
दो गज जमीं भी ना मिल सकी कूँचा-ए-यार में.


- 'बहादुर शाह जफ़र'
 
Last edited:
Back
Top