Jhoot nahi......

Status
Not open for further replies.

keshavdahiya

New member
बहुत संभावना है
मैं झूठा हूं
और मेरे आंसू भी
पर कोरे पन्नों पर आड़ी तिरछी खिंची रेखायें
और बनी हुई अजीब सी आकॄतियाँ
अगर समझ पाओ
तो झूठी नहीं हैं,
जैसे शब्द कभी झूठे नहीं होते
और ना उनसे बनी कवितायें,
हालांकि मैं लिखता हूं झूठी कवितायें भी,
पर वो ना समझ में आने वाले उलझे से गीत
झूठे नहीं हैं;
वो अहसास,
समन्दर मे सूरज के डूबने का,
और आन्सुओं के समन्दर बनने का,
बेवज़ह चीखना चिल्लाना,
नाराज़ होना,
या पागलों की तरह ठहाके लगाना,
झूठा नहीं है,
वे शिकायतें,
शायद झूठी हो सकती हैं,
स्वार्थ से उपजी हुइ कल्पनाएं,
झूठ हो सकता है वह बेबस चिल्लाना,
मगर वह उदास मौन झूठा नहीं है;
नहीं पता,
खुदा है या नहीं,
हो सकता है झूठ हो किसी ईश्वर की कल्पना,
झूठ हो कर्म-फल का सिद्धांत भी,
झूठ हो श्रीकॄष्ण और गीता,
पर ये दुखान्त कहानियाँ,
जिन्हें पढ़कर कुछ लोग रोते हैं
और कुछ बताते हैं अति-नाटकीय,
ये सब सच हैं;
बहुत संभावना है कि मैं झूठा हूं,
पर ये निर्दोष आत्मा,
प्यासी है,
झूठी नहीं.........
 
Nice post keshu !

Main jhutha hoon
meri bhawnaayen
meri tammanaaye
meri khawaeeshen
jhuth nahi ho sakti
main jhutha hoon

Jaise ki waqt jhutha nahin hota
Kaun samjhega kisi ko
kahan dil mein jhankta hai koi
ye dard sirf apnaa hai
aur ye duniya paraai hai
Ye shikaayat jhuth nahin hai
main jhutha hoon

Ye zindagi jhuth ho sakti hai
par woh maut nahin
kuchh shabd jhuth ho sakte hain
par dil ke zazbaat nahin
Woh baadal jhuth ho sakte hai
par ye barsaat nahin
Woh sapne jhuth ho sakte hai
par ye halaat nahin
Mere ye khayaalaat jhuthe nahin hai
main jhutha hoon

Ye zindagi jhuthi hai
par ye maut nahin
woh wafaadari jhuthi hai
par ye dhokha nahin
Woh mohabbat jhuthi hai
par bewafaai nahin
Woh insaaniyat jhuthi hai
par duniyadaari nahin
Maine jo kahaa kuchh bhi jhuth nahin hai
main jhutha hoon


Agar mera koi alfaaz jhutha hai
to main jhutha hoon
Agar mera koi karam jhutha hai
to main jhutha hoon
Agar mera koi kadam jhutha hai

to main jhutha hoon
 
badiya

bhai keshav...dil chhoo gi ya kavita to..
iib kati chup-chala rahen ka jee kar rahya hai!
aar bhai vijay, tera bhi jawab nahi yaar...
bahut badiya
 
Main jhutha hoon par is baar jhuth nahi bol raha hoon
ye hindi kee line
ye bhawnaye.........ye badi sahi tareeke main likhi hain aapne
good stuff
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top