Kuch Qalaam Mohobbat Ke Naam

Status
Not open for further replies.
KHUDA KE KARISHME MEIN GAR RAT NA HOTI
TO KHWABON MEIN BHI UNSE MULAKAT NA HOTI
YUN TO BADI HASRAT SE DEKHTE HAIN WO HUMEIN
KYA KARE KE AGAR BAAT NAHI HOTI:)
 
Neelam tu bhi chupi rustam sei.. khamakha mhara ullu khinch ri hai .. koi na laagi reh...le ek aur phool dun hun tanne...:)

Ye surkh hont Gulaab se, badan makhmali, nazaron se sharab chalakti hai,
Thodi to pila de inse ki ab hosh khone ko jee chahta hai,

Laut aata hun tere pehlu mein majboor hokar,
Ab to har waqt madhosh hone ko jee chahta hai,

Na kar rukhsat be-abaru karke apni mehfil sei,
Ke ab to chand-taare teri maang mein sajane ko jee chahta hai,

Bahut badnaam tere ishk ne kar diya hai Zalim,
Tu aaye mere aagosh mein Kya tera Jee nahi chahta hai ???
GADAR
AshkoN ko humne kayi baar roka,
phir bhi na jane kyoN ankheN dhoka de gayi,
Bharosa to tha hameiN apne aap par magar,
unka zikr aate hi naa jane kyoN palkeN nam ho gayi.

Neelam tu bhi chupi rustam sei.. khamakha mhara ullu khinch ri hai .. koi na laagi reh...le ek aur phool dun hun tanne...:)

Ye surkh hont Gulaab se, badan makhmali, nazaron se sharab chalakti hai,
Thodi to pila de inse ki ab hosh khone ko jee chahta hai,

Laut aata hun tere pehlu mein majboor hokar,
Ab to har waqt madhosh hone ko jee chahta hai,

Na kar rukhsat be-abaru karke apni mehfil sei,
Ke ab to chand-taare teri maang mein sajane ko jee chahta hai,

Bahut badnaam tere ishk ne kar diya hai Zalim,
Tu aaye mere aagosh mein Kya tera Jee nahi chahta hai ???

hehehe..aisi hi hun main...ye lo ab padho meri daastaan...aur tumhara phool bhi accha hai

Kisi ki saadgi pe mera dil aaya hai
Uske dil mein apna aashiyan banane ko jee chahta hai

Wo aaye to ek baar meri maang sajaane
Uske nagar mein khushi se jhumne ko jee chahta hai

Khuli hai meri baahein uske liye
Apni baahon mein usko bharne ko jee chahta hai

Naa jaane kab aayega wo thaamne mera haath
Kya uska bhi mere sang har lamha gujaarne ko jee nahi chahta hai?????
 
Galihara saker lijiye, wo aata hi hoga
Nazren utal lijiye, wo aata hi hoga

unke dil se kheliye ya fir aashiyana baniye
dhadakte dil ki lekar, wo aata hi hoga

failakar rakhna tum daman ko upne,
piar ka nazrana, wo lekar ataa hi hoga

gile sikwon ke kliye to sari umar padi hai
muskura ke milna, bas wo aata hi hoga.

RK^2
 
Mujhko khinch layi mehak tere jism ki,
Teri Zulfon ke saye mein gujre waqt ye jee chahta hai.

Mila noor meri ruh ko chukar tera daaman,
Teri god mein rakh kar sir sone ko ye jee chahta hai.

Samayi rehti hai teri soorat har waqt Zahan mein mere,
Man ke mandir mein sajakar tujhe pujne ko ye jee chahta hai.

Tassavur mein chhai hai is kadar tu , tera intezaar na seh sakunga,
Beete har pal har lamha teri bahon mein mera ye jee chahta hai.

Sir aap bhi bade samajhdar ho...ek baar to majak udaate ho kisi ke intezaar ka aur dusre pal mein uske saath hote ho...hahhahahaha...anyway your this reply is good :)

Regards
Neelam
 
Mujhko khinch layi mehak tere jism ki,
Teri Zulfon ke saye mein gujre waqt ye jee chahta hai.

Mila noor meri ruh ko chukar tera daaman,
Teri god mein rakh kar sir sone ko ye jee chahta hai.

Samayi rehti hai teri soorat har waqt Zahan mein mere,
Man ke mandir mein sajakar tujhe pujne ko ye jee chahta hai.

Tassavur mein chhai hai is kadar tu , tera intezaar na seh sakunga,
Beete har pal har lamha teri bahon mein mera ye jee chahta hai.

O Deepak, thahar jaao yahin pe....hahahaha...ye saari shayari hum sabko suna doge to jo aayegi usse kya sunaoge....;) :D ....kahin phir ladai naa ho jaaye ki pata nahin kis ladki ko deemag mein rakh ke likhte the....hahahahahaha....issliye pahle ab uska naam likho uske baad hi aage kuch likhna uske liye:D :D :D :D
 
hahhahaa

ke ho gya neelam ji, yar main to aapki shayari ka reply de raha tha bas aur koi intention nahi hai.. wase main bhi yahi soch raha tha ki hum dono shuru to ho gaye hain kahin aur sab kuch aur hi matlab na nikal lein.. hahhaha:D

wase chinta ki koi bat nahi tum shayari enjoy karo aur ase hi reply deti rAHO .. meri teraf se line clear hai , mere dimag mein koi ladki nahi main to bas shayari lik h raha hun, by the way shyad tumhe pata nahi ki mera to pehlam hi kalyan ho liya hai . ghar aaleyan ne kalesh kat diya mera tei ghana hi fudkan laag rhya tha main. hahahaha.. meri gazal tei gharan bethi sei. main konya panga leta ibb choriyan tei..pehlam bahut sari gazal thi ibb tei ek hi sei bas.:(
 
arrey baat aise nahin thi...even i know that a very different person would like to be with me...hehehehe...and you are not that unlucky...;) ...wo koi aur hi hai jo mujhe jhel lega :D.....mujhe bhi nahin pata kahan chhipa baitha hai mujhse darta....hahahaha....haan people can think and start discussing some strange and useless talks if they don't know us...but inn baton ki chinta nahin karni chahiye....and nice to know that your shayari is with you now :) .....aur uss ek ghazal ke hone pe munh kyun latkaya....arrey sabse acchi to wahi ghazal hai...so always have big grin on your face :D ....and i know that your are just writing your shayari...so carry on :)
 
ey bobo yahan to dher gajab ka topic ched diya tamne:D
 
Galihara saker lijiye, wo aata hi hoga
Nazren utal lijiye, wo aata hi hoga

unke dil se kheliye ya fir aashiyana baniye
dhadakte dil ki lekar, wo aata hi hoga

failakar rakhna tum daman ko upne,
piar ka nazrana, wo lekar ataa hi hoga

gile sikwon ke kliye to sari umar padi hai
muskura ke milna, bas wo aata hi hoga.

RK^2

Uski hi raah dekh rahi hun, wo aati hi hoga
Apne sar pe sehra baandh, wo aata hi hoga

Sab rishtedar kahde hain dwar pe swaagat ko unke
Baaraat leke ghodi pe sawar hoke wo aata hi hoga

Tayyar khadi hain meri bahnen bhi
Neem jhadayi lengi usse, wo ab aata hi hoga

Jute chuppayegi meri behan aur uski sakhiyan
Wo woodland ya red chief ke jute pahan ke aata hi hoga:D

Bhai bhi saja raha hai mandap apni bahan ka
Pandit baitha diya hai, ab jaldi wo aata hi hoga

Babul ki aakhon se chalak rahen hain pyaar ke aansu
Unki phool si beti ko lejane unse, wo aata hi hoga:)
 
Last edited:
hahhhaa

hahha neelam nothing like that yar i m very much happy with my gazal:)

wo to bas kuch extra fun to hona hi chahiye na life mein..just kiddin. u r really such a sweet gal u will find a wonder fool ............:D jo tumhe jhel sake:D hahhaha
 
Very Nice, Neelam ! :)
 
Bhai Deepak,

"Dil hai key manta nahi"
"Ye dil mangey more"

Karmveer Chahal
hahha neelam nothing like that yar i m very much happy with my gazal:)

wo to bas kuch extra fun to hona hi chahiye na life mein..just kiddin. u r really such a sweet gal u will find a wonder fool ............:D jo tumhe jhel sake:D hahhaha
 
Bahut Sunder likha hai.

Karmveer Chahal

Uski hi raah dekh rahi hun, wo aati hi hoga
Apne sar pe sehra baandh, wo aata hi hoga

Sab rishtedar kahde hain dwar pe swaagat ko unke
Baaraat leke ghodi pe sawar hoke wo aata hi hoga

Tayyar khadi hain meri bahnen bhi
Neem jhadayi lengi usse, wo ab aata hi hoga

Jute chuppayegi meri behan aur uski sakhiyan
Wo woodland ya red chief ke jute pahan ke aata hi hoga:D

Bhai bhi saja raha hai mandap apni bahan ka
Pandit baitha diya hai, ab jaldi wo aata hi hoga

Babul ki aakhon se chalak rahen hain pyaar ke aansu
Unki phool si beti ko lejane unse, wo aata hi hoga:)
 
Uski hi raah dekh rahi hun, wo aati hi hoga
Apne sar pe sehra baandh, wo aata hi hoga

Sab rishtedar kahde hain dwar pe swaagat ko unke
Baaraat leke ghodi pe sawar hoke wo aata hi hoga

Tayyar khadi hain meri bahnen bhi
Neem jhadayi lengi usse, wo ab aata hi hoga..............
.................
..............................................................................................................................
Neelam u made me now very emotional. Here is the version of a father;

Dekh aaj hamari gudiya ki shaadi ho rahee hai
tujhe yaad kar karke wo kai din se ro rahee hai

sabhi aa gaye hain, magar bas ek tu nahi hai
shadi ke riti riwazon ki, mujhe khabar nahi hai

Tere bhaiyon se bhat kaun lega, tere jagah kaun lega
kuch bhi to batakar nahi gayee , ne jane aaj kiya hoga

Teri badi yaad aa rahee hai, teri kami khaa rahee hai
bas thodi der me teri beti ki barat aa rahee hai

Kash ki tum aaj hotee, samdhan ko gale lagati
aur fir samdhi ke kurte par thodi si haldi lagati

hamari Beti ke feron par, khali hogee teri jagah
karna hoga mujhe hi sab kuch bas kisi tarah

Bidai ki soch soch kar bahut dar lag raha hai
kal teri ek aur nishani se ghar khali ho raha hai

teri tarah wo bhi mujhe ub bhool jayegee
ghar ki har cheej ko bas dhool khaayegee

RK^2
 
Neelam u made me now very emotional. Here is the version of a father;

Dekh aaj hamari gudiya ki shaadi ho rahee hai
tujhe yaad kar karke wo kai din se ro rahee hai

............................................................

teri tarah wo bhi mujhe ub bhool jayegee
ghar ki har cheej ko bas dhool khaayegee

RK^2

Even you too made me emotional now...Now listen what a daughter says to her Father....

Nahin papa aap kabhi ye na sochna ki
Paraayi hoke aapse ye aapko bhul jaayegi

Ye to chup chup ke sabse kisi kamre mein
Baith yaad karke aapko kai baar royegi

Maa ki di hui har seekh jeevan ki
Yaad rakhegi aur har bandhan ko nibhayegi

Jab bhi maa ki yaad aapko aaye
Aapki beti aapke paas chali aayegi

Lakin kabhi rona naa yaad karke beete pal ko
Warna ye aapki chinta leke aage ghar jaayegi

Aap laakh chhupao apne aansu kisi se
Magar ye beti ek pal mein pahchan jaayegi

Bhai rah jaayega peeche mere jaane ke baad
Karwa ke uske phere ek nayi khushi ghar mein aayegi

Bhool jaaoge aap sab rulane waale wo pal jab
Hansti hui apne parivaar ke sang aapki laadli ghar aayegi :)

Mujhko khinch layi mehak tere jism ki,
Teri Zulfon ke saye mein gujre waqt ye jee chahta hai.
.............................................

Tassavur mein chhai hai is kadar tu , tera intezaar na seh sakunga,
Beete har pal har lamha teri bahon mein mera ye jee chahta hai.

baat to sahi bolte ho..thora majak bhi hona hi chahiye....and thanks for your sweet wishes..aur agar wo sach mein fool hua ;) to use phool main bana dungi....:D ...to ab ye lo tumhari uss shayari ka jawab....

Khuli hain meri zulfen kabse uske liye
Aae to ek baar wo, inn zulfon tale chupane ko jee chahta hai

Har aur jaati hai meri nazar usko dhundti hui, kab aayega wo
Apni gaud mein sar rakhwa halke haathon se sahlaane ko jee chahta hai

Mere bhi mann mein basi hai uski surat har pal
Mujhpe har haq ab usko dene ko jee chahta hai

Intezaar to maine kiya hai uska, aur kitna karwayega
Ab to har pal uss sang zindagi beetane ko jee chahta hai

Status
Not open for further replies.
Back
Top