aap sabhi ke comments padhe, main bhi kuchh points rakhna chahunga:
1) Indian Penal Law ke according, kisi bimaar aadmi ko fansi nahin di ja sakti, even agar uske liye fansi ki saja suna di gai ho to bhi nahin....fansi ke waqt us aadmi ka svasth hona jaroori hai....so jab Kasab ko Dengue tha to usko bina Dengue se ubhre kaise fansi ho sakti hai....yah to Indian Consitution Law ke hi against hua.....isiliye baat hajm nahin ho rahi ki usko sahi mein fansi hi hui hai
2) Wo koi Shaheed-e-aajam Bhagat Singh ke status ka nahin tha ki usko declare karke fansi di jaati to janta virodh mein utar aati aur fansi na hone deti...to itna gupchup kyon kiya gaya sab
3) Abhi Yashraj Chopda ji Dengue se hi mare hain baavjood 1 mahine tak ventilator pe rahne ke, to hua yah hoga ki Kasab ke case mein bhi doctors haath khade kar gaye honge aur kah diya hoga ki ab yah 2-4 din hi jinda rahega aur ye dekhkar, goverment ne ye plan bana diya aur isko fansi dikha ke pahle se hi janta ka gussa jhel rahi government ne isko fansi ka amlijama pahna diya, warna point 1 ke according kyon nahin hua sab
4) Gujrat ke elections mein vote-bank lene ke liye to government ke paas President of India ki chhithi, jismen ki Kasab ki fansi pe muhar laga di gai ho ko hi public kar dena kaafi tha....aur balki vakai mein aisa hota to government isko poore tareeke se bhunati....pahle media mein moti-moti lines aati ha newspaper aur tv pe ki “Bharat ke Congressi President ne Kasab ki fansi par lagai muhar” and so on. Fir uski fansi ki date aur place rakha jata, fir Gujrat elections ke 17 taarikh ke election se theek 1 week ro so pahle uski fansi ki date rakhwati.....but yahaan aisa kuchh nahin hua.....jo ki mujhe to atleast expected tha incase agar yah kahaani yaani Kasab ki fansi real mein President se manjoor ho ke chali hoti to.....yah dikhata hai ki wo Dengue se mara hai aur Bimaar aadmi ko Indian law ke against ja ke asvasth hote hue faansi dene pe Indian government ko ghera ja sakta hai....kyonki ek bimaar aadmi ko Indian law fansi ki ijajat nahin deta
5) aur agar Kasab swasth aur Dengue ki bimaari se ubhar chuka tha to kahaan hain wo reports jo yah show karti hain ki wo Dengue se theek ho chuka tha....last Sunday tak to uske Dengue se peedit hone ki khabren ood rahi thi.....aur India Law ke according bimaar aadmi ke swasth hone aur uske fansi pe chadaane ke beech 10 days se 2 weeks ka minimum time hota hai to usko kyon nahin diya gay wo time??? Kahan hai is baat parmaan?
6) Yah baat fir se yahi dikhaati hai ki wo pahle se mar chuka tha Dengue se aur usko fansi ka amli-jama isliye pahnaya gaya ki kahin aap-aur-mere jaise aam aadmi ye pata lagne pe ki Kasab Dengue se mara gaya pe Shame-shame government of India na kahne lag jaate....aur government ke liye wo aur bhi jyada beijjati ki baat hoti....